Koi so bar puche mai kahun har bar kafi h Mai deewana hun mujh ko bs tera deedar kafi h Masiha e zamana ne kiya wapas mujhe kah kar Marize yaar ja tujhko nigah e yaar kafi h Pahunch kar teri chokhat par tera deewana kahta h Mujhe jannat se kya lena tera darbar kafi h Laga kar nara e takbeer ye hazrat e umar bolen Chale unke liye aqa meri talwar kafi hai Zamane ke har ek marhab ko mitti me milata hun Sare maidan khayal e haidar e karrar kafi h Likhi naat e nabi phansi ka phanda chum kar jisne Wo hindustan ka shayer kadiledar kafi hai Jo gaddar e nabi ko zer karna ho wasi phir to Imam Ahmad raza ke naam ka ek waar kafi h