Hey actually Maine ba eng hons ka form bhra tha abi September m but mujhe abi tk koi appointment ka message nahi aya h book ka b mne form b fill kia tha but koi msg n aya so what should I do?
@payalchaudhary958212 сағат бұрын
Phir toh aap SOL office jao apni id aur fee receipt le kr
@shradhanandsharmaКүн бұрын
konsa year hain Tumhra ?
@payalchaudhary958212 сағат бұрын
2nd year
@KashishGoyal-r1s2 күн бұрын
Mein bcom programme sem 1 mein hu toh mujhe ye janna hai ki agar mujhe apne course k liye ten years chiye toh konse writer k lene chahiye jise mein theory exam mein pass ho sku???? Pls reply jrur dena mujhe pta nhi hai ye sab!!!!!!
@Akshita19-z4vКүн бұрын
Shiv das
@KashishGoyal-r1sКүн бұрын
@@Akshita19-z4v thanku 😍
@KashishGoyal-r1sКүн бұрын
Apko yeah pta hai ki internal exams aur assignment kaise dene hote hai aur kb honge???
@Akshita19-z4vКүн бұрын
@@KashishGoyal-r1s Internal assessment apko online Dene honge 24 dec se 6 Jan tk usse pehle apke mock test honge taaki internal assessments Kaise Dene h ye pata chl jaye ek baar bs or Koi assignment nii Dena hoga
@KashishGoyal-r1sКүн бұрын
@@Akshita19-z4vApka course konsa hai aur which sem
@AC07Vlogs2 күн бұрын
Please share me your contact no. Because I'm girl
@AC07Vlogs2 күн бұрын
Enternal assignment + theory exam Mark judte h kya and offline exam tough hote h ya easy how to pass in theory exam ????
@payalchaudhary95822 күн бұрын
Internal aur theory dono marks add hote hai offline tough nhi hota jayada
@AC07Vlogs2 күн бұрын
@payalchaudhary9582 apna contact no de dogi
@shradhanandsharmaКүн бұрын
@@AC07Vlogs Contact why ?
@Hayakajahan2 күн бұрын
Hello, maine Ba honours psychology me admission liya hai abhi or koi college nhi pta or study material ke liye bhi appointment book nhi ho rhi hai...can you plz suggest something
@payalchaudhary95822 күн бұрын
Classes Law centre 1 me ho rhi hai vahi pr aap class lo ID card le kr jao aur study material ke liye agar appointment book nhi ho rhi hai toh direct sol office chle jao fee receipt le kr vahi aapko appointment aur book mil jayegi
@Hayakajahan23 сағат бұрын
Thank youu
@harshbrahman15103 күн бұрын
Tum konse collage mai ho sol se ya regular du se konse course aur konse semester mai
@angel-y4n8n3 күн бұрын
Hi pls help.. how to know which is my general elective subject?? In my fee receipt, there are 3 main courses and 4 electives.. so how to know ??
@payalchaudhary95823 күн бұрын
It is mention in fee receipt After 3 DSC subject
@sonuchoudhary95554 күн бұрын
Mam email id change kaha hogi or kese and mene aaj book appointment li thi appointment to ho gyi 25nov ki but usme subject show nhi ho rahe bus detail aari h
@payalchaudhary95823 күн бұрын
Kon sa semester hai aapka
@sonuchoudhary9555Күн бұрын
3 semester
@payalchaudhary958212 сағат бұрын
Aapne phir subjects ka selection nhi kiya hoga isliye show nhi ho raha hoga
@sonuchoudhary95558 сағат бұрын
Uska solution kya h mam
@payalchaudhary958238 минут бұрын
@sonuchoudhary9555 aap apna student dashboard log in kro and vahan pr select the papers ka option hoga vahan pr paper/subject select kro
@RoshniSharma-hf8pd4 күн бұрын
Ap samypur badli ke kaha se ho
@srishtidalal94 күн бұрын
Heyy.... mera DU sol se message aa gya books collection k regarding 15-20 din ka time hai unhone bola hai bring hard copy of fee receipt so is there any need to book an appointment ya sirf fee receipt se books mil jayngi but appointment link provide nhi kia
@payalchaudhary95824 күн бұрын
Appointment link description me hai aapko appointment book krni hogi tbhi aapko ak date milegi uss date pr ja kr study material collect kr lena and aap appointment book kroge toh uski hard copy aur fee receipt dono le kr jana
@chhavi54044 күн бұрын
Video on regular to Sol!!
@payalchaudhary95823 күн бұрын
I already upload a video on this topic migration from Regular to SOL as same as migration from SOL to Regular same procedure
@Sssviii5 күн бұрын
Does DU sol provide MA political science books or not ? Please confirm this And DU sol has also sent me a msg regarding books collection for MA political science sem1
@payalchaudhary95824 күн бұрын
Yes they also provide Study material for all MA course
@Sssviii4 күн бұрын
Yes I know but some students are saying they do not provide MA political science books please confirm this to me because I live far away from Delhi.
@Sssviii4 күн бұрын
I would be very grateful to you ❤please inform me about it
@nKr-dj2rg5 күн бұрын
Di mera ba (hons) eng hai pr abhi tk classes ka msg nhi aaya ab samajh nhi aa rha kya karu ??
@payalchaudhary95824 күн бұрын
Classes lene jao yrr aap message bohot der se aa rhe hai students ke pass ab bs kuch hi classes hogi uske baad exam hai aapka exam centre Law centre 1 hai vahan jao SOL ID card le kr entry mil jyegi and classes lo
@shradhanandsharmaКүн бұрын
Are you a girl or boy ?
@nKr-dj2rgКүн бұрын
@ I’m a girl
@shradhanandsharmaКүн бұрын
@nKr-dj2rg which year ?
@nKr-dj2rgКүн бұрын
@ 1st year
@mohiiitttt5 күн бұрын
Cheating k chance hai?
@payalchaudhary95824 күн бұрын
Internal toh online hote hai toh cheating hi krte hai sab but theory exam me cheating nhi kr skte
@RoshniSharma-hf8pd6 күн бұрын
Mujhe deb id banane ke liye abc id maag raha jab me admission li thi tap jo abc id banta hai na wo to mujhe nh pata or na hi cafe wale ko to sister mujhe kuch batao ki me kya karu😢
@payalchaudhary95825 күн бұрын
Iske bare me toh nhi pata mujhe phir toh aapko sol office hi jana hoga
@khushboosoni20616 күн бұрын
Thank you 😊 😊 ❤❤
@rajlaxmisamal43526 күн бұрын
ye regular clg du ke hi mei bas migrate ho skte h yaa koi bhi clg mei??
@payalchaudhary95825 күн бұрын
Only DU
@sakshi43027 күн бұрын
by whatsapp group ?
@sakshi43027 күн бұрын
i have opted for eng. hons. at sol how can i get information ?
@payalchaudhary95826 күн бұрын
You will receive message from sol in your register mobile no.
@nKr-dj2rg5 күн бұрын
Same
@nayanKhera7 күн бұрын
apka BA program with english hai kya?
@payalchaudhary95827 күн бұрын
No BA English (Hons)
@ti__3a3 күн бұрын
Ba program with english ka syllabus kahn se milega
@payalchaudhary95823 күн бұрын
Sol ki website pr milega
@sharmaji45258 күн бұрын
Didi agar koi exam leave kr de to ?
@Theme-n9z8 күн бұрын
Hello papa ki pari mujhe b apna migration certificate Lena h Kaha submit krna h Please guide
@payalchaudhary95828 күн бұрын
Abhi migration start nhi h jb start honge apne documents and form fill kr lena colleges ke jisme aapko seat mile then submit your documents first in sol office and then in college.
@Theme-n9z7 күн бұрын
Papa ki pari ap bahut pyari h Aur pyara bolti h
@Chauhanpriyanshu219 күн бұрын
Keep going mam, big fan❤
@payalchaudhary95829 күн бұрын
😁🙏
@deepanshiMayna10 күн бұрын
🥳🥳
@himanshu_22yg6 күн бұрын
Hello ji
@Rohitlifestyle004011 күн бұрын
"The way you explain is very good. Keep it up."👍
@payalchaudhary958211 күн бұрын
Thanks
@shellyyvlogs989911 күн бұрын
Hii dii my course is BA program political science! Dii mujhpr abhi tk classes ka msg nhi aya h or di exams aane hi vale h to ky kru dii ksse classes lu ya wait kru msg ka pls reply dii
@payalchaudhary958210 күн бұрын
Aap classes lo jakr msg ka wait mt karo ab kuch classes hi bachi hai aap jao study karo and self study bhi kro aapke iss course ke liye 3 college hai Dr. Br. Ambedkar college, Vevekanand college, Maitreyi college aap in teeno me se kisi me bhi class le skte ho aapko college me entry ke liye apna id card le kr jana hai bs
@RameshKumar-qt2wm11 күн бұрын
❤❤
@harshitaparashar143315 күн бұрын
Hi didi Ba Hons Psychology ka 1st year ka syllabus show nhi ho rha ha aur Appointment book bhi nhi ho rha ha 1st semester ka schedule will be provided soon aye ja rha ha can you please help
@payalchaudhary958215 күн бұрын
Appointment book hone me time lagega kyu ki books print km hui hai toh jldi appointment nhi mil rhi hai students ko syllabus toh aapko sol ki site pr hi pata chalega but shayad server nhi chl raha hoga isliye toh aap yeh bhi kr skte ho ki aap direct sol office jao apna id card aur fee receipt le kr phir vahi aap baat kro
@harshitaparashar143315 күн бұрын
@payalchaudhary9582 nahi didi site par 1st semester ka har uska dikh rha ha syllabus siwaya Ba hons psychology ka 🙂
@payalchaudhary958215 күн бұрын
Aapne phone se try kiya hai ak baar laptop ya Computer se dekh lo agar phir bhi nhi aata hai toh iska mtlb site pr hi upload nhi hai
@harshitaparashar143315 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 ohk didi thanku ✨
@payalkumari-kj1nu16 күн бұрын
Di please kese attempt karte IA bo bta do
@payalchaudhary958216 күн бұрын
Ofcourse main bata dungi jaise hi IA start honge abhi isliye nhi bataya kyu ki abho IA ka dashboard open nhi hai
@khushiji217 күн бұрын
kon sa course h aapka and sem
@payalchaudhary958216 күн бұрын
BA (Hons) English 2nd year
@RaghavJuyal-i9w17 күн бұрын
Thanks for information ❤ Lysm🎀
@himanshu_22yg17 күн бұрын
Apki insta id hai ji
@KhushiYadav-b3m18 күн бұрын
Di koi suggestion dedo konsi books purchase kre padhne k liye bcom honours Sol k subjects k liye jisse acche no. Aa jaaye
@payalchaudhary958217 күн бұрын
Actually i am BA student so i have not much idea about bcom subjects books but ak book hai Focus name se vo aachi book hai and vo har course ki hai aap vo book bcom ki purchase kr lo vo best hai padhne ke liye
@AkshatJAIN-k4e19 күн бұрын
cgpa 1st sem ki imp hai ya 2nd sem ki ?? migration ke liye
@payalchaudhary958219 күн бұрын
Dono ki mila kr 1st year ki cgpa calculate hoti hai migration ke liye jo ki aapko 2nd semester ke result me aa jayega ussi me 1st semester ka bhi result hota hai
@harshitaparashar143320 күн бұрын
Hello didi maina Du sol mai Admission le diya tha 28 September 2024 for Ba psychology hons course lekin mujhe abhi tak college allot hona ka msg nhi aya aisa kyu ek mahina se bhi uppar hogaya ha mujhe samjh hi nhi aarha kaha sw pata karu mai konsa college mila ha kya syllabus hai nahi pata chal rha kuch bhi nhi sms aya ha 😓pls help didi
@payalchaudhary958220 күн бұрын
Ba hons psychology me college hai Law centre 1 isme aap classes lo every sunday but kl mt jana kyu ki kl holiday hai next sunday jana and timming hai 10 bje class start hone ki toh usse pehle chle jana syllabus aapko sol ki site pr mil jayega vahi se aap study material ke soft copy bhi download kr skte ho and books ke liye aapko appointment lena hoga jiski link discription me hai
@harshitaparashar143320 күн бұрын
@payalchaudhary9582 ohk thanku didi par Sol ki website par nhi show kar rha hai syllabus app de sakte ho link if possible?? Study material ka liye dal rhai hu par ho nhi rha date select ka option nhi aarha ha
@Hayakajahan2 күн бұрын
Hi! Aap gye classes ke liye? Actually mera bhi BA honours psychology hi hai or mujhe bhi kuch confirm nhi hua
@harshitaparashar14332 күн бұрын
@@Hayakajahan han mai to har Sunday jati hu law center 1 du ka classes ho rha ha
Apka jo bhi course hai usme jitne bhi subjects hai theory aache se padho kyu ki kuch bhi mcq ban jate hai so aapko need hai ki aap aache se sab padho
@Sushant.Fan_120 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 jo na aaye google se mil jate hai kya answer jaldi?
@Sushant.Fan_120 күн бұрын
Can i really get migration in BMS course in 2nd yr any DU college next year, i am doing bms 1st yr from du sol ? If i get 7+ cgpa? I am from EWS category
@Sushant.Fan_120 күн бұрын
Pls reply, like krke mt chodo 🙂
@payalchaudhary958220 күн бұрын
Yes ofcourse but it is mandtory to pass in all subject no (ER,AB,Fail)
@payalchaudhary958220 күн бұрын
@Sushant.Fan_1 bro i reply you
@Sushant.Fan_120 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 7 pe ho payega? Sggscc(bms) ,CVS (bms) ke liye kitna chahiye hoga?
@payalchaudhary958220 күн бұрын
@Sushant.Fan_1 ho jayega jaise maine bataya hai video me ki aapke 1st year ke result aane ke baad migration ke form nikalte hai toh aapko dekhna hoga khud ki du ke kon se college me aapka jo course hai usme seat available hai ya nhi uske baad aap uss college ka form fill kare aur apne sare documents ko pehle se hi ready rakhna
@Nidhi-ni5kp21 күн бұрын
Hii didi mujhe yeh doubt hai mujhe na hi centre pata hai aur na hi books mili hai toh kya karu mera ba program with political science hai
@payalchaudhary958221 күн бұрын
Is course ke 3 college allot hue hai dr. Br ambedkar college, Vivekanand college, Maitreyi college yeh sab female ke liye hai aur books ke liye toh aapko appointment leni hogi maine discription me link dali hai aap uss pr try kro
@Nidhi-ni5kp21 күн бұрын
Toh didi mai kisne jaau? Bass I'd card lekar Jana hai? Aur kitne bje classes aur kab hoti hai?
@payalchaudhary958221 күн бұрын
@Nidhi-ni5kp aap in me se kisi me bhi ja skte ho and sirf id card important hota hai aur classes 10 bje se start hoti hai usse pehle college pahuch jao
@himanshu_22yg17 күн бұрын
Hello Nidhi
@AC07Vlogs21 күн бұрын
Par sol walo ke liye nhi hoga
@payalchaudhary958221 күн бұрын
Kya nhi hoga sol valon ke liye
@Ananyasharma-b6j26 күн бұрын
Dii mai new admission in dusol bcom program hai mera or mujhe offline class konse college se karu please bta do mujhe smjh ni aara
@payalchaudhary958225 күн бұрын
2 colleges hai ak SGTB khalsa college aur ak faculty of arts (south campus) aap kisi me bhi ja skte ho
@Ananyasharma-b6j25 күн бұрын
Per offline classes ka msg nahi aaya mere paas
@payalchaudhary958225 күн бұрын
@Ananyasharma-b6j koi baat nhi classes lene jao kyu ki message aane me bohot time lagega
@Ananyasharma-b6j24 күн бұрын
Agar mai college gyi to phir kya kya leke Jana hai Mtlb kaise or kya process hai Please bta doo
@Ananyasharma-b6j24 күн бұрын
Agar mai gyi to kya kya leke Jana hai college mei Mtlb kaise or kya process hai Please bta doo dii
@ruudrakshi26 күн бұрын
1:40😂😂😂
@payalchaudhary958226 күн бұрын
😂😂 dil garden garden ho rhiya hai
@ruudrakshi26 күн бұрын
❤❤❤😂
@payalchaudhary958226 күн бұрын
😂🫶
@shivani_yadav900027 күн бұрын
❤❤🎉🎉🎉
@payalchaudhary958226 күн бұрын
🫶😁
@deepanshiMayna27 күн бұрын
😂😂❤
@payalchaudhary958227 күн бұрын
🥰😂
@AvaniMandal-t7r27 күн бұрын
Hlo sun payal mere MSG ka reply kr me avani hu Teri class mate kuch baat karni h oky
@payalchaudhary958227 күн бұрын
Message kahan pr kiya hai🙂
@khushisharma49228 күн бұрын
Study material k liye pse nhi Dene h kya
@payalchaudhary958228 күн бұрын
Nhi koi extra fees nhi deni hai yeh already aapne admission ke time pay ki hai ussi me include hai
@khushisharma49228 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 ok thanks
@khushisharma49228 күн бұрын
Hii mera addmission 30 September ko hua tha du sol m ba programme with English abhi tk kuch nhi aaya h na study material k liye aur na hi college allot hua h please bataiye kuch
@payalchaudhary958228 күн бұрын
Ba programm with english ke liye Bharti college study centre hai for girls toh aap vahan classes lo message ke wait me mt raho aap college jao id le kr aur class lo study material ke liye ho ske toh wait kro ya phir sol office jao vahan bolo study material ki appointment nhi mil rhi hai toh vo krva denge but aapka admission late hua toh shayad vo bhi aapko wait krne ke liye hi bole
@khushisharma49228 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 ok thanku
@khushisharma49228 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 vse college timing vagarh to same hi hongi na jse regular ki hoti hogi
@payalchaudhary958228 күн бұрын
@khushisharma492 sol ki college ki timming 10 bje se hai aapko 9:30 tk pahuchna hoga
@khushisharma49228 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 ok
@Factsfeeder00129 күн бұрын
Mujhe smjh nahi aa rha ki classes kaise leni hain, abhi koi hain jo dusol mein enroll hai could he/she help me out ?
@payalchaudhary958228 күн бұрын
Hai toh bohot sare students but aise mujhe kisi ke baare me information nhi hai
@Factsfeeder00128 күн бұрын
@@payalchaudhary9582 students ki nahi mujhe classes ki info dedo please kaise classes hongi, bcom ki north region centre hain. College walon ka phone humesha busy hi rehta hain
@safikasa94229 күн бұрын
Mera new admission hai Koi conformation ya message nahi aya classes attend kar sakte hai ? Aur centre bhi allot nahi hua !?
@payalchaudhary958229 күн бұрын
Hn classes attend karo message bohot der se aayega aur aap apnq course batao main centre batati hu
@safikasa94228 күн бұрын
@@payalchaudhary9582Ba english hons semester 1 and apka konsa course hai di??
@payalchaudhary958228 күн бұрын
@safikasa942 ba hons english ke liye 2 study centre hai ak Boys ko allot kiya gaya hai Shahed bhagat singh college evening and girls ke liye hai Law centre 2