Wa musibata wa mohammada Dil he ghamzada sunke ye sada Qatl ho gaye Aaj murtaza Wa musibata... 1.tune kya Kiya muljime layin Arsh kaanp utha hil gayi zamin Khana e khuda munhadeem hua Wa musibata.... Qatl ho gaye Aaj murtaza 2.gham se chashme nam kaynat he Ha lahu lahu ye hayat he Surkh ho gayi khun se qaba Wa musibata.... Dil he ghamzada... 3. Mehve ziqr the sehne Raaz me Ye sitam hua or namaz me Rozadar ko qatl kar diya Wa musibata 4. Qalbe Mustafa gham se chaak he Ashk aankh me sar pe khak he Zalzale me hai qabre Fatima Wa musibata..... 5. Ranj he siwa dil ke chain ko Sabr kaise ho ab husain ko Saya e padar sar se uth Gaya Wa musibata...... 6. Sogwar bhi khud khaleel hain Nauhakhwan bhi jibraeel hain Khuld me bhi hai matam e aza Wa musibata... 7. Rok le kalam shahid e hazin Is jigar ko ab taab e gham nahin Hashr he bapa sunke ye sada Wa musibata....
@nawa-e-aza4 ай бұрын
Lyrics
@danishvlogs21144 ай бұрын
Shukria inshallah..21 ramzan ko alampur,sayyadwada mai pdha jayga ye
@nawa-e-aza4 ай бұрын
Plz link share kijiyega
@user-ym6yp8px4i4 ай бұрын
Qayamat khez masaya 😢😢
@mirzashajarabbas50665 ай бұрын
Mashallah
@SBL_Channel5 ай бұрын
Mashallah ❤❤❤
@maddyqasim66567 ай бұрын
I want Chand Saab's number please share it...?
@nawa-e-aza7 ай бұрын
From
@user-ym6yp8px4i9 ай бұрын
Nahi kehna pada mujhko dobara ya Rasool Allah mashallah mola salamat rakhe 💝
@GhaziAbbas-hj3rl10 ай бұрын
😭😭😭
@syedraza805111 ай бұрын
Bohat hi heart touching noha hai.
@nawa-e-aza11 ай бұрын
Zarra nawazi ke liye shukriya
@taqiabbas454311 ай бұрын
🤲🤲🤲♥️
@taqiabbas454311 ай бұрын
😢😢
@user-ym6yp8px4i11 ай бұрын
Salamat raho suhail bhai .....aur khaliq e kalaam janaab marhoom Rafi sirsvi karbalai sahab ko Allah jaware masoomem me jagha ata farmaye. Ameen
@mazharhusain151111 ай бұрын
Allah Rafi Sahab Ko Jannat Me Aala Maqaam Ataa Kare or Unke Darjaat Buland kare Elahi Ameen 🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻🤲🏻