BISMILLAH HIR RAHMAAN NIR RAHEEM Laash e Zahra Pe Buka Karte Rahe Sheyr e Khuda- Meri Zahra Pe Hue Kitne Sitam Wa'Waila.. Mai Zamaane Ka Wali Hoke Bhi Kuch Kar Na Saka- Meri Zahra Pe Hue Kitne Sitam Wa'Waila.. ....... Baad Mursal Ke Koi Chain Mayyasar Tha Kahañ Haaye Darwaza Jala Uthne Laga Ghar Se Dhuwaañ.. Kya Diya Jaata Hai Aese Bhi Kisiko Pursa - Meri Zahra Pe Hue Kitne Sitam Wa'Waila.. ----- Pasliyaañ Toot Gayeeñ Haath Pe Bhi Zarb Lagi.. Jalta Darwaaza Giraya Gaya Zauja Pe Meri.. Mera Mohsin Na Raha Goonj Raha Tha Nauha - Meri Zahra Pe Hue Kitne Sitam Wa'Waila.. ----- Yaad Mein Apne Pidar ki Jo Kabhi Roti Thi.. Roye To Ahle Madina Ko Khalish Hoti Thi.. Apne Hi Ghar Meiñ Na Kar Payee Yateema Girya - Meri Zahra Pe Hue Kitne Sitam Wa'Waila.. ----- Jisko Allah Ne Baksha Tha Laqab Siddiqa.. Haaye Ummat Ne Sar e Aam Usse Jhutlaaya.. Kaisi Be'dardi Se Phir Bagh e Fadak Cheena Gaya - Meri Zahra Pe Hue Kitne Sitam Wa'Waila.. ----- Haq Jo Chheena Gaya To Aagayee Gurbat Ki Ghadi Waaste Bacchoñ Ke Din Raat Chalaayee Chakki.. Phir bhi Aaya Na Taras Haaye Kisiko Bhi Zara - Meri Zahra Pe Hue Kitne Sitam Wa'Waila.. ----- Dil Pe Lo Chalne Lage Dard o Alam Ke Khanajar.. Waris Ab Aur Tadapne Laga Sheyr e Daawar.. Aaye Kaanoñ Mein Juñhi Rooh e Mohammad Ki Sada - Meri Zahra Pe Hui Kitne Sitam Wa’Waila..