Рет қаралды 2,357
Noha 21 Ramzan 2024
Shahadat Imam Ali a.s
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar Kohram hai Barpa💔😭
Kohram hai Barpa Noha Lyrics:
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
Hasnain kay baba pe chala zulm ka khanjar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
1.
Jibreel ye sar peet kay karte hain munadi
Maara gaya mabood kay sajde mein namazi
Talwar se zakhmi hua islam ka rahbar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
2.
Hai zainab o kulsoom kay honthon pe ye nalay
Aye paalney waale mere baba ko bacha le
Abbas bohot rote hai iss bain ko sunkar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
3.
Sar peet kay karte hain buka Shabbar-o-Shabbir
Kulsoom se jab kahti hai ye zainab e dilgheer
Ab dagh yateemi ka dikhayega muqaddar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
4.
Ek hashr ka manzar ha qayamat ki ghadi hai
Aa kar kay yateemi dar-e-shabbar pe khadi hai
Bin baap kay ho jayenge zahra kay gule tar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
5.
Aalam mein ye purdard sada goonj rahi hai
Duniya se wo jaata hai jo waliyon ka wali hai
Wayez ha azadaron ki ankhon mein samandar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
Ummul Baneen Roti hain Sar peet peet kar
Kohram hai barpa, Kohram hai barpa
#molaali #21ramzan #21ramzan_yom_e_shahadat_hazrat_ali_as #21ramzannohastatus #azadaribhanauli #shahadatemolaali #molaali