5th Ramadan 1444 Makkah Taraweeh Sheikh Juhany

  Рет қаралды 20,039

تسجيلات الحرمين | Haramain Recordings

تسجيلات الحرمين | Haramain Recordings

Жыл бұрын

Haramain Website:
► www.haramain.info ◄
Haramain Facebook:
► / haramain.info ◄
Haramain Twitter:
► / haramaininfo ◄
Haramain Instagram:
► / haramain_info ◄
Haramain Snapchat:
► haramaininfo ◄
#Madinah #Hajj #Makkah #Madeenah #Madinah #Sudais #Haramain
#Maahir #Budair #Maher #Shuraim #Hudhaify #Juhany #Ghazzawi
#Baleelah #Hameed #Muhanna #Buayjaan #Fajr #Dhuhr #Asr #Maghrib #Isha

Пікірлер: 23
@allahalways1
@allahalways1 Жыл бұрын
ma sha ALLAH 🤲🏼 my favourite emam during #Ramadan 😁 sheikh #Juhany 🌹🌹🌹 you understand perfectly those - who can't stand during praying for long time because health problems 😢
@identityofallah
@identityofallah Жыл бұрын
Allah is the Unique, Omnipotent and Only Deity of the universe. Our Lord is Allah SWT. There is no 'True God' / 'True Deity' except Allah. Allah is Exalted Above His ‘Arsh (Mighty Throne’) above the heaven. Know Allah by His Most Beautiful Names & Lofty Attributes (Asma Was Sifat). Holy Qur'an is Allah's Word. Qur'an is final revelation & guidance for mankind. Knowing Allah is the pillar whereupon Islam in its entirety hinges..
@MuhammadKurniawan101
@MuhammadKurniawan101 Жыл бұрын
سبحان الله و بحمده، سبحان الله العظيم ما شاء الله، الله أكبر، لا حول ولا قوة إلا بالله ┏━━━━ ﷽ ━━━━┓🕋 💚┗━━━━ ﷽ ━━━━┛ 🥀اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰـی مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰیٓ اٰل ِمُحَمَّدٍ کَمَا صَلَّیْتَـــ عَلٰی اِبْرَاھِیْمَ وَعَلٰیٓ اٰلِ اِبْرَاھِیْمَ اِنَّکَـــ حَمِیْدٌ مَّجِید ۔ اَللّٰھُمَّ بَارِکْـــ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰیٓ اٰل ِمُحَمَّدٍ کَمَـــا بَارَکْتَـــ عَلٰی اِبْرَاھِیْمَ وَعَلٰیٓ اٰلِ اِبْرَاھِیْمَ اِنَّکَــــ حَمِیْد مَّجِید🥀 اللهم اغفرلنا وللمؤمنين والمؤمنات والمسلمين والمسلمات وألف بين قلوبهم وأصلح ذات بينهم وانصرهم على عدوك وعدوهم اللهم امين
@x.simulator
@x.simulator Жыл бұрын
Makkah Taraweeh 2023 - Night 5 | Sheikh Juhany & Muayqali | صلاة التراويح | ليلة 5 رمضان 1444 kzbin.info/www/bejne/nYuZfHqBo7CEnNU
@mahmoudmatan2116
@mahmoudmatan2116 Жыл бұрын
MashaAllah.
@abdullahialiabdullahi7167
@abdullahialiabdullahi7167 Жыл бұрын
M.a ❤
@ahmadsyams6105
@ahmadsyams6105 Жыл бұрын
alhamdulilah ordinary maqam (tone) by Sheikh Juhany has begins 😍✨✨
@eclipse7514
@eclipse7514 Жыл бұрын
but irl he sounds wayyyyyyy different for some reason and it sounds like hes not using maqam rast
@fighterpilot-qz9zq
@fighterpilot-qz9zq Жыл бұрын
@@eclipse7514 I noticed he has been moving away from Rast lately a lot. Tarawih 2023 was great since he was back to the original. He’s not bad at other Maqam’s, but Rast from him is just another level and so nostalgic. Hoping he goes back it permanently.
@eclipse7514
@eclipse7514 Жыл бұрын
@@fighterpilot-qz9zq this ramadan in tahajjud wallahi it was the best, in tahajjud all juhany would use is maqam rast
@eclipse7514
@eclipse7514 Жыл бұрын
@@fighterpilot-qz9zq but he reads differently then switches into rast it just sounds so majestic
@fighterpilot-qz9zq
@fighterpilot-qz9zq Жыл бұрын
@@eclipse7514 Oh yah for sure - Juhany is just a legend. But lately, besides Ramadan 2023, all the latest videos are almost always a different Maqam.
@shaz7929
@shaz7929 Жыл бұрын
Alhamdulillaah by this we ladies complete the taraweehaat at home as we do not have such facilities in our locality. Great service by the Haramain Recordings. Jazak allaah hu khairan
@samamallick2072
@samamallick2072 Жыл бұрын
Kindly consult to a scholar if that's allowed or not
@identityofallah
@identityofallah 7 ай бұрын
Allah Almighty Exalted Above the heaven Above His 'Arsh: (Above The Greatest Throne), Everything is under His knowledge, control & vision. All praise belongs to Allah Alone All power and all dominion. Our Lord is Allah SWT. There is no 'True God' / 'True Ilah except Allah. Allah is Exalted Above ‘Arsh, above the heaven. Holy Qur'an is Allah's Word and final revelation for mankind. Allah is the One and Unique True Deity'. None is worthy of worship except Allah. Muhammad PBUH is Allah's servant and messenger.♥♥♥ ...।/////////////////////////////////////
@AbdulWahid-le8kv
@AbdulWahid-le8kv Жыл бұрын
ماشاءاللہ ❤️ زبردست عبداللہ الجہنی امام کعبہ تراویح کتنے رکعت نماز پڑھے
@user-gc5yh9or5j
@user-gc5yh9or5j Жыл бұрын
🕋❤❤❤❤❤❤❤
@wajamurad5343
@wajamurad5343 Жыл бұрын
Mashallah
@QuranTranslators
@QuranTranslators Жыл бұрын
Roman Urdu Translation: **||3. Surah Aale Imran||** **93. Khane ki yeh saari cheezein (jo shariyat e Muhammadi ﷺ mein halal hain) Bani Israel ke liye bhi halal thi, albatta baaz cheezein aisi thi jinhein Tourat ke nazil kiye jane se pehle Israel (Yaqub عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ‎) ne khud apne upar haraam kar liya tha. Unsey kaho, agar tum (apne aitraaz mein) sache ho toh lao Taurat aur pesh karo uski koi ibarat.** 94. Iske baad bhi jo log apni jhooti ghadi hui baatein Allah ki taraf mansoob karte rahein wahi dar-haqeeqat zalim hain. 95. Kaho, Allah ne jo kuch farmaya hai sach farmaya hai. Tumko yaksu ho kar Ibrahim ke tareeqe ki pairwi karni chahiye, aur Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ‎) shirk karne walon mein se na the. 96. Beshak sab se pehli ibadat-gah jo insano ke liye tameer hui woh wahi hai jo Makkah mein waqeh hai, usko khair o barakat di gayi thi aur tamaam jahaan walon ke liye markaz e hidayat banaya gaya tha. 97. Is mein khuli hui nishaniyan hain, Ibrahim ka muqaam e ibadat hai, aur iska haal yeh hai ke jo is mein dakhil hua mamoon (secure) ho gaya. Logon par Allah ka yeh haqq hai ke jo is ghar tak pahuchne ki istitaat rakhta ho woh iska Hajj karey, aur jo koi is hukum ki pairwi se kufr (كُفر/inkar) karey toh usey maloom ho jana chahiye ke Allah tamam duniya walon se be-niyaz hai. 98. Kaho, aey ahle Kitab , tum kyun Allah ki aayat ka kufr (کُفر) karte ho (yani Uski baatein maanne se inkar karte ho)? Jo harkatein tum kar rahe ho Allah sab kuch dekh raha hai. 99. Kaho, aey ahle Kitab! Yeh tumhari kya rawish hai ke jo Allah ki baat maanta hai use bhi tum Allah ke raaste se rokte ho aur chahte ho ke woh tedhi raah chale, halaanke tum khud (iske raah e raast hone par) gawah ho. Tumhari harkaton se Allah ghafil nahin hai. 100. Aey logon jo imaan laye ho, agar tumne in ahle Kitab mein se ek giroh ki baat maani to yeh tumhein imaan se phir kufr (كُفر) ki taraf pher le jayenge. 101. Tumhare liye kufr (كُفر) ki taraf jane ka ab kya mauqa bakhi hai jabke tumko Allah ki aayat sunayi jaa rahi hain aur tumhare darmiyan Uska Rasool maujood hai? Jo Allah ka daaman mazbooti ke saath thaamega woh zaroor raah e raast payega. ع 102. Aey logon jo imaan laye ho, Allah se daro jaisa ke Usse darne ka haqq hai, tumko maut na aaye magar is haal mein ke tum Muslim ho. 103. Sab mil kar Allah ki rassi ko mazboot pakad lo aur tafraqe (divide) mein na pado. Allah ke us ehsan ko yaad rakho jo Usne tum par kiya hai, tum ek dusre ke dushman the, Usne tumhare dil joad diye aur Uske fazal o karam se tum bhai-bhai ban gaye. Tum aag se bhare hue ek gadhe (pit) ke kinare khade the, Allah ne tumko usse bacha liya, is tarah Allah Apni nishaniyan tumhare samne roushan karta hai shayad ke in alamaton se tumhein apni falah ka seedha rasta nazar aa jayein. 104. Tum mein kuch log to aise zaroor hi rehne chahiye jo neki ki taraf bulayein, bhalayi ka hukum dein, aur burayion se roakte rahein, jo log yeh kaam karenge wahi falah payenge. 105. Kahin tum un logon ki tarah na ho jana jo firqon mein batt gaye aur khuli khuli wazeh hidayaat pane ke baad phir ikhtilafat mein mubtila hue. Jinhone yeh rawish ikhtiyar ki woh us roz sakht saza payenge. 106. Jab ke kuch log surkh-ru (bright) honge aur kuch ka mooh kala hoga, jinka mooh kala hoga (unse kaha jayega ke) niyamat e imaan pane ke baad bhi tumne kaafirana rawayya ikhtiyar kiya? Acha to ab is kufraan e niyamat ke sile mein azaab ka maza chakho. 107. Rahe woh log jinke chehre roushan honge toh unko Allah ke daaman e rehmat mein jagah milegi aur humesha woh isi haalat mein rahenge. 108. Yeh Allah ke irshadat hain jo Hum tumhein theek theek suna rahe hain kyunke Allah duniya walon par zulm karne ka koi irada nahin rakhta. **109. Zameen o aasman ki saari cheezon ka Maalik Allah hai aur saare maamlat Allah hi ke huzoor pesh hote hain. ع** 110. Ab duniya mein woh behtareen giroh tum ho jise insano ki hidayat o islah ke liye maidan mein laya gaya hai, tum neki ka hukum dete ho, badee (burayi) se rokte ho aur Allah par imaan rakhte ho. Yeh ahle Kitab imaan late toh inhi ke haqq mein behtar tha, agarche in mein kuch log imandaar bhi paye jate hain magar inke beshtar (aksar) afraad na-farman hain. 111. Yeh tumhara kuch bigad nahin sakte, zyada se zyada bas kuch sataa sakte hain, agar yeh tumse ladenge toh muqable mein peet dikhayenge, phir aise bebas honge ke kahin se inko madad na milegi. 112. Yeh jahan bhi paye gaye in par zillat ki maar hi padi, kahin Allah ke zimme ya insano ke zimme mein panah mil gayi toh yeh aur baat hai, yeh Allah ke ghazab mein ghir chuke hain, in par mohtaji o maghloobi musallat kar di gayi hai (Allah's wrath, and humiliation is stuck upon them), aur yeh sab kuch sirf is wajah se hua hai ke yeh Allah ki aayat se kufr (كُفر) karte rahe aur inhone Paighambaron ko na-haqq qatal kiya. Yeh inki na-farmaniyon aur zyadatiyon ka anjam hai. 113. Magar sare ahle Kitab yaksan nahin hain, in mein kuch log aise bhi hain jo raah e raast par qayam hain, raaton ko Allah ki ayaat padhte hain aur uske aage sajdah-rez hote hain. 114. Allah aur roz e Aakhirat par imaan rakhte hain, neki ka hukum dete hain, buraiyon se roakte hain aur bhalayi ke kaamon mein sar-garam rehte hain, yeh saleh log hain. ***115. Aur jo neki bhi yeh karenge uski na-qadari na ki jayegi, Allah parheizgaar logon ko khoob jaanta hai.***
@QuranTranslators
@QuranTranslators Жыл бұрын
**116. Rahe woh log jinhone kufr ka rawayya ikhtiyar kiya to Allah ke muqable mein unko na unka maal kuch kaam dega, na aulad; woh to aag mein janey wale log hain aur aag hi mein humesha rahenge.** 117. Jo kuch woh apni is duniya ki zindagi mein kharch kar rahe hain, uski misaal us hawa ki si hai jis mein pala ho (accompanied with frost) aur woh un logon ki kheti par chale jinhone apne upar aap zulm kiya hai aur usey barbaad kar ke rakh de. Allah ne in par zulm nahin kiya, dar-haqeeqat yeh khud apne upar zulm kar rahe hain. 118. Aey logon jo imaan laye ho, apni jamaat ke logon ke siwa aur kisi ko apna raazdaar na banao, woh tumhari kharabi ke kisi mauqe se faiyda uthane mein nahin chukte, tumhein jis cheez se nuqsan pahunche wahi unko mehboob hai, unke dil ka bughz unke mooh se nikla padhta hai aur jo kuch woh apne seeno mein chupaye huey hain woh issey shadeed-tar hai. Humne tumhein saaf saaf hidayaat de di hain, agar tum aqal rakhte ho (to unsey taaluq rakhne mein ehtiyat bartoge). 119. Tum unse muhabbat rakhte ho magar woh tumse muhabbat nahin rakhte, halaanke tum tamaam kutoob e asmaani ko maante ho. Aur jab woh tumse milte hain to kehte hain ke humne bhi (tumhare Rasool aur tumhari kitab ko) maan liya hai, magar jab juda hotey hain to tumhare khilaf unke ghaiz o ghazab ka yeh haal hota hai ke apni ungliyan chabane lagte hain. Unsey keh do ke apne ghussey mein aap jal maro, Allah dilon ke chupey huey raaz tak jaanta hai. 120. Tumhara bhala hota hai to unko bura maloom hota hai, aur tum par koi museebat aati hai to yeh khush hotey hain, magar inki koi tadbeer tumhare khilaf kaargar nahin ho sakti basharth yeh ke tum sabr se kaam lo aur Allah se darr kar kaam karte raho. Jo kuch yeh kar rahey hain Allah us par haawi hai. ع 121. (Aey paighambar! Musalmano ke samne us mauqe ka zikr karo) Jab tum subah sawere apne ghar se nikle thay aur (Uhud ke maidan mein) musalmaano ko jung ke liye ja-baja mamoor (placed the believers in battle arrays) kar rahey thay; Allah saari baatein sunta hai aur Woh nihayat bakhabar hai. 122. Yaad karo jab tum mein se do giroh buzdili dikhane par aamaada ho gaye thay, halaanke Allah unki madad par maujood tha aur mominon ko Allah hi par bharosa rakhna chahiye. 123. Aakhir issey pehle jung e Badr mein Allah tumhari madad kar chuka tha, halaanke us waqt tum bahut kamzor haalat mein thay. Pas (lihaza) Allah hi se daro (na kisi aur se) taakey tum shukrguzar bano. 124. (Yaad karo) Jab aap mo'mino se keh rahey thay, “ kya tumhare liye yeh baat kafi nahin ke Allah teen hazaar Farishte utar kar tumhari madad karey?” 125. Kyun nahi, agar tum sabr karo aur Khuda se darte huey kaam karo to jis aan dushman tumhare upar chadh kar aayenge usi aan tumhara Rubb (teen hazaar nahin) paanch hazaar saahib e nishan Farishton se tumhari madad karega. 126. Aur yeh baat Allah ne tumhein is liye bata di hai ke tum khush ho jao aur tumhare dil mutmaeen ho jayein, fatah o nusrat jo kuch bhi hai Allah ki taraf se hai jo badi quwwat Wala aur dana o beena hai (the All-Mighty, the All-Wise). 127. (Aur yeh madad Woh tumhein is liye dega) Taakey kufr ki raah chalne waalon ka ek bazu kaat de, ya unko aisi zaleel shikast de ke woh na-muradi ke saath paspan ho jayein. 128. (Aey paighambar) Apke ikhtiyar mein kuch nahin, Allah ko ikhtiyar hai chahey unhein maaf karey chahey saza dein, kyunke woh (log) zalim hain. 129. Aur zameen aur asmaano mein jo kuch hai uska Maalik Allah hi hai, jisko chahe baksh de aur jisko chahe azaab dein, aur Woh maaf karne wala aur Raheem hai. ع 130. Aey logon jo imaan laye ho, yeh badhta aur chadhta sood (usury) khana chhodh do aur Allah se daro, taakey tum falah pao. 131. Aur us aag se bacho jo kafiron (کَافِروں) ke liye tayar ki gayi hai. 132. Aur Allah aur Uske Rasool ki farmabardari karo taakey tum par reham kiya jaye. **133. Aur daud kar chalo us raah par jo tumhare Rubb ki baqshish aur us Jannat ki taraf jaati hai jiski wusat (vastness) zameen aur aasmano jaisi hai; jo parheizgar logon ke liye tayyar ki gayi hai,** 134. Jo har haal mein apne maal kharch karte hain, khwah bad-haal hon ya khush-haal, jo ghusse ko pee jaate hain aur dusron ke qasoor maaf kar dete hain, aur Allah aise neik logon se mohabbat karta hain. 135. Aur jinka haal yeh hai ke agar kabhi koi fahash kaam unse sarzad ho jata hai ya kisi gunah ka irtikab kar ke woh apne upar zulm kar baithte hain toh fouran Allah ka zikr aur apne gunahon ke liye astaghfar karte hain, kyunke Allah ke siwa aur koun hai jo gunah maaf kar sakta ho? Aur woh log bawajood ilm ke kisi bure kaam par adh nahin jate. 136. Aise logon ki jazaa unke Rubb ke paas yeh hai ke Woh unko maaf kar dega aur aise baaghon mein unhein dakhil karega jinke neeche nehrein behti hongi aur wahan woh humesha rahenge. Aur, kaisa acha badla hai neik amal karne walon ke liye. 137. Tumse pehle bhi aise bahut se daur guzar chuke hain, so zameen mein chal phir kar dekhlo ke jhutlane walon ka kya anjam hua. 138. Aam logon ke liye toh yeh (Qur'an) bayan hai aur parheizgaro ke liye hidayat aur naseehat hai. 139. Aur tum na susti karo aur na ghamgeen ho. Aur tum hi ghalib rahoge agar tum mo'min ho. 140. Is waqt agar tumhein chot (wound) lagi hai to issey pehle aisi hi chot tumhare mukhalif logon ko bhi lag chuki hai. Aur Hum in dino (days) ko logon ke darmiyan adalte badalte rehte hain. Is liye bhi ki Allah taala imaan walon ko zaahir kar dein aur tum mein se baaz ko shahadat ka darja ata farmaye. Aur Allah zalimon se mohabbat nahi karta. ***141. Aur (ye wajah bhi thi ki) Allah mo'mino ko bilkul alag kar dein aur kafiron (کَافِروں) ko mita dein.***
@QuranTranslators
@QuranTranslators Жыл бұрын
**142. Kya tumne yeh samajh rakha hai ke yunhi Jannat mein chale jaoge halanke abhi tak Allah ne yeh zaahir nahi kiya ki tum mein se jihad karne wale koun hai aur sab'r karne wale koun hain.** 143. Aur (jung se pehle toh) tum mout ki (yani shahadat ki) tamannayein kar rahe the!! Ab usey apni aankhon se apne samne dekh liya. ع 144. Aur Muhammad ﷺ‎ sirf Rasool hi hain, unse pehle aur Rasool bhi guzar chuke hain. Phir kya agar unka inteqal ho jaaye ya yeh shaheed ho jaaye to tum log ulthe paon phir jaoge? Aur jo koi phir gaya apni aedhiyo par toh woh Allah ka kuch nuqsan na karega, aur anqareeb Allah shukarguzar bando ko neik badla dega. 145. Aur koi zi rooh Allah ke izan (hukum) ke baghair nahin marr sakta; mout ka waqt to likha hua hai. Jo shakhs sawab e duniya ke irade se kaam karega usko Hum duniya hi mein se denge, aur jo sawab e Aakhirat ke irade se kaam karega, woh Aakhirat ka sawab payega aur shukar karne walon ko Hum unki jaza zaroor ata karenge. 146. Isse pehle kitne hi Nabi aise guzar chuke hain jinke saath mil kar bahut se Khuda paraston ne jung ki, Allah ki raah mein jo museebatein un par padi unse woh dil shikashta nahin hue, unhone kamzori nahin dikhayi, woh (baatil ke aage) sarnagon (abase) nahin hue, aise hi saabiron ko Allah pasand karta hai. 147. Unki dua bas yeh thi ke “aey humare Rubb, humari ghaltiyon aur kotahiyon se darguzar farma, humare kaam mein Tere hudood se jo kuch tajawuz ho gaya ho use maaf kar de, humare qadam jamaa de aur kafiron (کَافِروں) ke muqable mein humari madad kar.” 148. Aakhir e kaar Allah ne unko duniya ka sawab bhi diya aur isse behtar sawab e Aakhirat bhi ata kiya. Allah ko aise hi neik amal log pasand hain. ع 149. Aey logon jo imaan laye ho, agar tum un logon ke isharon par chaloge jinhone kufr ki raah ikhtiyar ki hai to woh tumko ultha pher le jayenge aur tum na-murad ho jaoge. 150. (Unki baatein ghalat hain) Haqeeqat yeh hai ke Allah tumhara Haami o Madadgaar hai aur Woh behtareen madad karne Wala hai. 151. Anqareeb woh waqt aane wala hai jab Hum munkireen e haqq ke dilon mein roab (terror/darr) bitha denge, is liye ke unhone Allah ke saath unko khudayi mein shareek thehraya hai jinke shareek hone par Allah ne koi sanad nazil nahin ki, unka aakhri thikana jahannum hai aur bahut hi buri hai woh qayaam-gaah jo un zalimon ko naseeb hogi. 152. Allah ne (taeed o nusrat ka) jo waada tumse kiya tha woh to Usne poora kar diya, ibteda mein Uske hukum se tumhi unko qatal kar rahe the magar jab tumne kamzori dikhayi aur apne kaam mein baham ikhtilaf kiya, aur junhi ke woh cheez Allah ne tumhein dikhayi jiski muhabbat mein tum giraftar the, (yani maal e ghaneemat) tum apne sardar ke hukum ki khilaf warzi kar baithe is liye ke tum mein se kuch log duniya ke taalib the aur kuch Aakhirat ki khwahish rakhte the, tab Allah ne tumhein kafiron ke muqable mein paspan kar diya taakey tumhari aazmaish karey, aur haqq yeh hai ke Allah ne phir bhi tumhein maaf hi kar diya kyunke mo'mino par Allah badi nazar e inayat rakhta hai. **153. Yaad karo jab tum bhaage chale jaa rahe the, kisi ki taraf palat kar dekhne tak ka hosh tumhein na tha, aur Rasool tumhare piche tumko pukar rahe the, us waqt tumhari is rawish ka badla Allah ne tumhein yeh diya ke tumko ranjh par ranjh diye taakey aainda ke liye tumhein yeh sabaq miley ke jo kuch tumhare haath se jaye ya jo museebat tum par nazil ho, us par malul (grieve) na ho; Allah tumhare sab amaal se bakhabar hai.** 154. Is gham ke baad phir Allah ne tum mein se kuch logon par aisi itminaan ki si halat taari kar di ke woh unghne lagey, magar ek dusra giroh jiske liye sari ehmiyat bas apne mafaad hi ki thi, Allah ke mutaaliq tarah tarah ke jahilana guman karne laga jo sarasar khilaf e haqq the, yeh log ab kehte hain ke, “is kaam ke chalane mein humara bhi koi hissa hai?” Unsey kaho, (kisi ka koi hissa nahin) is kaam ke sarey ikhtiyaraat Allah ke haath mein hain. “Dar-asal yeh log apne dilon mein jo baat chupaye huey hain usey tum par zaahir nahin karte, inka asal matlab yeh hai ke, “agar (qayadat ke) ikhtiyaraat mein humara kuch hissa hota to yahan hum na maarey jatey.” Insey kehdo ke, “agar tum apne gharon mein bhi hote to jin logon ki maut likhi hui thi woh khud apni qatal-gaahon ki taraf nikal aatey,” aur yeh maamla jo pesh aaya, yeh to is liye tha ke jo kuch tumhare seeno mein posheeda (hidden) hai, Allah usey aazma le aur jo khot tumhare dilon mein hai usey chhaant dey. Allah dilon ka haal khoob jaanta hai. 155. Tum mein se jo log muqable ke din peeth pher gaye the, unki is lagzish ka sabab yeh tha ke unki baaz kamzoriyon ki wajah se shaytan ne unke qadam dagmaga diye the. Allah ne unhein maaf kar diya, Allah bahut darguzar karne Wala aur burdbaar (All-Forbearing) hai. ع 156. Aey logon jo imaan laye ho, kafiron ki si baatein na karo jinke azeez o aqarib agar kabhi safar par jatey hain ya jung mein shareek hotey hain (aur wahan kisi haadse se do-char ho jatey hain) to woh kehte hain ke agar woh humare paas hotey to na marey jate aur na qatal hote. Allah is qism ki baaton ko unke dilon mein hasrat o andoh ka sabab bana deta hai, warna dar-asal maarne aur jilane Wala to Allah Hi hai aur tumhari tamaam harakaat par Wahi nigraan hai. 157. Agar tum Allah ki raah mein maarey jao ya marr jao to Allah ki jo rehmat aur baqshish tumhare hissey mein aayegi woh un saari cheezon se zyada behtar hai jinhein yeh log jamaa karte hain. ***158. Aur khwah tum maro ya maarey jao, bahar-haal tum sabko simat kar jana Allah Hi ki taraf hai.***
26th Ramadan 1444 Makkah Tahajjud Sheikh Juhany
55:33
تسجيلات الحرمين | Haramain Recordings
Рет қаралды 20 М.
6th Ramadan 1445 Makkah Taraweeh Sheikh Juhany
33:47
تسجيلات الحرمين | Haramain Recordings
Рет қаралды 6 М.
ААААА СПАСИТЕ😲😲😲
00:17
Chapitosiki
Рет қаралды 3,6 МЛН
NERF WAR HEAVY: Drone Battle!
00:30
MacDannyGun
Рет қаралды 12 МЛН
Must-have gadget for every toilet! 🤩 #gadget
00:27
GiGaZoom
Рет қаралды 11 МЛН
Heart Melting Voice | Heart Touching Quran Recitation | Sheikh Abdullah Al Juhany
12:06
The Holy Quran Recitation (English)
Рет қаралды 217 М.
Night 07 | Sheikh Badr Turki | Makkah Taraweeh 2024
13:32
Voices of the Quran
Рет қаралды 3,9 М.
صلاة التروايح بمكة المكرمة | ليلة 18 رمضان 1433 هـ للشيخ الجهني
41:33
الهيئة العامة للعناية بشؤون الحرمين
Рет қаралды 192 М.
Makkah Salaat Al Khusoof 10th December 2011 by Sheikh Al-Juhany
27:54
haramainsalaat
Рет қаралды 130 М.
21st Ramadan 1445 Makkah Taraweeh Sheikh Badr Al Turki
34:03
تسجيلات الحرمين | Haramain Recordings
Рет қаралды 48 М.
تراويح الشيخ ماهر المعيقلي كاملة 1444 هـ | تراتيل مميزة
2:48:48
12th Ramadan 1443 Makkah Taraweeh Sheikh Shuraim
31:10
تسجيلات الحرمين | Haramain Recordings
Рет қаралды 11 М.
ААААА СПАСИТЕ😲😲😲
00:17
Chapitosiki
Рет қаралды 3,6 МЛН