💖 لا اله الا الله 💖 🌴 سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله اكبر 🌴
@roqaiahali9508 Жыл бұрын
mashallah allah bless you sheikh dosary
@mohdsubhan9123 Жыл бұрын
Allah Pak ham sabko hamare walidain ke saath haramain sharifain me namaz-e Fajr padhna naseeb farma....❤❤❤❤❤❤❤
@szeesan8959 Жыл бұрын
مشا اللہ very beautiful recitation by My 2nd favourite seikh
@malikusman140 Жыл бұрын
ماشاء اللہ
@ซีนาดีนสลาหมาด Жыл бұрын
إقامة الصلاة الفجر للشيخ أحمد نحاس
@mohdsubhan9123 Жыл бұрын
Mashaallah....❤❤❤❤❤
@alassanebah5591 Жыл бұрын
❤❤❤masha allah
@hadiyeucarALLAHUEKBER Жыл бұрын
ALLAH. LAILAHA iLLAALLAH 🌟🕋. Muhammed er. Rasulullah 🌟🕋Aeemin Aeemin
@identityofallah Жыл бұрын
Allah is the Unique, Omnipotent and Only Deity of the universe. Our Lord is Allah SWT. There is no 'True God' / 'True Deity' except Allah. Allah is Exalted Above His ‘Arsh (Mighty Throne’) above the heaven. Know Allah by His Most Beautiful Names & Lofty Attributes (Asma Was Sifat). Holy Qur'an is Allah's Word. Qur'an is final revelation & guidance for mankind. Knowing Allah is the pillar whereupon Islam in its entirety hinges.
@tasnimahad7108 Жыл бұрын
Alhamdulillah
@shakhaoathpappu8196 Жыл бұрын
Ma-Sha-Allah,,, ❤️❤️❤️❤️❤️❤️🇧🇩🇧🇩
@القرانحياتي-ق5م Жыл бұрын
جزاك الله خير
@nasrullahkhan8758 Жыл бұрын
😢
@QuranTranslators Жыл бұрын
Roman Urdu Translation: 2:11 **176. Ashaab-ul-Aiykah ne Rasoolon ko jhutlaya.** 177. Yaad karo jab ke Shoaib ne unse kaha tha, “kya tum darte nahin?? 178. Main tumhare liye ek amanat-daar Rasool hoon. 179. Lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo. 180. Main is kaam par tumse kisi ajar ka talib nahin hoon, mera ajar to Rabbul Aalameen ke zimme hai. 181. Paimaane theek bharo (Give full measure) aur kisi ko ghaata (less) na do. 182. Saheeh tarazu se tolo, 183. Aur logon ko unki cheezein kam na do, zameen mein fasaad na phailate phiro. 184. Aur Us zaat ka khauff karo Jisne tumhein aur guzishta naslon ko paida kiya hai.” 185. Unhone kaha, “tum mehaz ek sehar zadah (affected by magic) aadmi ho. 186. Aur tum kuch nahin magar ek insan ho hum hi jaise, aur hum to tumhe bilkul jhoota samajhte hain. 187. Agar tum sache ho to hum par aasman ka koi tukda gira do.” 188. Shoaib ne kaha, “mera Rubb jaanta hai jo kuch tum kar rahe ho.” 189. Unhone unhe jhutla diya, aakhir-e-kaar chhatri wale din (Day of Canopy) ka azaab un par aa gaya, aur woh bade hi khauff-naak din ka azaab tha. 190. Yaqeenan is mein ek nishani hai, magar in mein se aksar log maanne wale nahin. 191. Aur haqeeqat yeh hai ke tumhara Rubb Zabardast bhi hai aur Raheem bhi. ع 192. Yeh Rabbul Aalameen ki nazil kardah cheez hai. 193. Ise le kar tumhare dil par amanat-daar rooh utri hai. 194. Taakey tum un logon mein shamil ho jo (khuda ki taraf se khalq-e-khuda ko) mutanabbeh (warn) karne wale hain. 195. Saaf saaf arabi zuban mein!! 196. Aur agle logo ki Kitabon mein bhi yeh maujood hai. 197. Kya in (ahle Makkah) ke liye yeh koi nishani nahin hai ke ise ulema-e-bani Israel jaante hain?? 198. (Lekin inki hatdarmi ka haal yeh hai ke) Agar Hum ise kisi ajami (non-arab) par bhi nazil kar dete. 199. Aur yeh (faseeh Arabi Kalam) woh inko padh kar sunata tab bhi yeh maan kar na dete. 200. Isi tarah Humne is (zikr) ko mujrimon ke dilon mein guzara hai. 201. Woh is par imaan nahin laate jab tak azaab e aleem na dekh lein. 202. Phir jab woh be-khabari mein un par aa padta hai. 203. Us waqt kehte hain, “ke kya ab humein kuch mohlat mil sakti hai?” 204. To kya yeh log Humare azaab ke liye jaldi macha rahe hain? 205. Tumne kuch ghaur kiya, agar Hum inhein barson tak aish karne ki mohlat bhi de dein, 206. Aur phir wahi cheez un par aa jaye jisse inhein daraya jaa raha hai, 207. To woh saaman-e-zeist (provisions of life) jo unko mila hua hai inke kis kaam aayega? 208. (Dekho) Humne kabhi kisi basti ko iske baghair halaak nahin kiya ke uske liye khabardar karne wale haqq e naseehat ada karne ko maujood the. 209. Aur Hum zaalim na the. 210. Is (Kitab e Mubeen) ko shayateen le kar nahin utre hain. 211. Na yeh kaam unko sajta hai, aur na woh aisa kar hi sakte hain. 212. Woh to iski samaat (hearing) tak se door rakhe gaye hain. 213. Pas (aey Muhammad ﷺ) Allah ke saath kisi dusre mabood ko na pukaro, warna tum bhi saza paane walon mein shamil ho jaoge. 214. Apne qareeb-tareen rishtedaron ko darao. 215. Aur imaan lane walon mein se jo log tumhari pairwi ikhtiyar karein unke saath tawazo (humble/kindness) se pesh aao. 216. Lekin agar woh tumhari nafarmani karein to unse keh do ke jo kuch tum karte ho usse main bari-uz-zimma (not responsible) hoon. 217. Aur us Zabardast aur Raheem par tawakkul (bharosa) karo. 218. Jo tumhein us waqt dekh raha hota hai jab tum uthte ho. 219. Aur sajdah guzaar logon mein tumhari naqal o harakat par nigah rakhta hai. 220. Woh sab kuch sunne aur jaanne Wala hai. 9:14 **221. Logon, kya Main tumhein bataon ke shayateen kis par utra karte hain?** 222. Woh har chaal saaz, badkaar par utra karte hain. 223. Suni sunayi baatein kaano mein phoonkte hain, aur un mein se aksar jhoote hote hain. 224. Rahe shu'araa (poets), to unke peeche behke hue log chala karte hain. 225. Kya tum dekhte nahin ho ke woh har waadi (valley) mein bhatakte hain. 226. Aur aisi baatein kehte hain jo karte nahin hain. ***227. Bajuz un logon ke jo imaan laye aur jinhone neik amal kiye, aur Allah ko kasrat se yaad kiya, aur jab un par zulm kiya gaya to sirf badla le liye, aur zulm karne walon ko anqareeb maloom ho jayega ke woh kis anjam se do-chaar hote hain.*** ع **||26. Surah Shua'raa||** ___________________________