Рет қаралды 1,004
Welcome to Master Typing Beta Version..
Master typing commentary screen reader ka aik extension hai. Jis say aap voice typing kar saktay ho.
Stable version 15 October 2024 ko release hoga..
This is beta update of Master Typing..
Master typing kis kis language may typing kar sakta hai?
1. English, 2. Roman Hindi, 3. Roman Urdu..
English language may type karnay kay liye aapkay pass internet Ho Ya Na Ho typing kar saktay hain.
Yani kay English may offline typing bhee Hogi aur online typing bhee Hogi.
Lekin Roman Urdu aur Roman Hindi kay liye aapkay pass internet Hona chahiye.
Roman Urdu aur Roman Hindi offline typing nahi karayga.
Aur jo special commands hain. Wo bhee offline kaam karaygi.
How to use?
Jab be aapkay screen per text box maujud hoga. Chahay aapka focus text box per Ho Ya Na Ho. Toe aap master typing ko execute karaingay. Aur aap Jo bolayngay voice kay through wo edit box mei type ho jaega.
Aur Jub screen per edit box maujud nahi hoga. Tow aap master typing ko execute karaingay.
Tow aik dialog box open hoga. Us dialog box ka title master typing hoga.
Main dialogue box may teen list items hongay. Jo K KZbin k playlist kay links Hain.
1. Commentary screen reader online course, 2. Jieshuo default functions, 3. Jieshuo advance tutorials..
Agar aapko Jieshuo seekhna hai kaisay chalatay hain toe inne playlist ko aap visit zaroor kijiye ga.
Uskay bad bottom per teen button hongay.
1. About button, 2. Exit button, 3. Special commands..
Exit button per click karogay Toe dialog box close ho jaega.
Special commands per click karogay Toe aik Aur dialog box open ho ga. special commands categories kay naam say. Usmay aapko Kuchh categories milayngi. Har category par click karnay say aapko aik list milaygi. Us list may aap Dekh saktay hain kay aap Master typing ko kon kon say command day saktay hain.
For example
waha per aik category Ka Naam hai. screen reader names. Usmay Jo short special commands Hai.
J1 for Jieshuo, J2 for JAWS,J3 for NVDA.
Yani kay Agar kabhhi aapnay Jieshuo likhna ho tow aap master typing ko execute karaingay aur J1 bolayngay tow screen per text box may Jieshuo paste ho jaega.
ISI Tarah aap aur categories be daikh saktay hain.. sub main special commands maujud Hain.
Aakhir may, jo CSR with MK content and platforms key category hai.. Usmay Hamaray Jitnay be content kahi be available hai.. aur jitnay be platforms hain.. unkay links kay special commands maujud hain.. Aap unko edit box may paste Karva saktay hain..
For example.
Agar aap master typing ko execute karkay kahogay.
CSR with MK community link
Tow master typing Hamari WhatsApp community ka link paste Kar Daiga.. Tow aap usko Khud be join kar saktay hain, Updates kay liye.. aur apnay friends ko be join Karva saktay hain..
Aur Baki Jo hamaaray platforms aur content maujud Hai.. unkay be aap link Hasil kar saktay hain.
Ab baat kartay hain about button kay baaray may.
About button may aapko about master typing, about CSR with MK, or about feedback milayga.
Aur yaha per feedback button, exit button, aur go back button be Hoga.
Feedback kaisay daina hai.. Wo aap about feedback may ja kar daikh saktay hain.
About CSR with MK may, Aapko CSR with MK kay baaray may information milaygi.
Aur is Waqt aap about master typing walay tab may hain.
Yay tow tha mokammal overview about master typing.
Ab baat kartay hain kay aap master typing Ko update kaisay kar saktay hain.
Jaisay kay aapko pata hai. Yay beta version hai. Ismay abhhi bohat improvement karni hai. Jo aapkay feedback kay bagair nahi ho sakta.
Aap about feedback may jakar dekhiye ga. Ke feedback kaisay daina hai. Aur feedback zaroor dijiyega.
Aur master typing ka stable version 15th October 2024 ko release hoga. Aap 15 October 2024 ko Jieshuo settings may ja kar. Download additional resources may ja kar. Extensions may ja kar. enter keyword per click kar kay. Without space CSR with MK Likhogay. Tow wahan per aapko master typing mil jayega.
Aur enter keyword per click karnay kay bad. Aap master typing ko execute karkay kahogay.
CSR with MK user name
Tow master typing Hamara user name paste Kar Dega. Is Tarah aapko likhnay key zaroorat nahi parhaigi.
Thank you so much.
Enjoy master typing Extension..