Рет қаралды 5,662,498
Follow on Instagram ☑️
/ akhilredhu
Available on⬇
Spotify: open.spotify.c...
iTunes: music.apple.co...
JioSaavn: www.jiosaavn.c...
Amazon Music: music.amazon.i...
▪Song - Meri Tarha
▪Vocals/Lyrics/Composition - Akhil Redhu
(Insta: / akhilredhu )
▪Music Produced by - E-MAN47
▪Mix and Mastering by - Akhil Redhu
▪Visuals by - dualvoidanima
(www.instagram....)
#akhilredhu #rangamanch #meritarha
Lyrics:
Har roz subha uthta hu
Magar kyu nind na aati raaton me
Khaali hai deewarien kamre ki
Aur jang lagi darwazo me
Haan main hu jo qaid hai mujhme
Main hu, niraash jo khudse
Sabko dikhata raahe
Aur gumshuda hu apni raahon me
Kya mod hai jispe therha hu
Main kabse khudko keh raha hu
Ke kal se badal duga khudko
Per roz main khudko seh raha hu
Main haara hu jo tuut gaya
Gardish me main voh taara hu
Haan kal se badal duga khudko
per roz main khudko seh raha hu
Meri Tarha kya tum bhi khudko hi tarashte
Voh guzre waqt ki kya galtiya sudharte
Haan mehfilo me apni khushiya saari baat ke
Kya tum bhi raatein saari tanha hi guzaarte
Haan cheekh raha hu aankhon se
Narmi hai meri in baaton me
Sapne hai mere aur khud hi gala
Main ghot raha hu haathon se
Ab aur nahi sehna
Ye raaz kahu main gairo se
Main khush hu zindagi se
Ye juth kahu ghar vaalo se
Kaisa darr mere andar
Thar thar kaap rahi meri nas nas
Banjar khaab lage ab har dum
Ab bas taane kase sab has has
Haan mene jo kiye vaade hai
Ab tak voh sabhi aadhe hai
Nasrien hi jhuka leta hu
Apne jo nazar aate hai
Mehlo ke sangmarmar pe
Mene kangan tuut te dekhe hai
Aur choti chaar deewaro'n me
Maa-Baap voh haste dekhe hai
Toh kya hai kamyaabi
Kya hai zindagani
Raahe chunu main kaisi
Savaal mujhpe bhaari
Main aasma me rahatien
Kyu dhundta hu bein vajha
Hai ranjishein meri dua
Hai bekhabar mera khuda
Jitni bhi sikayat hai ye khud naadir ki kami hai
Jaisi bhi ye aas hai bas mehnat ke hi rang dhali hai
Chaadar jo odh ke soya jag se kaha waaqif hai
Thehra hu aaj me hi mujhe kal ki bhi kuch toh khalish hai
Haan mana dard hai abhi main kuch bana nahi
Shayad main sapno ke liye kabhi lada nahi
Girr jayega voh khwaishon ka ghar mujhpe hi
Agar main aaj apne bistar se utha nahi
Koshish karuga bas kal se behtar ban saku
Agar fisal gaya toh khud hi main sambhal saku
Gavau waqt na voh beeti baatein soch ker
Kabhi ruku na chahe dheeme hi kadam chalu
Meri Tarha kya tum bhi khudko hi tarashte
Voh guzre waqt ki kya galtiya sudharte
Haan mehfilo me apni khushiya saari baat ke
Kya tum bhi raatein saari tanha hi guzaarte