Рет қаралды 579,422
"ALI MAULANA ALI" - Mesum Abbas Nohay 2023
علی مولانا علی
Listen to the latest noha of Muharram 2023 by Mesum Abbas. This is a Hazrat Ali e Murtaza Noha by Mesum Abbas. Penned by Mazhar Abidi and recited by Syed Mesum Abbas Naqvi.
LYRICS: POSTED BELOW...
#MesumAbbas #AliMaulanaAli #Nohay2023
Noha Credits:
👉Title Noha: Ali Maulana Ali
👉Reciter: Mesum Abbas
👉Poet: Janab Mazhar Abidi
👉 Additional Poetry: Shah Shams Tabrez (ra), Janab Shaukat Raza Shaukat
Audio Credits:
👉Composition: Mesum Abbas - Mazhar Abidi
👉Chorus: Rizwan Mirza - Hasnain Mehdi - Sunny - Shahrukh
👉Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi (ODS - KHI)
👉Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI)
Video Credits:
👉Director: Ali Arman Baltistani
👉 Cinematography: Ahsan Raza
👉2nd Unit DOP: Shoaib Suleman
👉Camera Operator: Sarib Shah
👉Art Director: Ally Jafri
👉Edit: TNA Records
👉SEO Management / Coordinator / Cover Design: Yawer Abbas Damani (YAD Graphics)
👉 Social Media Management: Mussaib Sajjad (Bangalore-IND)
👉 English Translation: Ahmed Virani (USA)
👉Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah Dar e Hussain - New Jersey, USA)
👉Shot on RED & ARRI ALEXA
-- L Y R I C --
Ta Surat-o piwand-i jahan bud Ali bud
Ta naqsh-i zamin bud zaman bud Ali bud
Shahi ke wali budo wasi bud Ali bud
Sultan-i sakha-o karam-o jud Ali bud
Hum Adam-o hum Shish-o hum Idris-o hum Ayub
Hum Yusuf-o hum Yunus-o hum Hud Ali bud
Ham Musa-o ham Issa-o ham Khizr-o ham Ilyas
Ham Salihe Paygambar-o Daud Ali bud
Taaro'n Ne Abhi Ankh Na Kholi'n Thi Ali Tha
Na Aman Ka Paigham Na Holi Thi Ali Tha
Data Tha Duaien Thi Na Jholi Thi Ali Tha
Khaliq Ki Zaban Kun Bhi Na Boli Thi Ali Tha
Ali Mualana Ali
Toote Dilo'n Ki Sada
Ali Mualana Ali
Taaj e Wilayet Tera
Ali Mualana Ali
Tu Hijaab e Kibriya
Ali Mualana Ali
Haq Ne Kiya Faisla
Ali Mualana Ali
Jaan Sheh Dusra
Ali Mualana Ali
Anghusti Pe Darwaza Khyber Ko Utahle
Jo Dobte Suraj Ko Ishare Se Bulale
Tufaan Ka Rukh Phair Dai Mushkil Se Nikale
Jab Chahe Jahan Chahe Jise Chahe Bacha Le
Kul Emaan Hai Tu
Rab Ki Pehchan Hai Tu
Deen Ki Jaan Hai Tu
Teri Jo Fazilat Hai Woh Afsana Nahi Hai
Munkir Hai Jise Teri Taraf Ana Nahi Hai
Juz Zaar e Muhammad Koi Pehchana Nahi Hai
Dunya Ne Tujhe Mana Magar Jana Nahi Hai
Yeh Tera Jah o Hasham
Sahib e Taig o Alam
Hai Sab Tera Sab Pe Karam
Tu Sab Se Bari Khaliq e Akbar Ki Nishani
Na Uska Hai Sani Na Tera Koi Sani
Kehte Hain Yeh Quran Ke Tafseer o Mani
Dunya Ne Abhi Teri Haqeeqat Nahi Jani
Ayatullah Bhi Tu
Wajhullah Bhi Tu
Asadullah Bhi Tu
Hum Tere Muqalid Hai Tu Hi Rehbar e Azam
Hai Noor Tera Noor Khuda Wand Do Aalam
Ek Bhai Muhammad Hai Tera Noor e Mujassam
Jhutlaye Meri Baat Ko Kis Main Hai Bhala Dam
Hai Tu Hi Aalaa Nasb
Sher Haq Tera Laqab
Keh Rahe Hai Yahi Sab
Doobte Suraj Ne Kaha
Chand Sitaron Ne Kaha
Lal Qalandar Ne Kaha
Tere Liye Hamd o Sana
Na Nooh Thay Na Un Ka Safina Tha Ali Tha
Yasrab Tha Na Makka Na Madina Tha Ali Tha
Abid Na Ibadat Ka Qareena Tha Ali Tha
Jis Waqt Yeh Marna Tha Na Jeena Tha Na Ali Tha
Taskeen e Dil o Jaan To Ibadat Se Mile Gi
Tasdeeq Ibadat Ko Muwaddat Se Mile Gi
Sajdo'n Ko Sand Teri Wilayat Se Mile Gi
Tauheed Hamain Teri Muhabbat Se Mile Gi
Jo Tujhe Maane Khuda
Woh Bhi Munkir Hai Tera
Yeh Aqeeda Hai Mera
Parhta Hai Teri Shaan Main Quran Qaseede
Alhamd Se Walnaas Talak Hai Tere Charche
Quran Ki Tilawat Se Khule Raaz Ye Saare
Wlfjr Bhi Wallail Bhi Walshams Bhi Tu Hai
Aql Main Ata Nahi
Qalb Se Jata Nahi
Kiya Hai Samajh Ata Nahi
Juz Tere Kiya Jis Ne Saloni Ka Yeh Daawa
Jo Pochna Chaho Ge Jawab Uska Milega
Hathon Ki Hateli Ki Tarah Se Hai Yeh Dunya
Main Hota Tere Door Main Tu Poch Hi Leta
Kun Faya Kun Ka Safar
Yeh Sitaro Ka Nagr
Kiya Hai Yeh Shams o Qamar
Ummat Ne Tere Baad Yateemo Ko Sataya
Mola Teri Aulaad Ko Hai Khoon Rulaya
Ek Piyase Musafir Ka Lahu Ban Main Bahaya
Zainab Ki Rida Loot Ke Khaimo Ko Jalaya
Roti Thi Karb o Bala
Aaye Sher e Khuda
Lut Gai Ale Aba
Jab Sham e Ghareeba'n Ki Rida Dasht Pe Chai
Ghazi Ki Behan Ranj o Masaib Ki Satai
Ek Tota Huwa Neza Liye Pehre Pe Aai
Hathon Se Jigr Tham Tham Ke Daiti Thi Duhai
Cheen Gai Meri Rida
Bhai Bhi Qatl Huwa
Aaye Karbabola
Kehte Hai Zamane Se Yahi Mesum o Mazhar
Hum Haider e Karrar Ki Dehleez Ke Naukar
Rehti Hai Hama Waqt Sada Ek Ke Labo'n Par
Is Dr Se Bara Saare Zamane Main Nahi Dar
Malik e Kono Makaa;n
Saat Pardo'n Mai Niha
Hai Aqeedat Ki Azaan
Janum Fida e Haideri Ya Ali - Janum Ya Ali - Ya Ali Madad - Janum Ali
Muharram 2023/1445 | New Nohay 2023 | Ali Maulana Ali | 2023 video by Mesum Abbas reciting (Official Video) © 2023 Mesum Abbas
~-~~-~~~-~~-~
Please watch: "Mesum Abbas Latest Manqabat 2024 - Ali Sabse Baray Hain - 13 Rajab"
• ALI SABSE BARAY HAIN -...
~-~~-~~~-~~-~