Bharatiya samvidhan ke anusaar hinduon samet bharat ke sabhi naagrik bharat ke baraabar ke maalik hain.Pradhanmantri aur sabhi MP/MLA naagrikon se maasik vetan paane waale naagrikon ke naukar hein aur in chune naukron ka kaarya hota hai har mudde par naagrikon ke bahumat ki raaya ke anusaar har kanoon,yojna ityaadi ka banaana. Chune naukron ka chunaav bhi naagrik,'Representation of the People Act 'ke antargat hi karte hain jiska arth yeh hota hai ki kisi bhi mudde par chune naukron ke dwaara kanoon,yojna ityaadi banaane ke liye us mudde par naagrikon ke bahumat ki raaya ka representation karna anivaarya hai. Isliye chune naukron ko samvidhan ke loktantrik daanche se bahut pareshaani rahti hai aur ve kisi tarah se bhi samvidhan ke mul loktantrik daanche ko hi badal dena chaahte hain.Is kaaran naagrikon ko is baat se saavdhaan rehna hoga ki kahin koi naagrikon ki aankhon mein dharm aur deshbhakti ki dhul daalkar desh ka sinhaasan hi naagrikon se na cheen le. Aur is baat se bhi saavdhaan rehna hoga ki kahin koi vartmaan samvidhan,jisme hinduon samet sabhi naagrikon ko desh ke maalik hone ka gaurav mila hua hai,badal kar naagrikon par taanashahi se otprot manusmriti/hindurashtra waala samvidhan,jisme hinduon samet sabhi naagrikon ki haisiyat kewal kisi taanashah ke gulaamon jaisi hi hogi,na thop de. Isliye sabhi naagrikon ko aapas mein ekta banaaye rakhni chaahiye aur chune naukron ke samvidhan badalne ke mansoobon ko kaamyaab nahin hone dena chaahiye.