Jazakallah! I have been listening to this past 2 days
@AcceleratedTech2 жыл бұрын
Jazakallah mola salamat rakhe zikr e ahlebait a.s. karne walo ko. Labbaik ya Hussain a.s.
@seemikazmikazmi2505 Жыл бұрын
Jazakallah moula ke ghum main khoob rulaya
@humazaidi372 жыл бұрын
Hay meri bibi 😭
@yasmeenkhan23594 ай бұрын
Hye Bibi 😭
@sajjuu1005 жыл бұрын
Sab se khubsurat marsia ab tak ka perha... Kai bar sun chuki hu.. Qayamat ka parha ap ne. Mola salamat rakhin
@mubinarangwala19267 жыл бұрын
QAID KHANE MEI Qayd khaane mei (Haay Saadat aur zindan) x2 (Haaye sadaat haaye zindaan) x2 (Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai) x2 1. Dukhtare Fatema ghairat se mui jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 2. Aasman door zameen sakht kidhar jaaoun mein Yahi behtar he ke dunya se guzar jaaoun mein Bibiyon milke duaa maango ke marjaaun mein Maut aati hi nahin jaan khichi jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 3. Amaad-e-hind ka ghul itrat-e-shabbir mein he Shor-e-matam haram-e-saahib-e-tathir mein hein Kehti he jaaoun kahan paaon to zanjeer mein he Paaon uthta he to zanjir lipat jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 4. Aa idhar bibi Sakina se ye Zainab ka bayaan Hind darbar se jab aayegi su-e-zindaan Sabr tum ko he dikhana na uthe shoro fughaan Haaye ye din bhi aseeri tumhe dikhlaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 5. Dare zindaan pe huwa itne mein ambohe kamaal Jaane haatim ka he zindaa(n) mein nuzoolo ijlaal Qaidiyon uth ke dua deke karo istikbaal Zawja-e-haakime doraan he jo ye aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 6. Hind ne dekhke raandon ki taraf di ye sada Kiska yusuf he ye zindaan mein giraftaare bala Bibiyaan kiski hai rakhti jo nahin sar pe rida Un ke chehron se to kuchh aur jhalak aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 7. Dekhti kya he ke ik sher he aahan mein niha Laagharo khastatanon faaqakasho Tashnadahaan Naa to chalne ki taqat he na koi rishtae jaan Ghustakhaanon se larazne ki sada aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 8. Aayi nazdeek jo Sajjad ke Hind-e-dilgeer Boli woh konsi isyan ki mili ye tazeer Bole dasween ki muharram ki joh pehni zanjeer Aaj taqdeer bhi qaidi humein kehlati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 9. Hind ne puchha maraz kya he kaha bepadari Ghar jo daryaft kiya kehne lage darbadari Boli leta he khabar kon kaha bekhabari Jo khabargeer the unko to lahed bhaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 10. Baba sahib ke gale par jo na khanjar phirta Inke sar khulte na mein kaanton pe dar dar phirta Aur madine ki taraf sab ko mein le kar phirta Yaad hazrat mei watan ki humein tarpaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 11. Hind ne naam madine ka jo abid se suna Khaak par beth gayi haal ye taaqeer huwa Boli kya zainab-o-kulsum se nisbat he bhala Aise chehron se to khushbu-e-wafaa aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 12. Boli Zainab ke na le Zainab-o-Kulthum ke naam Woh nabi zaadiyan he qaid mein unka kya kaam Hind boli inhi baton mein hein sab un ka kalaam Kyun meri ruh tumhe dekh ke ghabraati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 13. Jo bhi surat he woh maasum nazar aati he Qudrate khaaliq-e-qayyum nazar aati he Koi Zainab koi Kulsum nazar aati he Un se taqdeer ye kis haal mein milwaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 14. Gird aabid ke phiri phir woh ba haal-e-tagheer Bole woh kon ye chillai kaneez-e-Shabbir Assalaam ay rasan-o-tauq-o-salaasil ke aseer Nawha karti huwi qadmon mein giri jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai 15. Bas “Dabeer” ab gham-e-shabbir se larzaa he jigar Hind bhi mehw-e-azaa aaj huwi nang-e-sar Qaidkhaane mein huwa sina zani se mehshar Yehi majlis he jo khud marsiya kehlaati he Haaye sadaat aur zindaan
@aliimamnowgawi88312 жыл бұрын
Shukriya
@zeenatnaqvi12813 жыл бұрын
JazakAllah
@aliakhtar53135 жыл бұрын
Moulaa AS hamesha salamat rakhen Aameen or toufiqat me Izafa farmayen Aameen Summa Aameen
@aawwaaqqaarr5 жыл бұрын
سید عون نقوی صاحب آپ بہت خوبصورت آواز کے مالک اور بہت شاندار انداز میں آپ نے طرز کا خیال رکھتے ہوئے بہترین ادائیگی کی ہے. اس سال میں مسلسل کئی بار اس کلام کو سن چکا ہوں. جزاک اللہ ولسلام .... سید دانش حیدر زیدی ... ٹورنٹو, کینیڈا
@kaneezebatool29014 жыл бұрын
Mashallah mola salamt rakhe apne azadaro ko 😍😍
@rukhsanayaqub8492 Жыл бұрын
Salamat raheyn Husaini .
@marziakhatoon8 жыл бұрын
Bohat he allah molah aap ko zendage thay
@sbakazmi07 жыл бұрын
mashallah bahut hi umda. maula salamat rakhe
@abihazaidi95954 жыл бұрын
Mashaallh
@syedkaunain2666 жыл бұрын
Mashallah...
@tanveerzehra61834 жыл бұрын
Thank you for uploading.
@kaneezebatool29014 жыл бұрын
Unlike krne walo pr lanat
@aqibmirza34665 жыл бұрын
Jazakallah
@Akbarzaidi1107 жыл бұрын
Haye Haye 😣😟
@khilathaidar19927 жыл бұрын
Nadeen noha
@Nazyaali1105 жыл бұрын
It is a Mirza Dabeer marsiya
@yazilabbas91949 жыл бұрын
Thankyou for uploading. May Allah bless you. Is it possible to get the full text of this Marsiya?
@minhalraza87918 жыл бұрын
Urdu or Eng?
@IsmailKhan-my9nv7 жыл бұрын
nadeem sarwar 2007 noha suno