Chala gaya to mere sheer khaar jhoole se Rula ke ho gayi rukhsat bahar jhoole se Phir apna Phool sa chehra zara dikha de mujhe Kahan Hai nanha mujahid mera bata de mujhe Sakina karti hai shikwe hazaar jhoole se Chala gaya to mere Humak ke god Mai aaja Udaas baithi hoon Ye soch kar teri jhoole ke Paas baithi hoon Kabhi to aayegi teri pukaar jhoole se Hawa Jo aake tere paalne Ko choomti hai Wo teri chand si Surat nazar Mai ghoomti hai Lipat ke rooti hai Maan baar baar jhole se Yehi to hoti hai umeed Maan Ke jeene ki Loote kamai na maqtal Mai Che Mahine Ki Na bhichde koi bhi parwardigar jhoole se Tadapta dekh ke kheeme ke Paas roti hai Sulagte dasht Mai asghar Ki qabr khodi hai Milaye kaise na Udaas ho gaya nanhi si Jaan Ka jhoola Hawa se jab bhi hila be zabaan Ka jhoola Lipat Lipat gaya ek Maan ka Pyaar jhoole se Sune ge noha tera jab anjuman se jab akhtar Kaleja thaam ke royenge sab ke sab akhtar Uthega Ranj o alam Ka ghubaar jhoole se