Рет қаралды 4,732
YE ABID NE ZAINAB SE FARMAYA HAI
CHATAYI ME LASHE KO DAFNAYA HAI
TITLE - CHATAYI ME LASHE KO DAFNAYA HAI
RECITER - RAZA ABBAS SULTANPURI
POET- HAIDER JALALPURI
COMPOSITION - RAZA ABBAS SULTANPURI
ANJUMAN AKBARIYA MANIYARI ALIGANJ SULTANPUR (UP)
VENUE - 8 MUHARRAM ROZA MAULA ALI ALIGANJ BAZAR SULTANPUR
LYRICS------
Sawal karti hai Abid se zainabe muztar
Bata do mujhko aye farzande ibne paighambar
Sawar hota tha abbas jab ki ghode par
Zamee`n pe khainchta jata tha wo Nisha`n
Aksar
Lahed banayi hai kyu itni choti Ghazi ki
Bata do mujhko bhala kaun si majboori thi
Ye Abid Ne Zainab Se Farmaya Hai
Chatayi Me Lashe ko Dafnaya Hai
Ajab Waqt Abbas Par Aya Hai
Chatayi Me Lashe ko Dafnaya Hai
Thi bikhri hui lash abbas ki
Mere dada Haider ke Akkas ki
In hatho se tukdo ko simtaya hai
Juda mere ammu ke Bazu bhi the
Lahu banke ankho me ansu bhi the
Hame itna ummat ne rulwaya hai
Jo Ghazi ki mayyat uthayi gyi
Zamee par dobara wo payi gyi
Ye manzar ne dil mera tadpaya hai
Karu mai bayan kaise wo maajra
Layino ne jo ki chacha par kiya
Janaze pe ghodo ko dauraya hai
Jo laye chatayi ko wo nek naam
To rakh kar zamee par kiya ye bhi kaam
Mere sath tukdo ko chunwaya hai
Jo aaye asad ke gharane ke log
Manane Lage wo bhi ammu ka sog
Unhi se chatayi ko mangwaye hai
Lahed me janaze ko rakhkar kaha
Chale aao mushkil me mushkil kusha
Hame din ye qismat ne dikhlaya hai
Nikal aaye markad se do hath jab
Aye Haider kaha roke Abid ne tab
Lahed Maine choti si banwaya hai
#newnoha2022 #nohay #noha2022 #razasultanpuriofficial #azadari_chitora #azadar #nohaaliakbar #8muharram #8muharramstatus #nohamolaabbas #nohamolasajjad #nohabibizainab