Gurujii Mai Aapse Kaam Sikhna Chahta hun, Aapse Milna Chahta hun. Kya Aap Mujhe Aapse kaam sikhne ka Mouka Denge?
@nh--668 ай бұрын
battery down ho gaya hai replace kardo thik ho jayega.
@carcrazy43238 ай бұрын
Kya ho sakata hai fault
@short77968 ай бұрын
Uska price kitna hai
@RajeshwarMurmu878 ай бұрын
Ye Jo scanner hai ye apko amazon aur Flipkart par available mil jayenge Rs 500 ke range par....... Mai fir se ek bat kehna chahunga ki isme sirf EMS hi scan hoga ......is scanner ke liye Mai ek hi bat kehna chahunga.......something is better than nothing.
@carcrazy43238 ай бұрын
Bhai mere pass bhi ek ecosport hai usme u0401 ka fault code aa raha hai abs eps airbag ka light kabhi kabhi blink karta hai kabhi nahi karta
@RajeshwarMurmu878 ай бұрын
Ye fault code ko solve karne k liye aap ko 5 chizon ko check karna padega.. 1. Gadi ka Battery sahi hai ki nhi & Alternator Battery ko properly charge kar paa raha hai ki nhi. Battery agar kharap hoga toh ye problem aayega. Aur Alternator agar sahi charge nhi dega ya beech beech main charge dena chor dega toh ye problem aata hai. 2. Jitna vi fuse box hai gadi main usme jitna vi ECU ka fuse hai bo sahi hona chahiye. Koi vi ECU ka fuse urr jane se ye problem aata hai. 3. Gadi main agar CAN LINE (CAN HIGH & CAN LOW) main koi problem aata hai toh ye problem aata hai. Iss ke liye aapko CAN LINE ko properly check karna padega. CAN LINE kahi pe open circuit rehne se ya fir loose contact hone se ya toh CAN LINE aapas main short hone se ye problem aata hai. 4. Agar upor ka sab cheeze check karne k baad sahi rahta hai toh fir last main aap ko gadi ka ECU replace karna padega. Kyun ke kharap ECU k liye vi ye problem aata hai. 5. Hame ek problem aur Mila tha ki usme abs ka tooth wheel ka problem tha to hamne abs ka tooth ring change kiya tha aur wo problem solve ho gya tha. Last mai yehi bolunga aapko ECU replace karne se pehle gadi ka pura wiring ko ekbar visually check kar lena. Jitna vi coupler hai sab khol khol ke dekh lena khai pe rust/sulpher deposite hua hai k nhi. Hua hai toh usko jarur clean kar lena. Aur koi coupler main burning ka koi nishan hai k nhi usko vi check kar lena. Coupler peghla hua conditions main milega toh usse jarur repair kar dena. Aur ECU replace karne se pehle uska cover nikal k ECU ka CIRCUIT BOARD ko vi aap visually check kar lena. Agar circuit main kahi pe vi burning sign mila toh aap sure ho jayenge k fault ECU mai hi hai.. Asha hai ki apka problem solve ho jayega. 🙏🙏🙏