Haye shaam ka bazaar x2 Sajjad sey ronay ka sabab pooch raha hai Haye shaam ka bazaar x2 Jo shaam mein guzri hai woh sab pooch raha hai Haye shaam ka bazaar x2 Woh lakh tamashaei, beh parda puphi behnain Kaisay na lahu roein beemar ki phir ankhain Is gham ki azeeyat new ussay maar diya hai Haye shaam ka bazaar x2 Kis tarha karar aey, beemar ko aey logoon Sar naizoon per piyaroon key, atey hain nazar jisko Bejhurm musafar ki, yeah kaisee sazaa hai Haye shaam ka bazaar x2 Ankhon sey hai khoon jaari, ghum khuar hai beemari Zanjeer hai peiron mein, aur thawk bhi hai bhaari Jalti hey zameen saree, aur garm hawa hai Haye shaam ka bazaar x2 Jageer nahi mangi, Zanjeer nahi badli Saayay mein nahi betha, poshaak nahi badli Maa behnon ki hathir wo, rida maang raha hai Haye shaam ka bazaar x2 Zindaan key masaib bhi, har waqt rulatay hain Askhon ko magar apnay, zainab sey chupa they hain Mar jaey na zainab yeh, kaheen sooch raha hai Haye shaam ka bazaar x2 Zindaan sey riha hokey bhi, zindaan mein hai sajjad Ek nani si turbat jo wahan, kartee hai faryaad Mar kar bhi rahoon qaid, mey kiya mairee khata hai Haye shaam ka bazaar x2 Yeh zakhm bhi sajjad ko, jeenay nahi deta Zakhmon sey sakina key jo, chipka raha qurta Woh khoo(n) bhara qurta hi, kafan uska bana hai Haye shaam ka bazaar x2 Bazaar mein darbaar mein, zindaan mein royay Chalees baras mout key, armaan mein royay Rehaan mera maula, tarapta hi raha hai Haye shaam ka bazaar x2
@sairahaider62813 жыл бұрын
Thanks so much!
@MBKA73 жыл бұрын
No problem 😊
@skarchan15213 жыл бұрын
Jazakallah
@ZeenathRazvi3 ай бұрын
Haye meri shahzadi Haye mere maula sajjad aap par zulm kare walo par lanat beshumar lanat taqayamat lanat jabtalak sham o Sahar baqi hai jabtalak lanat beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar beshumar