Aaj ke din ki shuruaat khushnuma ho gayi ye itna pyaara geet, Hemant Kumar ji ki dilkash aawaaz mein sunn kar ! Kya meetha gaaya hai Hemant.K.ji ne, Hasrat Jaipuri sb ke iss geet ko , dil ko chuu lete hain iske marm sparshi bol ! Kal teri tasveer ko, sajde kiye hain raat bhar ..Humne terii yaad ke, aa,nsu piye hain ..... ...... Kitne khoobsurat ash'aar hain .....Chaand jab nikla, sitaare aur itraane lage ...Inn sitaaro'n ne bhi humko, gham diye hain raat bhar ... Dard bhari awaaz mein bhi mithaas ki jhalak nazar aati hai ! ....Tum to sapno.n ke jahaa.n mein, so rahe thay bekhabar..Saa.ns ke taaro'n ke zakhm-e-dil siye hain ... ... Aur inki makhmali aawaaz , resham jaisi suro.n mein doobi huyi, kaano'n mein ras ghol rahi hai ! Ek aur nayaab geet, Hemant ji ki bhaari bharkam awaaz mein sunn kar mann praphullit ho gaya ! Shukriya, iss sunder upload ke liye ! 👍💐🙏