Bhagwaan jagjit singh ko koi replace nahi kar sakta This video deserves million of likes 🎉
@kiranbhaipurohit58933 жыл бұрын
Ahaaaa kyaa alap liye hai just speechless singing 🙏🙏
@scsharmaisback3 жыл бұрын
Thanks for your kind appreciation, Kiranbhai Purohit Ji. Keep watching for many more - at 7am every day.👍💐
@vichitram70373 жыл бұрын
Main toh jab bhi ye ghazal sunti hun, mera daaman bhi dard se bhar jaata hai, itna dard jhalakta hai, Jagjit ji ki aawaaz se, jab wo ye alfaaz gaate hain...Allah.....Allah...Dard se mera daaman bhar de ya All..aah..Aise lagta hai jaise Khuda se hi seedha naata jod liya hai..Apne bete ki maut ka gham nazar aata hai, unki iss gaayiki mein... Zindagi ki haqeeqat ki tasveer darshayi hai shaayar ne...Sooraj si ek cheez to hum sab dekh chuke..Sachmuch kee ab koii saher de Allah.!.....Ya dharti ke zakhmon par marham rakh de...Ya mera dil patthar kar de ya Allah.!... Unke aalaap mein bhi kampan hai jo uss gham ka ahsaas dilaata hai... Kitna dard seene mein daba kar gaayi hogi ye ghazal..Ek mahaan insaan hi aisa kar sakta hai.. Jitni bhi tareef karen kam hi hogi iss khoobsurat ghazal aur gaayiki ke liye... Shukriya, iss live performance ko saajha karne ke liye... Subhaan Allah.!!..Khush rahiye.!...👌👍🙏
@scsharmaisback3 жыл бұрын
Bahut dard bhara hai aawaaz main. Bete ke jaane ka zakhm kehaan bharta hai. Bahut shukriya, Vichitra M. Ji, aapki sarahana bhari behatreen tippanee ke liye. Dheere dheere puraane sab uploads dekhiye aur lutf uthaaiye. Khush rehain, swasth rehain.👍🙏
@kamalanandan.chetan Жыл бұрын
इस गजल का एक वर्जन और भी है जो राजीव गांधी जी की श्रद्धांजलि सभा में गाया गया है, जिसमे जगजीत जी कोमेट्री में अपने बेटे को याद करके इसे गाते हैं, वो वाली अपलोड करदो तो मज़ा आ जाएगा शर्मा जी ❤
@vichitram7037 Жыл бұрын
@@scsharmaisbackl forgot to mention about the incredible flute recital by Paras Nath, touched my heart strings 💗! Elevated the painful lyrics and the sorrowful rendition of this ghazal by Jagjit Singh ji ! Magnificence of the lyrics, music and exemplary singing is visible in this live performance ! Was such a treat to listen to ! Thanks 🙏
@scsharmaisback Жыл бұрын
This Concert was only a few months after his son had passed away. Perhaps it was the first after this tragedy. Grateful for your infinitely outstanding appreciation, Vichitra Mohini Ji. All the versions of this ghazal - Live or Album - are full of immense pain. Keep watching for more.👍💐🙏
@scsharmaisback Жыл бұрын
@@vichitram7037: Yes, of course, Vichitra Mohini Ji. I agree with you entirely.👍💐🙏
@kamalanandan.chetan3 жыл бұрын
Sir live concert ka alag hi andaz hota h Thanks to upload this
@scsharmaisback3 жыл бұрын
Many thanks, Kamlanandan Chetan Ji, for your appreciation of this upload. Keep watching for many more.👌
@Ahmed-ds9yk2 жыл бұрын
I will sing this Gazal
@scsharmaisback2 жыл бұрын
We will like to listen to your rendition, Ahmed Ali Ji.👍💐
@gunjansaxena34024 жыл бұрын
Namaste Suresh Ji. Jitni dard bhari aawaaz utni hi dard bhari ghazal. Live concert ki recording ki baat hi kucch alag hoti hai.Gaane waale ke saath musicians ko bhi ahmiyat di jaati hai. "Ya dharti ke zakhmon par marham rakhde, ya mera dil patthar kar de". Wakayee iss dharti ko zaroorat hai marham ki. Qateel Shifai ke bol hamari aaj ki sthitee par har tarah se lagoo hote hain. Atyant hi sundar peshkash. Bahut bahut shukriya sunane ke liye. 🙏🙏🙏
@scsharmaisback4 жыл бұрын
Sukhad aashcharya hua aapki tippanee dekhkar, kyunki aap aamtaur par Asha Bhosle ke geeton par hee tippanee kartee hain. Jagjit-Chitra ke bete, Vivek kee death ke kuchh hee maheene baad ka hai ye concert. Aawaaz main bahut dard hai. Zakhm abhi bhara neheen tha. Anaik dhanyawaad aapke samay avam tippanee ke liye. Khush rehain.👍