Рет қаралды 24
Dukh Bhari Ek Dastan
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan
Thi Mohammad ki wo beti
Thi Mohammad ki wo beti
Jiski tooti pasliyan
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan
Jiska istaqbal karte, thay Rasool-e-Mustafa
Aaj us-hi darbar me Zah,ra ko jhutlaya geya
Thi jo misdakin nama ki
Uska jhutlaya bayan
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan
Jaltey darwazey ke neechey, zauja-e-sher-e-khuda
Ageya bait-e-sharaf me, zalimon ka kafila
Mohsin-e-mazloom par tau
ro para phir asman
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan
Ek sahabi poochta tha, waqeya kya ho geya
Lashkar-e-ashab kis par, hamla-awar ho geya
Kyun Ali ke ghar ke aagey
Dher ki hein lakriyan
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan
Le chaley mazloom Ali ko, khench kar darbar me
Ye saza Haider ko bayat, ki mili inkar me
Ghar jalaya zulm dhaya
Aur galey me rassiyan
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan
Me Zia kese mukammal, kar sakoonga dastan
Jisme bikhra zulm itna, kum parey mera bayan
Jiskey gham me ro rahay hein
Aaj dekho ins-o-jaan
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan
Thi Mohammad ki wo beti
Thi Mohammad ki wo beti
Jiski tooti pasliyan
Dukh bhari ek dastan
Aaj kholey gi zuban
Dukh bhari ek dastan