Рет қаралды 29,688
Hamare yahan India me kuch 1500 se bhi jyada varieties ke aam hote hain aur India world me biggest mango exporter bhi hai
Dasheri, Chausa, Langra, Malda, Kesar, Hapus (Alphonso), Badami, Totapuri,Banginapalli, Raspuri, Himsagar, Neelam.
Aam ka jikra ho aur kachche aam se bana aam ka achar yaad na aaye , aisa kaise ho sakta hai. Kashmir me banne wala aam ka achar baki states ke oil se banane wale achaaron se kafi alag hai. UP ka hing aur mirch wala aam ka achaar mathriyon ke sath kisko achcha nahi lagta. Punjab ka sarson ke tel me kalonji aur kabuli chane daalkar banaya hua achaar, gujrat ka khattta meetha Chunda pickle, to wahi Andhra ka bahut sare garlic aur chillli daalkar banaya hua mango pickle Avakaya. Aap hamare recipe section me achar ki recipes bhi check kar sakte hain.