Majboori Mein Home Loan Lena | Mufti Tariq Masood | English Subs - Masail ke Hal

  Рет қаралды 132,793

The Dua Studio - Everything Islamic

4 жыл бұрын

In this video, Mufti Sahab takes on the mas'ala of home loans. Watch till end to understand fully.
Support us: Like, Follow, Subscribe and Comment

Пікірлер: 106
@abbasmohammed8548
@abbasmohammed8548 2 жыл бұрын
Mere upar 16lacs ka qarza tha...bhot pareshan tha ...magar Allah ke karam se ek duwa hai jo mai musalsal padta rha aur sabr ke saath Allah pe bharosa kiya ....mere saare karze utar gae...aur mere paas rozi ka zariya bhi Allah ne de diya....
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 2 жыл бұрын
Woh dua share karein.
@sameer1990able
@sameer1990able 2 жыл бұрын
Bhai woh duwa share kijiye please
@abbasmohammed8548
@abbasmohammed8548 2 жыл бұрын
@@sameer1990able qarz se nizat ki duwa qari shoaib meer ...search kariye apko mil jaega
@Muhammadahmadshaikh321
@Muhammadahmadshaikh321 2 жыл бұрын
أللهم اكفني بحلالك عن حرامك، وأغنني بفضلك عمن سواك
@nasimdioumane2522
@nasimdioumane2522 2 жыл бұрын
Bohot achi baat aur important bhi he bohot bohot sukriya inn interesting baat ke liye jazak Allah
@USAF25
@USAF25 5 ай бұрын
Scandinavia mein rent bohat hi zyada ha. Highly expensive. Phir nikaaly jaaney ka bhi khatra rehta ha maslik ki taraf se. Mortgage pe ghar aapko sasta perta ha aur koi khatra bhi nai hota nikaaly jaany ka. Yehan k ulumaa ne ye fatwa diya huwa ha k family waly log aik ghar le sakty hain. Yehan k laws support karty hain k bank aap se zyada sood na le jaisa k pakistan ya USA mein hota ha. Aap fix karwa lein monthly installment. But in any case sood sood hi ha. Allah hum sub per rehm kary aur muaaf kary. Ameen
@rajuagarbattiasansolmallic240
@rajuagarbattiasansolmallic240 3 жыл бұрын
MASHAALLAH♥️ALLAH HUM MUSALMANO KO TAMAM FIRQO SE HAT KAR APAS IMAN O AFEYAT K SATH ITTEHAD O ITTEFAQ DE AUR EK DOSRE KA SACHHA HAMDARD BANY
@muhammadsalman863
@muhammadsalman863 3 жыл бұрын
Agar koi rent Dy hi na sakta tou wo sood ki installment Kahan sy dyega
@haris1989able
@haris1989able 3 жыл бұрын
Shukr Allah ka
@MehboobKhan-ov1xd
@MehboobKhan-ov1xd 3 жыл бұрын
Masha Allah acha samjaya .
@maheenshah9722
@maheenshah9722 3 жыл бұрын
bht achy byan hoty hn ap k
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Assalamualaikum. Jazakillah for listening. Please subscribe to our channel and share our videos for a lot of sawaab.
@naazpeerzade148
@naazpeerzade148 3 жыл бұрын
Assalamualaikum .Dua kariye mere maa baap ke liye 30 sal se qarz me Hain lakhon ropiye sud dene me Gaye qarz hat ta nahi kabhi kabhi hum paise rahe kar bhi anaj nahi le sakte bahut fas Gaye Hain Dua kariye pls ..Abba thode ache akhlaq ke nahi Hain amee bimar raheti Hain .Abba amee ko sahi Raste pe chale aisi Dua kariye namazi bane mere maa baap Abba strong phir bhi namaz nahi padte .mere Abba bahut galat Hain sahi ho jayen Dua kariye
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Walekumassalaam Warahmatullahi Wabarakaatuhu. Insha'Allah hum zaroor dua karenge. Abba ko sahi raste par laane ke liye yeh cheezein zaroor karein: 1. Unki farmabardaari jab tak woh haram cheez ka hukm na dein. Woh jitne bhi kharab ho, aapke waalid hain, aur aapse muhabbat karte hain. Itni farmanbardari karo ki Allah raazi ho jayein aur Allah abba ka dil naram farmayein. 2. Aap khud poore deen par chalne ki poori koshish karein. Ghar ki taleem karein chahe koi bhi sunein ya na sunein. In Aa'mal ko dekh kar Insha'Allah woh bhi amal karne lagenge. 3. Unke liye Allah ke saamne khoob ro ro kar dua karein. Har namaz ke baad, Insha'Allah. May Allah bless your soul and may he guide you to the straight path. Aameen.
@munawardossul2635
@munawardossul2635 2 жыл бұрын
Contradiction in statement, on first part Mufti Sahib said it's permissible to buy house on mortgage as first home, on last part he is suggesting seeking pardon on Sin...not sure how to interpret the speech. By the you, it's now extremely difficult to rent home and stay in the same house over long period. Usually, landlords increase rent every, repair and maintenance not done, low standard and poor quality homes and fear of being asked to leave with 4 weeks notice. 🤔
@Saifykaify
@Saifykaify 2 жыл бұрын
imaan pukta rakhe allah pe taqwa rakhe mushkilo ko asan karega allah aur u samjh le ye imaan wale ke lie imtehaan hai hum itni si chizo me itne sawal khade kar dete hai history padhoge nabi ki sahabo ki to pata chalega unhone kya kya nahi kia hum to 1% karne me itna sochte hai sawal karte hai
@OmairAK
@OmairAK 2 жыл бұрын
This is our test. This materiistic world was never meant to be easy for a true Muslim. The more you try to seek righteous path, the life will become more difficult. The difficulties Muslims face will ease their life after Insha Allah. This is why it is mentioned in Quran that less fortunate Muslims (whom people usually call poor people) will find easier to enter Jannah due to the difficulties they had faced in their life. It's unfortunate that Muslims today are trying to find every way to make this life easy, forgetting that this is all temporary.
@asfandkhalil8374
@asfandkhalil8374 3 жыл бұрын
Jab ap par qarz ho our koi zarya na ho to pir ap qarz le sakte hai ke nai
@drshassan
@drshassan 2 жыл бұрын
Assalamualaikum,mere husband ki ek sal ki salary me se lakh rupiya k qareeb tax serkar le leti h ,mere pas makan nahi h .Jin logon ne loan per kuch liya h unka tax nahi lagta ,lakh k under k tax ,to kiya ma in halat me makan k liye tax le sakti hun.kiya Lena Dena Donao braber ho jayega .scholars kh rahe hainle lijiye .please bataen
@sabi3692
@sabi3692 7 ай бұрын
Sood is not allowed on any circumstances....rehaish k liye sood pe ghar Lena boht bada gunaah hai chaahe koi bhi wajah se liyaa jae sood haram hai haram....jo bhi ussko jaayaz kahega woh khud bhi gunaah me aa jaega....hadees me kahi bhi nahi likha hai ek baar jaayaz hai... Allah aur allah ke rasul (saw) se Jung hai jo sood me mubtilaa ho gaya..
@mateenmustafa4475
@mateenmustafa4475 Ай бұрын
Aapka Ghar rent par hai ya zaati Ghar hai?
@mohdibrahimpatel
@mohdibrahimpatel 2 жыл бұрын
JazzakAllah maulana sahab
@farazbaig5428
@farazbaig5428 3 жыл бұрын
Mere bahut saare sawalat the Is masle pr Sab hal ho gye
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Alhamdulillah!!
@ابوشافعہ
@ابوشافعہ 3 жыл бұрын
Soodi karz lene ki koi dalil ho tu zaroor inayat farmaye
@islamicreminder8704
@islamicreminder8704 3 жыл бұрын
Allah ki Haram karda cheez ko Koe Halal nahi Kar sakta ..Yaha Tak Nabi s.a.w ko b yeh haq nai
@kaynatkaynat5748
@kaynatkaynat5748 3 жыл бұрын
Lekin hmre pas kabi itne pese nahi honge k hum bina.loan.k.ghat kharid sake kyu k pese saving ki b kosis karenge nhi kar payenge kyu k dusre kharch aur rent chal raha hai toh hum kya kare kyu k kiraya har saal badh raha hai aur kiraye k ghar m koi facility b nahi hai toh kya kre hum b .
@HussainMemon
@HussainMemon 3 жыл бұрын
Mai 3 saal se rent pe rehta hu - Salary bhi Mashallah aam aadmi se zyada hai - Par itni nahi hai ke 10 saal bhi saving karu to achi jagah ghar le saku - Saste ghar mai rehna munasib nahi hai kyu ke locality sahi nahi hoti aksar - Ab koi mujhse Nikah hi nahi kar raha kyunke mera khud ka ghar nahi hai. 3 saal pehle talak hui thi uske baad se sab reject hi kar rahe hai kyunke khud ka ghar nahi hai - Or mere hi Dubai wale bhai ka ghar hai to uske liye Line lagi rehti hai rishto ki. Betiyaan bechne ka kaam chalu hai society mai.. DUbai wala ya Saudi wala paise wala hua usko bech do.. Khud ke mulk mai job hai or ghar nahi hai to wo kya keemat dega
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Bahut hi afsos ki baat hai ki esa aajkal mu'ashrey mein dekhna padta hai. Mufti Sahab farmate hain hi agar apne mayar ki jodi naa mil paaye toh thoda mayar ko neeche kar dein. Insha'Allah aap ko sabr aur shukr wali ladki milegi.
@HussainMemon
@HussainMemon 3 жыл бұрын
@@TheDuaStudio Mai Gujarat mai rehta hu India mai. Or yahan 2 jodi kapde wali ladki ko bhi khud ka ghar ho aisa ladka chahiye. Mere se 5 saal badi or 3 jawan baccho ki maa ne bhi mujhe reject kar dia kyunke khud ka ghar nahi tha.. aap us se neeche meyaar kya girau
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Moulana Makki Hijazi farmate hain ki Teen martaba Surah Rahman roz padh kar dua kiya karein. Shuru mai aur aakhir mai durood shareef padhein. Shart hai ki yaqeen ke saath padhein ko Allah paak zaroor intzaam karenge. Aur intzaam hone ke baad khush khabri hume bhi dein. Jazakallah
@HussainMemon
@HussainMemon 3 жыл бұрын
@@TheDuaStudio ALLAH amal ki taufeeq de ameen... JazakALLAH... Or ALLAH khush Khabri dene ka mauka de Ameen
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Aameen
@hareemfatima9422
@hareemfatima9422 3 жыл бұрын
NBP Sibaan waly jo qarz dy rahy hain ghr khareedny k lye kia wo lena jaiz hy .. wo kahty hain ispy 2% markup hy ...please ap guide kr dein .. mjy is bary my zada ilam ni hy
@harisshaikh5793
@harisshaikh5793 2 жыл бұрын
سود ہر حال مے حرام ہے مفتی صاھب سود کبھی بھی جا یز نہیں ہے
@arbazbelim2766
@arbazbelim2766 3 жыл бұрын
Hafta sistam jaiz he ya nahi
@waqarmughal4489
@waqarmughal4489 3 жыл бұрын
mere khayal se to her majbur shaks hi loan leta he.. aese to jis kisi ne sood lia he wo sub gunnah se bach gaye q ke sub majboor hen.. to phir QURAN ki wo ayat kis liye he jisme ALLAH ne kaha he ke hum tumhe lazman azamaenge?
@MuhammadAdil-sanu
@MuhammadAdil-sanu 2 жыл бұрын
asalm.o ally mulan sahab me ap ek ye sawall karna chahta ho k bank islamic bila sood jo loan d raha h wo.sahi h ya galat
@zaidkhan7298
@zaidkhan7298 2 жыл бұрын
bhai mera ek sawal hai ke hamare abba pe boht sara qarza ho gya the or unke paas mujhe pdhane ke liye pese nhi to unhone meri amma sone ke zewar girvi rkh ke pese liye lekin jab bhi use paise wapas lotane honge to use sood bhi dena pdhega ab mujhe smjh mai nhi aa rha hai ke un paiso pdhu ke nhi mujhe plzz jawab de dijiye
@peermohammad1917
@peermohammad1917 3 жыл бұрын
Asslam walekum..... Mai mumbai me rehta hu aur mera up me khud ka ghar hai .... Lekin fir bhi koi shaadi ke liy ready nahi hai .... Bolta tumhara mumbai me khud ka ghar nahi hai ... Mai rent pe rahta hu aur mumbai me job krta hu ....achhi salary hai phir bhi ...
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Allah aasaan farmayein. Dua karein khoob Allah se. Aur ek ladki par focus na karein. Ho sake toh apna mayyar thoda girayein. Bas dua karna na bhulein.
@sulmanbuttsulmanbutt8769
@sulmanbuttsulmanbutt8769 3 жыл бұрын
Mufti Tariq Sahab mjh mn gunjaish ni ghar layny ki kya Bnk sy Loan liya ja skta hai Btain ap
@sulmanbuttsulmanbutt8769
@sulmanbuttsulmanbutt8769 3 жыл бұрын
Mn bht preshan hon or mjbur bhi hon
@emamadoll8625
@emamadoll8625 3 жыл бұрын
malik mkan bht tng krta hain
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Assalamualaikum. Unke liye dua karein aur unko deen ki dawat dein.
@kaynatkaynat5748
@kaynatkaynat5748 3 жыл бұрын
@@TheDuaStudio agar esa karte hai toh bolte hai hamara ghar b isse chal raha hai. Aur zayada deen jante hai toh kya kare ab hum
@usmanhassan2017
@usmanhassan2017 3 жыл бұрын
Meezan bank ka fatwa taqi usmani kanhai
@gamekabaap2365
@gamekabaap2365 3 жыл бұрын
Humne bhi boht majboori me loan leke chota sa flat liya hai 10 saal kraye pe rehkar liya kya ye sahi hai kuuki koi pese udhar deta nahi jabhi bank se liya
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakaatuhu. Agar aap le chuke hain toh yeh dua padhein: "Allahumakfini bihalaalika an haraamik, wa aghni nee bifadhlika Amman siwaak". Insha'Allah jald se jald adaigi hogi.
@islam-deen3haQ7aLfaaz1
@islam-deen3haQ7aLfaaz1 2 жыл бұрын
Tariq sahab main rent pe rehta hu . Zameen ke liye aur gr banwane ke liye loan lena chahta hu ..batay kya kray
@sajalalychannel7529
@sajalalychannel7529 2 жыл бұрын
Hum Norway men rhte he or whn APna ghr Lena possible ni he whn usually log bank SE ghr lete he instalment or Koi suggest kr skta he k ye jaiz he ya ni ?
@mudassirriaz9117
@mudassirriaz9117 2 жыл бұрын
hazrat me rent pr rhta hn salary km hy bht prashan ho koi gunjaish hy?
@SahilSahil-vo1yw
@SahilSahil-vo1yw 4 жыл бұрын
Mere ek dost hai Jo rented house me rehte hai aur unke 3 bachche hai, ye Saheb bohot mushkilaath se guzre hai pichle 5, 6 saalon se baraabar kaam pe bhi jaana nai hua Seheth theek na honeki wajah se, nateeja theek se rent bhi nikalna mushkil horaha hai aur rent deneke liye qarz ki noubath padhti jaarahi hai, aur Aisi surath me kya Karna Chahiye? Own house k liye Agar Loan Lena theek Hoga tabbhi unhein bank se loan nai milsakta kyunke private motor water machine Ka kaam karte hai.. kya mein loan k leker unki madath karsakta hun ya koi aur behtareen raasta hai.. please mehernani hogi mashwere k liye. JazaakAllah Khair!.
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 4 жыл бұрын
Assalamualaikum. Agar aap loan leke unke madat karenge toh loan wapis karne ke liye installments dena bhi ek mas'ala hai. Agar installments unki zimmedari hoti hai toh woh aur mushkilaat mein padenge. Isliye isse behtar hai ki rent wale ghar pe hi rahein. Aur agar aap apni taraf se installments bhar ke loan ko complete karna chah rahe hain toh bhi aap installments ki jagah unka kiraya dene mein madad karein. Ya dusron se bhi madad leke, bina sood ke qarze ke unka makaan banane mein madad karein. Yeh sadaqah e jariyah aur hasana dono hoga. Sabse zaroori cheez yeh hai ki Allah pe bharosa karke loan na lein, aur isi tawakkul ki wajah se aap Allah ki madad ko apni aankhon se dekhenge, Insha'Allah. Allah aapko jaza e khair ata farmayein.
@muhammadishtiaq2010
@muhammadishtiaq2010 3 жыл бұрын
A.a.mufti sb mn Lahore mn rehti hm aur hamara ghar b rent p hy.meri shadi ko 10 sal hogy hm aur mery 4 bchay hm.apna ghar banana BHT mushkl Hy keun k halat he aisy hm husband job krty hm lkn expenses he BHT ziada hm bchat to dur month end pe qarz lna parta hy.merry husband an ye Imran khan ki ghar wali scheme se sood pe qarz l k ghar banana chty hm.un k khayal mn hm monthly ko rent py krty hm wo qarz ki instalment pay jojy gi.kindly is bary mn guide kr DN k kuch jaiz soorat hy k ni.waitng ur reply urgently
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
kzbin.info/www/bejne/bnutqXqngteIn68 Assalamualaikum. Upar wale link pe click karein. Uspe Mufti Sahab se sawal poochne ka tareeqa bataya gya hai. Jazakallah Khairan.
@attiqurrehman2530
@attiqurrehman2530 4 жыл бұрын
mai beljium mi rent k ghar mai rehtha hon yahyan aik bank ha jo 2 lakh loan detha ha lakin jab loan wapis karna ha to 2 lakha 5000 karna ha or loan b jis k 3 ya is sy ziyad bachy hon un ko he dathy hain plz humy bata dy ye losn layna thek ha ya nai
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 4 жыл бұрын
As Mufti Sahab said: if there's a possibility that you can live in a rented house / flat, then you should avoid taking home loans. However, if nothing else is possible, i.e. you're not able to get places on rent and its absolutely necessary (behad majboori) that you've to take loans to put a roof over your head, then you can. Jazakallah.
@studio2videos536
@studio2videos536 3 жыл бұрын
Rent dena padega na
@hatimalimagazi3079
@hatimalimagazi3079 Жыл бұрын
In anyway Interest is haram... House... car... or for any other needed thing... even in medication.... Bhikh maangna haraam nahi hai. Interest bayaj sut absolutely haraam hai. In anyway you can't make it halal. If you took a house on a loan ... sell it immediately and repay loan money... Khuda par bharosa karo ... surely khuda better house kardega. InshaAllah
@drshassan
@drshassan 2 жыл бұрын
Assalamualaikum
@Mdafroz-ht7ik
@Mdafroz-ht7ik 2 жыл бұрын
Aaslamualikum Md Afroz( india ) Question - education loan Mujhe canada jana hai masters padne ke liye uske liye 25 lakh approx hore Mere baba ke pass use zyada ki property hai apni majboori me bechne ke waje se thoda rate kaam araha + bhaiya bhi hai to mushkil hai - property bechna + mujhe depend nhi rahna hai babe ke paise pe ? Is waqt par mai education loan le saktu hu ya na ??
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 2 жыл бұрын
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakaatuhu. Please check out this link. It shows how to ask Mufti Sahab questions. kzbin.info/www/bejne/bnutqXqngteIn68 Jazakallah Khairan
@realsmart7036
@realsmart7036 3 жыл бұрын
Assalamalaikum mere liye duwa kariye mera qarz qatam hojaye karke ..mai logon ko intrest dete dete pareshan horaha hoon 😢
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Walekumassalaam Warahmatullahi Wabarakaatuhu. Insha'Allah hum zaroor dua karenge. Allah aapke jitne qarz hain sabki adaigi farma dein. Sabse pehle aap dil se taubah farmayein ki aap aayendah sood pe qarz nahi lenge aur ro ro kar Allah se maafi mangein. Aur phir yeh dono dua har namaz ke baad padhe, qarz Insha'Allah jald se jald utar jayega ا للَّهُمََّ إَِنِّ يَ أَ عُ وَذَُ بَِ كَ مَِ نَ اَل هَمَِّ وال ح زنَِ وأ عُ وَذَُ بَِ كَ مَِ نَ اَل ع جزَِ وال ك سلَِ وأ عُ وَذََُ بِ كَ مَِ نَ اَل جُ بنَِ وال بُ خلَِ وأ عُ وَذَُ بَِ كَ مَِ نَ غَ ل ب ةَِ اَلدَّي نَِ وق هرَِ اَلرَِّ جالَِ ALLAHUMMA INNI A’UDHU BIKA MINAL HAMMI WAL HAZANI WA A’UDHU BIKA MINAL ‘AJAZI WAL KASALI WA A’UDHU BIKA MINAL JUBNI WAL BUKHLI WA A’UDHU BIKA MIN GHALABATID DAYNI WA QAHRIR RIJAL Aur Yeh Dua اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكْ allahummak fini bi halalika an haramika wa agnini bi fadlika amman siwak
@realsmart7036
@realsmart7036 3 жыл бұрын
@@TheDuaStudio jazak Allah qair bhai Allah khush rakhe aapko
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Aameen.
@bombay_shoes9119
@bombay_shoes9119 3 жыл бұрын
Assalamu alykum wr wbk band kiraya par makan ka kiya masla hai
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Walekumassalaam Warahmatullahi Wabarakaatuhu. Band kiraya ka system aap mujhe samjha dijiye please. Jazakallah
@TariqKhan-pw3mo
@TariqKhan-pw3mo 3 жыл бұрын
Makan malik har sal kiraya bada daite he jis ghar ka kiraya 20 saal pahle 5 hazar tha aaj un gharon kiraya 20 hazar ho chuka he or ane wale 20 ya 25 sal me dugna ho jayega to phir kya hoga
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakaatuhu. Bhaijaan. Jahan tak mera ilm hai, inflation ke saath income bhi badhti hai. Aur agar aap loan lenge toh inflation se zyada hi uspe interest ke rates badhte hain. Ab aap koshish yeh karein ki kisi Islamic Bank ko approach karein ya dost ahbaab se bina interest ke qarz lein, jise aap kuch time mein chuka payein.
@TariqKhan-pw3mo
@TariqKhan-pw3mo 3 жыл бұрын
@@TheDuaStudio me Sood ko sahi nahi manta or na ye main apni baat kr raha hun bahut se log hain jo sari zindagi lakhon rupya kiraya daite hain lekin phir bhi becharon ka apna ghar nahi hota kiraya bhi bahut mushkil se de pate hain har mahine na jane kaise kaise intzam karte hain sari zindagi kiray me Paisa daite hain lekin phir bhi be Ghar rahate hain or han apne kaha har sal kiraya badhta he to har sal income bhi badti he har sal kiraya badega ye to pakka he lekin income badegi iska koi pakka pta nahi or agar dono cheeze bhi agar badi to isme fayeda kiska he
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Ab bilkul sahi baat farma rahe hain. Lekin baat yeh hai ki agar woh loan leke ghar bana bhi lete hain, toh usko chukane mein kiraya dene se zyada unko takleef hogi. Hum ese kaafi saare cases se waqif hain ki jisme logon ko laga ki kiraya se asaan hai ki kishton par paise wapis karein, lekin woh ulta unki takleef ka zariya bana. Kaash ki humara muashra itna accha hota ki ese har insan ki madad ko har maaldar aata, par afsos ameer log zyada tar gaflat mein bath te hain. Aap unke liye aur humare liye dua farmayein aur Insha'Allah hum bhi unke liye dua karenge.
@TariqKhan-pw3mo
@TariqKhan-pw3mo 3 жыл бұрын
@@TheDuaStudio aap jo farma rahe hain ye baat bhi apni jagah bilkul sahi he lekin ziyadatar log bina fayede ke na to kisiko udhar daite hain na ziyada madad karte hain balki makan malik ziyadatar kiraya badane ki sochte hain unme muslmano ka bhi yahi hal he
@shaistakhan2107
@shaistakhan2107 2 жыл бұрын
Education loan le sakte h?
@nikhathhakeemasultana3560
@nikhathhakeemasultana3560 Жыл бұрын
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barkatahu....bank k loan lekar beti ki shadi karsakte
@nikhathhakeemasultana3560
@nikhathhakeemasultana3560 Жыл бұрын
Karsakte hai kya?
@safiurrahman1489
@safiurrahman1489 3 жыл бұрын
Purana hay
@muhammadbilalkhan2360
@muhammadbilalkhan2360 3 жыл бұрын
Agar karobar ke liye bank se loen lena ha to kya ya sood ma ha ya nahe us ke ilwa or koi rasta na ho tab bhi
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Assalamualaikum. Jab tak aap Bank ko interest denge, tab tak woh sood main hi daakhil hoga. Aur bank se qarz na leke, kisi aadmi se kam qarz lekar business ko chhote satey se shuru karein, Insha'Allah bahut barkat hogi.
@drshassan
@drshassan 2 жыл бұрын
Assalamualaikum Meri service mese her sal 100000 tax le liya jata h
@ajmalnajib749
@ajmalnajib749 3 жыл бұрын
2000$ rent or 1800 mortgage so ab kia kia jaye
@Hello-db7yz
@Hello-db7yz 3 жыл бұрын
20000 rent do jannat me jaldi jana hai to
@HussainMemon
@HussainMemon 3 жыл бұрын
Ass Salam Aley Kum. Ajmal bhai mujhe bhi Banl Loan dene ready hai India mai 25 se 30 lakh tak Khud ke Makaan ke liye jo 30 ya 35 saal chlegi or jo mai rent de raha hu us se thoda zyada EMI mai jaaega.. Par wo Sood pe hai as u know. Mai Rent pe rehta hu taake Sood ka len den na karu. Mujhse koi Nikah nahi karta Kyunke khud ka ghar nahi hai. ALLAH ko Raazi rakhna zaroori hai. Logo ke liye kiya hua Amal Laanat ban ke gale mai aata hai. or 30 ya 35 saal tak kon karz bharta rahe. Shaadiyaan aaj kal 3 ya 4 saal se zyada nahi tik rahi
@ajmalnajib749
@ajmalnajib749 3 жыл бұрын
Bahi jan islam may ejazat he ager ap kese non Muslim country may rahty ho or ap apni information kayleye kisy alim say pucho. Sukriya, or ha Jannet or be tariko say milta ha
@ajmalnajib749
@ajmalnajib749 3 жыл бұрын
@@HussainMemon bahi jan , muslim country kay leye shariyat ejazat dayti he kay ap loan lo ,mager ap ko mufti say bat karni hogi,
@nikhathhakeemasultana3560
@nikhathhakeemasultana3560 Жыл бұрын
Please maulana reply do
@THEiKHANTV
@THEiKHANTV 3 жыл бұрын
PF ka paisa Kai sa ho ta hai
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakaatuhu. darulifta-deoband.com/home/en/qa/49224
@masoomasyed111
@masoomasyed111 3 жыл бұрын
Jazakallah khair
@NAUSHADALAM-gc9cr
@NAUSHADALAM-gc9cr 4 жыл бұрын
Education loan lena chahiye?
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 4 жыл бұрын
Bhai, education loan ke mas'ala ke usool bhi same hain jese ki home loan ke. Jazakallah
@dannyk4731
@dannyk4731 Жыл бұрын
Bank k alawa koi loan deta bhi kha he itne salo Tak kon deta ye
@iqbalrazi640
@iqbalrazi640 3 жыл бұрын
Halal me musqilat aur haram me asani,yesab chaqqar me nahi parne wale hamlog,hame bas asani chaiye,soholiyat chaiye bas,isab masla masaiyel me koi interest nahi he,bohut ho gaya masayel fasayel bekar ka
@TheDuaStudio
@TheDuaStudio 3 жыл бұрын
Assalamualaikum!
小丑家的感情危机!#小丑#天使#家庭
00:15
家庭搞笑日记
Рет қаралды 31 МЛН
My Daughter's Dumplings Are Filled With Coins #funny #cute #comedy
00:18
Funny daughter's daily life
Рет қаралды 30 МЛН
Don't look down on anyone#devil  #lilith  #funny  #shorts
00:12
Devil Lilith
Рет қаралды 46 МЛН
小丑家的感情危机!#小丑#天使#家庭
00:15
家庭搞笑日记
Рет қаралды 31 МЛН