YA ALLAH PAAKPARVARDIGAAR BIBI ZEHRA S.A. KE SADQE ME SABHI AZAADAARO KO BIMARI BALA SE NIJAAT AUR HIFAAZAAT KR,TAMAAM MERHOOMEEN KO SHIFAAT E MASOOMEEN A.S. NASEEB HO . AMIN
@jafarrizvi34185 жыл бұрын
Nauha originally from Anjuman Hashimiya Allahabad, written by Qamar Abdi and tarz by Ziya Abbas
@aimanfatima5908 Жыл бұрын
Lyrics: Maqtal me zara thehr ke jana ali akbar Laila badi hasrat se tumhe dekh rahi hai Maqtal me zara thehr k jaana ali akbar Hai uski nigaahon me tera chaand sa chehra Wabatsa hai bas tumse hi laila ki tamanna Aye kaash k saj jaata tere sarpe bhi sehra Kuch to dil e ghamgeen ka armaan nikalta Ashqon ki ladi ban gai sehre ki ladi hai Maqtal me zara thehr ke jana ali akbar Aaghosh me attharah baras Tum ka hai pala Tum hi ho faqat maa ki za'ifi ka sahara Hai tumse hi bas laila ki aakhon me ujala Afsos ki tumko bhi ajal ne hai pukara Qismat me tumhare likhi naize ki ani hai Maqtal me zara thehr ke jaana ali akbar Haan tumse juda kaise ho ham shakle payambar Tum dil ka sukoon uske liye ho ali akbar Kis tarha se zinda wo rahegi tmhe khokr Kya khaaye zaifi me wo taqdeer ki thokar Uski har ik saans faqat tumse judi hai Maqtal me zara thehr ke jaana ali akbar Malum hai laila ko ke thak jaoge tum bhi Is haal me ab ghar na palat paaoge tum bhi Zakhmo se bhara jism liye aaoge tum bhi Furqat me har ik qalb ko tadpaaoge tum bhi Chehre par nazar isliye laila ki tiki hai Maqtal me zara thehr ke jana ali akbar Sughra ko main kis tarha se keh paungi beta Kis dil se tera gham use batlaaungi beta Kya keh ke behen ko teri samjhaungi beta Main maa hun tadap kar wahin mar jaaungi beta Maa kya kare maa ke muqaddar me yahi hai Maqtal me zara thehr ke jana ali akbar Laila ke kaleje me hai bete ki muhabbat Wo laae kahan se dil e shabbir ki quwwat Kis dil se akbar ko wo marne k ijazat Hoti hai bhot qeemti aulaad ki daulat Ik maa ke liye sakht ye mushkil ki ghadi hai Maqtal me zara thehr ke jana ali akbar