Bahut bahut bahut i sundar se aap dikhaya Mandhata Parikrama path aur sab pracheen mandir. Last me jo Siddhinath Mandir dikhaya, usme abhi bhi mahatma o sookshma deha me aake pooja dete hai. Aap agar 'Tapobhoomi Narmada - Uttar Tat' (Hindi version bhi published hua hai - originally Bengali) pare hai toh malum hoga aap ko. Us kitab ka author - Shailendra Narayan Ghoshal Shastri Ji kebal sattar saal aagey (1954) Namada Paidal Parikrama kiye thhe aur kya kya adbhut anubhuti mila unko aur pracheen mahatmao se bhi adbhut bhet hua ! Usi mandir me unka swargiya Pita Ji aaye thhe unka kuch galti samjha dene ke liye. Agar ap wo kitab nahi pare hai toh mai request karungi parne ke liye. Aap itna sundar pura Mandhata parvat (ya Baidurjya Parvat) ghuma diya ki aap ko mai Kolkata se gift bhi bhej sakti hu agar Hindi version yaha milegi toh - aap ka address bhejna. Mai wo kitab (Bengali) me par ke gayi thi last Nov lekin ghutno dard ke liye nahi char paya. Un siriyo me baith gayi. Thankyou Thankyou.
@dineshtravelvlogs8 ай бұрын
Apka bahut bahut dhanyawad ji. Kripya aap muze instagram Par message kijiye. Channel ke discription me apko mere sabhi social sites ke links mil jayenge. Narmade har!🙏