Muje Ajj yeh video dekh k Acha feel ho raha ha k humari wo baten jo hum shayed kabhi na keh paty unhe sama ny zahir kar k bohat acha kam kiya ha main sama ko is video bnany par lakhon like dena chchta hun ..Kun k jo log kisi ghalat fehmi main hen wo is video sy kuch hasil karen aur apny Pak Watan Pakistan main he apne apko ko set karen aur aik achi zindgi jiyen ... Because this is the real face of Abroad .. Thanks Sama
@yasirjaved21398 жыл бұрын
Bhai bhar roozgaar ke liye jaane mein koi burayee nahi is drame ke dekhane ka hargiz matlab yeh nahi hai ki bahar roozgaar ke liye nahi jaana chahiye balki yeh dekhana chah rahe the ki wahaan mehnat kerni perti hai khoon paseena ek kerna perta hai tarah tarah ki mushkilaat aur challenges ka samna kerna perta hai . Aaj kal ke jo halaat Pakistan mein hain us mein oppertunitties ziyada nahi hain plus mehngayee aur bijli gas ke bil waghera hain aise mein jiski family hai biwi bache hain woh kaise guzara kerega . Agar aap ko bahar mauka milta hai tou jayen zaroor magar humare ghar waloon ko bhi ehsaas hona chahiye ki pardes ki badi badi buildings aur gadiyan yun hi araam se nahi mil jati balki you have to earn them yeh koi short cut se nahi miltin . Badkismati se humare haan ziyada ter loog is cheez se na wakif hain . Mein khud Saudiarabia kaam ker raha hoon magar mujhe ALHAMDOLILAH meri ami behen bhai ne kabhi kisi cheez ki farmaish nahi ki haan chuti per jaate waqt mein jo thora bauhat leker jaata tha usi mein bauhat khush rehte the
@aqeelabbas73878 жыл бұрын
yasir javed you have good family
@aqeelabbas73878 жыл бұрын
yaou have good family
@petshobby76017 жыл бұрын
Muhammad Saqlain will you plz come on whatsapp I think hum apas main mashwara ker k ia aur esay kai muamlaat ka beter hal nikal sakty hain.. 03333217971
@msaqlainuae7 жыл бұрын
Ok Sure
@asadzaffar40197 жыл бұрын
Asslamu walecum dosto Such mai yaar rula diya ek ek baat sahi thi. 80% true story of my Dubai life.
@lion81318 жыл бұрын
May ALLAH help all the brothers and sisters who are struggling out side of pakistan..i can only give dua to them..ameen
@rehanasyed46818 жыл бұрын
Servant of GOD ameen
@afzalsmehmood8 жыл бұрын
Servant of GOD not Pakistan Everyone AMEEN
@meradeeneislamloveislam Жыл бұрын
Aameen summa Aameen❤
@YousufmYousof8 жыл бұрын
سو فیصد درست ہے یہ کہانی یار ایسا لگتا ہے میری کہانی ہے
@khansk90516 жыл бұрын
koun ho tum
@saleemshahzaid85236 жыл бұрын
Love this story. Love from France.
@moinuddin85917 жыл бұрын
me saudiya me hon or Allah ka shukar hy me bohot khush hon or Allah sab ko khushya dey ameen Moin saudiya
@LalKhan-hd2ni7 жыл бұрын
100 True Thanks Hum ko aap Nay acha Rasta dikhya Hai Sama valon bhot Shukriya
@dangerkhan6576 жыл бұрын
This episode is very emotional and this is one of the best episode ever omg
@josh63027378 жыл бұрын
Salam to That person who direct this masterpiece
@adilaziz23086 жыл бұрын
Nice video yaar rula Diya 😥 Sahi baat he har insaan ko samajhna chahiye humare apne bahar Jake kitni mehnat karte he humare liye or hum he Jo samajhte hi nahi
@faheemkhanharoon45148 жыл бұрын
aisa he hota hey yarr but Chalo Koi to kush rhey...
@socialmediatutorials9678 жыл бұрын
Bohut zabardast story hai, almost 80% logon ka yehi haal hota hai bahar, aur peeche waale to bas ye samajhte hain jaise darakhton par se paise torhte hain bahar ja kar ......
@4imranrao8 жыл бұрын
Zabardast hasan really true story
@mohdgulfam58186 жыл бұрын
Sach m bhot he heart touching story h sabhi ka yhi hal h gulf m kaam karne walo Ka ghar wale kuch jyada hi ummed demand karte h
@paranormal4697 жыл бұрын
bhai me bhi Kuwait me hoo pr ALLAH ka shukar h mere ghar wale sab kuch samjte h....
@muhammadislam15738 жыл бұрын
I m living in Dubai.every second Pakistani have a same story
@saadkhan76038 жыл бұрын
story is almost true but such mothers are rare.
@yasirjaved21398 жыл бұрын
Yes they are rare but mothers like her do exist .
@bahrainstudio38798 жыл бұрын
mere sath bhi aesa he hota he har do month k bad ami kehti he chota bhai business karna chahta he pese bhej do kabhi kuch to kabhi kuch shayad mujhe bhi ek din yehi faisla karna pare pak jane ka very nice story....salam samaa
@yasirjaved21398 жыл бұрын
Bhai yeh Nisar ek admi nahi ya ek character nahi ya sirf ek individual ki kahaani nahi hai balki yeh har us shaks ki kahani hai jo apne apne gharoon se dor pardes mein tamam tar mushkilaat ke bawajood wahaan kaam kerte hain . Yehi kahaani ek ghareeb mazdoor ki hai jo Gulf countries ki 48 ' c ki garmi mein bhari bharkam bojh utha ta hai taaki uske ghar wale thande bister per so sakein . Ek waqt ka khana chor deta hain kahen tou loog bhoke bhi rehte hain taki ghar wale pait bhar ker kha sakein mein ne tou dekha hai ki n Magar yehi apne hi darasl sub se bade zalim hote hain jo bewajah ki umeedon ka bojh un per daal dete hain . Main aaj se 8 saal phele Saudiarabia aaya tha isi umeed per ki mein agar mehnat mushaqat karonga to mere gharwaloon ke halaat sudhar jayenge Kyunki abba ki death ke baad hum logoon ki financial condition bauhat kharaab ho gayee thi . Meri sister ko Doctor bane ka shokh tha aur medical ki parhayee bauhat bauhat expensive hoti hai mein is b aat ki bhi parwah nahi ki aur use encourage kiya use praarhaya likhaya medical collage mein addmission dilaya aur aaj ALHAMDOLILAH woh ek specialist hai mere bhai ko Engineer bana tha aur bahar jaana tha aaj woh Canada mein agricultural engineering mein masters ker raha hai raha . Meri ami ne aaj tak mujh se kisi cheez ki farmaish nahi ki unhain maloom tha ki main kis tarah yahaan rehta hoon mere bhen bhai bhi bauhat ache hain unhoon ne bhi kabhi bewajah cheezoon ki farmaish nahi ki jaise is drame mein dikhaya hai haan kabhi kabhi chuti jaane se phele mein khud hi ghar waloon ke liye chocolates waghera lejata tha . Main ne ab jaa ker apni sister ek mobile dilaya hai woh bhi apni taraf se naki uski farmaish per .
@tinat238 жыл бұрын
Zaarkhan Khan ALLA ASANI WALA MAMLA KRE GA BRO PARESHAN NA HO ALLAH TUMHE TUMHRE SIBLINGS PARENTS K NASEEB KA DEGA DW
@arykhan41808 жыл бұрын
beta g apna b yehe hal howa wa idr a k jama kr kr k bheja abi phr kch nai raha tb mne saf bola apna hal dikhaya to sukun hoa kch ab asa e kro idr ek do din k bat ne ha salo rhna ha yahan ham ne
@arykhan41808 жыл бұрын
in ko camps k life dkhani chye the lazmi
@yasirjaved21398 жыл бұрын
wÃJį ķHąÑ Bhai pakistan mein loog samajhte hain ki pardes mein paise darakhtoon per lagte hain bina mehnat kiye sub kuch mil jata hai . Pakistan jata hoon tou rishtedar dost paise mangte hain koi kehta hai ki ghar ke halaat ache nahi koi kehta hai business mein nukhsan ho gaya hai . wohi baat hai logoon ko Gulf ke halaat ka pata hai . yahaan ki panchayat ka pata nahi . Kafeel ka phada , Aqame ki tension , rehaish ka masla . loog tou thande paani ki botal bhi nahi khareedte ki paise kharach honge .
@bahrainstudio38798 жыл бұрын
yasir you have a big heart i salute you my frnd...
@imranaslam398 жыл бұрын
Same story with me. i am also here since last 3 years , every month received new demand , even can,t go Pak, (: (:
@rizwanrizwam79494 жыл бұрын
@@imranaslam39 feeling sad for u
@syedsaadhussain27955 жыл бұрын
Well done samma.. Waqai hum machine han apnay ghr walo k lyee😭😭😭😭
@SyedHussain-sj6gq4 жыл бұрын
Real story
@Faizan_iqbal6 жыл бұрын
Very meaningful story Love frm Malaysia 🇲🇾
@riz77947 жыл бұрын
Ghareeb aur hasrat bhari logo key story
@samsam-hc1ks7 жыл бұрын
riz khan Zabardast line
@MaryamsTaste8 жыл бұрын
So true aisa hi hota hai khud mny apni ankho se dekha hai
@akramequbal54608 жыл бұрын
Lovely Marry yes
@innocentjutt50726 жыл бұрын
😳😳
@adnannnkhan47578 жыл бұрын
aslam o alikom dosto me Dubai me hota ho or me jab b apni ammi s bat krta ho to mujhy ammi pochti hy beta to thek to hy Na beta to kab Pakistan ayga me bat ko tal matol kr k kabhi kabhi poch leta ho k ammi tujko kuch chahey to btao to mujhy apni kehti hy k beta mujhy kuch Ni chahey bus beta Allah tmko kamyab kry jis k ley to gya hy Allah her per desi ki ammi ka dil aisa bna Dy ameen
@jawadhussain33058 жыл бұрын
sime you
@yasirjaved21398 жыл бұрын
bhai tum MASHALLAH se lucky ho warna har ek ke ghar wale itne ache nahi hote .
@akramequbal54607 жыл бұрын
Adnannn Khan kya kra bhai sb log family ka liya aata kasm krna Lakin log waha tree mea se money urata hai kya kra mahant krna perga kow hum log Ik trah machine hon
@petshobby76017 жыл бұрын
Adnannn Khan will you plz come on whatsapp I think hum apas main mashwara ker k ia aur esay kai muamlaat ka beter hal nikal sakty hain.. 03333217971
@petshobby76017 жыл бұрын
Adnannn Khan welcome to join me, 00923333217971
@chashmanshabbirahmed85144 жыл бұрын
Last seen veryy y yyyyyyyyyy heart touching 😪😴😓😧😭😢
@Team_Dubai7 жыл бұрын
meri maa nae mangti sy kch moula mjhy unko hr aasaish deny k qabil bnaye ameen
@aarifsayyed4616 жыл бұрын
jhanzaib khan jhanzaib bhai aap lucky ho k aapki ma ko aapka itna ehsaas hai lekin aapki apni ma k liye muhabbat dekhkar meri ankh bhar aayi Allah aapki ma ko hunesha sehatmand aur khush rakhe ameen
@shahidawan5697 жыл бұрын
Allah pak sub ka hall pa reham kray ....I miss Pakistan
@hotvidoes52498 жыл бұрын
pardesi ka dukh pardesi he jana
@usmanjanjua21086 жыл бұрын
rt
@suhailrajput58196 жыл бұрын
Hot vidoes sae bat hai
@hamzarana47917 жыл бұрын
Heart touching kahani wow
@yazum118 жыл бұрын
finally playlist bana li shabash
@ghazalashaheen82188 жыл бұрын
nice
@asimraja1058 жыл бұрын
aj dil bohat he zada roya hay asim raja dubai
@mishimishi37808 жыл бұрын
rite this is true
@rehanasyed46818 жыл бұрын
asif ali kithna afshoos huwa kiy apney gar kiy log yeh kar shakta hain Apna kushi kiy liye bechara taang aah kar wapas Pakistan aur phir kiya karta
@asimraja1058 жыл бұрын
Mishi Mishi really this true
@asimraja1058 жыл бұрын
rehana syed very said god bless all people
@zahidKhan-tm8dm5 жыл бұрын
Kaya bhaiya aapne mujhe mere din yaad dilva diya vo me bohat roi hu yarrrr
@Progamer-sx6jw8 жыл бұрын
100 percent true
@ranaimran6398 жыл бұрын
70% my story
@malikshahid16608 жыл бұрын
very good khobas
@owaishussain55393 жыл бұрын
Zabardust kahani thi
@khurramsheikh43628 жыл бұрын
proud of you it's a true story no doubt heart touching story
@Meerahkhaan-bc2ob36 жыл бұрын
Absolutely right this is real storie
@sadiqabatool71488 жыл бұрын
Yes it shows reality only🙏
@labibahanwari38606 жыл бұрын
I poll ¹
@SharukhKhan-nq8ph8 жыл бұрын
mere sath bhi aiesa hi hota h jaise lagta h saudi arab me paise ped pe lagte h jau todlo pareshani koi nahi samajhta h
@zafarmujeeb96 жыл бұрын
بہت درناک کہانی ہے
@ridasheikhqureshi29608 жыл бұрын
right sachi kahani h ye itni mehnat Dubai k bajay apny mulk m kry to kam wali mashil nh bano gy
@yasirjaved21398 жыл бұрын
Aisi baat nahi ki mulk ke liye mulk ke ander reh ker koi kaam nahi kerna chahta baat hai sirf opportunities ki hai jo inhein nahi milti . Aaj se 7 saal phele US se scholarship per perhne ke baad ek student aya tha jo Southern Punjab ke ek kissan ka beta tha .Osne ek project banaya tha jiske tehet woh sukhe areas jaise Tharr , Cholistan , Rahimyaar Khan jahaan paani aur electricity ki kami hai woh kis tarah door ki jaye jab osne yeh project share kiya tou Federal aur provincial government kisi ne bhi lift nahi kerwaye . Akhir mein State of Nevada jo America ki sub se garam aur sukhi si jagah hai wahaan ki government ne uska project dekha aur ose wahaan bula liya aaj woh wahaan kaam kerta hai aur shayad woh kabhi wapas bhi na aye .Aaj se 16 saal phele Karachi ki NED university ki graduation ceremony ke dauran wahaan ke chancellor ne kaha ki yeh graduates sirf graduates nahi balki foreign exchange hain iska kya matlab tha ki engineering ke graduates ke liye Pakistan mein koi opportunity nahi balki yeh bahar chale jayein .
@nycto166 жыл бұрын
Rida Sheikh Qureshi aisi baat nhi ha....jb hmara Pakistan kisi ko rkhy ga nhi to sb kia road pr ajayen??? Bahar USA, Dubai etc sbko hire krta ha sbko bulata ha...is Pakistan me ha kia ek dhank ki job tk to milti nhi...isliye bahar jana zroori bhi ha aur behtr ha... Pakistan me rehne se to behtr ha
@romin4u8 жыл бұрын
I can relate to this
@nawazishali15228 жыл бұрын
speechless .....
@zeeshannaseer10298 жыл бұрын
Thanks samaa
@rehaanreaan9556 жыл бұрын
Hello sir you are great sir great stories are great stories a great story
@ahsanrizwan64904 жыл бұрын
Very nice episode
@rafaqatali9508 жыл бұрын
please understand this story every pakistani have same problem who live out of country i see many person who not out even they don't drink out side they don't want waste money please please please don't do like that with your brother father husband never ever
@imranaslam398 жыл бұрын
Same story with me. i am also here since last 3 years , every month received new demand , even can,t go Pak, (: (:
@jyotipatel24554 жыл бұрын
Sach he pardesh me rahene wali ki majburi samajni chahiye
@unknownvideos29598 жыл бұрын
Very Nice and true story 👍👍👍
@umairbinirfan8125 жыл бұрын
100 % Right Story
@mustafashoukat11754 жыл бұрын
So sad stories But This is So Nice 😍😍😍😍😍😘😘😘😘
@mohsinaliali45007 жыл бұрын
sooo nice stori yar
@mehmmoodmehmood41577 жыл бұрын
hi....mujhe acting ka bht shoaq he ...kya mujhe sama tv k shows me ek chance mill skta he ...me karachi me rehta hun...me ye program bht shoaq se dekhta hun ..aisa bhi hota he .or .kha tum chale gye .lekin har episode me purane actors hote he .kya mujhe chance mill skta he .
@Adnan_Azeem8 жыл бұрын
very nice story
@syedfahadraza93138 жыл бұрын
kya drama banaya hai yar bht bara such hai yeh 👍
@asimraja1058 жыл бұрын
aisa he hota hay Koi shak nahey is bat may
@farahsayyedfarahsayyed26246 жыл бұрын
Nice video
@wasifali61608 жыл бұрын
Nice story i like this story
@zeeshanahmad73188 жыл бұрын
soo. sad story
@shayankhalid957 жыл бұрын
Very nice and very good story jnb sirf Dubai ka nahi pori Dunia me ja koi pardis me sub ka ye hi hal hai ALLAH pak se dua hai ALLAH pak sub ki madad frame Ameen Ameen Ameen Shayne Khalid France from pakistan Punjab
@showkatbhat42174 жыл бұрын
Zabar 10
@arykhan41808 жыл бұрын
bht acha desicn lia bhai ne 3 sal se zada kbi rehna b nai chye asy mulk m bimari lag jati ha idr k pani se r halat se ham ji rahy smj skty ye sb
@ghulammurtaza35788 жыл бұрын
true story
@nasreenrafi25458 жыл бұрын
Slow but nice.
@qamarluqman56314 жыл бұрын
Salam ! My Father Live in U . A . E & My Family Live In Karachi
@muhammadhasnainsaleem91813 жыл бұрын
❤️❤️
@rajaali63906 жыл бұрын
Rula Diya yaar
@innocentassad40468 жыл бұрын
really true story.
@alamdarhussain67658 жыл бұрын
mein pehle pakistan mein rehta tha aur bhai paris mein lekin meri maa ne aaj tak kabhi bhai se kuch nahi manga jab ke mere dad ka inteqal ho gya tha jab mein 4 saal ka tha
@saadhussain87218 жыл бұрын
nice story
@humerahalim71248 жыл бұрын
awsome
@sweetbaby72148 жыл бұрын
Nice story 😦 sab log asa hai ghar waly samja hai ka paisa darkat my lage hai yarr very sad
@innocentjutt50727 жыл бұрын
sweet baby 😞😞😞😞😞
@imrannasreenimmu45856 жыл бұрын
this video makes me cryies😂😂
@munnazafusionsvideos8 жыл бұрын
Not only boys Girls bhi jab kamao. Putt. Ban jaye tu Asa unn k sath bhi hota hai Nice story
@qazizahor70806 жыл бұрын
Nice.Mehnat krne waala Allah ka dost hota hae.
@lubnahameed34707 жыл бұрын
That's so true...............but really sad :( Zulam hai itni demands karna
@syedabdullah725810 ай бұрын
Right 😢😢😢😢
@shanalu69538 жыл бұрын
very true story
@hindihind82507 жыл бұрын
plzz respect them
@taimorahmad32918 жыл бұрын
10000000000000000000000000000% true have slightly experienced this all
@taimorahmad32918 жыл бұрын
yes hello
@umerraza52306 жыл бұрын
Gd story
@KamalKhan-cu1vv8 жыл бұрын
yahi hall mera b ha Bhai ghar walay kehty hain Dubai me paisa he Paisa ha
@yasirjaved21398 жыл бұрын
Paisa hai magar ose paane ke liye khoon pasina ek kerna perta hai chahe koi mazdoor ho ya phir ek skilled professional . Work place ki politics alag aur sath hi Pakistan mein ghar waloon ke problems yehi wajah hai ki yahaan kaam kerne wale aksar loog Diabetes , High blood pressure , Heart problems , aur Anxiety disorder ke shikaar hojate hain . Yahaan kaam karna koi itna aasaan nahi hai jaisa ki loog samjhte hain . Yahaan sirf hum apni majboori ke tehet aate hain agar Pakistan ke haalaat ache hote tou hum kyun bahar jaate jaate aur kyun itni sakhtiyaan jhelte aur na hi US , Canada ki immigration ke liye mar rahe hote . Yeh sub humare politicians aur bureaucrats ko sochna chahiye tha ki akhir Pakistan se itna brain drain kyun ho raha hai . Kyun akhir ek well educated qualified youngster mulk chor ker jaana chahta hai .
@yasminkabadi48196 жыл бұрын
Nice baby I
@LalKhan-hd2ni7 жыл бұрын
yahe Har pardesi Ka Hal Hai
@mohsinali37908 жыл бұрын
100% Right
@alimasood46987 жыл бұрын
Ro para bas.....bilkul sach hey ye
@samadawan38248 жыл бұрын
Nice
@asofficer42874 жыл бұрын
Ye Story dekh kar hame ahsas hua ki jo bhi hamare ghar me kamata hai wo kis tarhe se paise kamata hai wo sirf wo he janta hai hame apne charche par kabu rekhna cahiye ta ki kisi ko Taklif na hu
@majidjamali5093 ай бұрын
Haqeeqat 💔💔😭😭
@rahusahib13298 жыл бұрын
nice Bha yasir esee b family hote h mtlbi bs paisa chya
@iqbalkhan-kp8ps7 жыл бұрын
asalawalakum I'm khan may Canada may ratha hoo this is truley story...
@arshadrabbani72688 жыл бұрын
zabardast
@tiktoklife89176 жыл бұрын
Vedio call nahi ki
@ashjirajji23487 жыл бұрын
just came back from Dubai holiday to UK I saw some Pakistani brother just like him very sad may God help them .😇😇😇
@junaidjaved6298 жыл бұрын
beshak ye story sach ha lekin ik bnda taklef kat.ta hai to bqi sb ki zndgi achi guzrti ha sb ki khawaish puri hti hai is lye himat ni harni chahye aur ma bhen biwi bcho k lye qurbani deni parti hai
@adnanbadshah32386 жыл бұрын
Junaid Javed g bilkul
@asifabadat64826 жыл бұрын
So sad story
@zahidKhan-tm8dm5 жыл бұрын
Bhaiya me bhi dubai me kaam karti thi me samjh sakti hu is kahani ko aap hum sirf fermaishe hi pure karte rehte hai lekin ghar vale ko fiker nahi hoti hai