Рет қаралды 332
Ran main tanha na jaiye mola ran main tanha na jaiye mola
Shah se kahti thi bekasi ro kar ran main tanha na jaiye mola
Muharram = 1446 / 2024
Anjuman aza e Hussain surauli sultanpur up
Janab Ehtesham Hussain Khan ( Noha Khwn )
Noha = Ran main tanha na jaiye mola
video= Ehtesham Hussain official
lyrics:-
Ran main tanha na jaiye mola ran main tanha na jaiye mola
Shah se kahti thi bekasi ro kar ran main tanha na jaiye mola
(1) Bhai ke sadme se kamar h jhuki
ab to takat bhi saath chodh chuki
Aake gurbat Hussain par thahri
laash uthai h aapne din bhar
(2) Shah pe kar de Zara karam yaa rab
Dagmagate h ab qadam yaa rab
koi Nasir nahi ba ham yaa rab
kaise uth payenge Ali Akbar
(3) Khaak h jismon Jaa nighahon main
Hai dhuwa hi dhuwa nighahon main
phir raha h jawan nighahon main
Aap khayenge dasht main thokar
(4). Wo madine se aa gaye nana
peeche peeche h Fatima Zahra
Haajra saath h khaleel e khuda
Thahro aate h fatahe khaibar
(5) Khaak par karwat e badalta h
Ayediyan reet par ragadta h
Shiddat e dard se tadapta h
barchi khaaye h wo kaleje par
(6) Apna dil kiss tarha sambha lenge
haath seene mein kaise dalenge
toti barchi ko jab nikalenge
Aaj barpa na ho kahi mahshar
(7) Hur ko bete ne jab pukara tha
bahre imdaad jab wo utha tha
kah ke ye aap hi ne roka tha
Laash uthata nahi pisar ki pedar
(8) Gash main h aapka bada beta
aap mardon main ho gaye tanha
boli baazon ko thaam kar fizza
Hamla kar de kahin na ab lashkar
(9) Naw jawa laal h zayifi h
Aaj mazloomi ran main roti h
Saifi karbobala ye kahti h
Royi gurbat Hussain par kah kar
Ran main tanha na jaiye mola ,..
#lyrics# new Noha # nohay # video # Muharram
Anjuman aza e Hussain surauli sultanpur