main madine mein jo jaata to wahan kya karta kuch na karta to faqat roze ko dekha karte mushkil taalo shah e ummam kardo aaka nazar e karam gar tum na karoge to karam kaun karega jholi meri tumhare siwa kaun bharega mushkil taalo shah e ummam ye maan liya laayik e darbar nahi main ye bhi na sahi kaabil e deedar nahi main har chand agar aap ke darkar nahi main kya banda bhi tera meri sarkar nahi main har koi hai daaman e ummeed phailaye ue aastane pe hain muhtaaj e karam aaye hue karam tumhara aam hai jahaan pe meherbaan ho tum karam ki bheekh do hamein kareem e bekasan ho tum mohtaajon ka rakh lo bharam kardo aaka nazar e karam tumhare dar se ya nabi kahan fakeer jayenge tumhi se lauh lagayi hai tumhi se bheekh mangenge mangte hain is dar ke ham kardo aaka nazar e karam idhar bhi shah e mursalin koi ishaara chaahiye habib e qibriya hamein karam tumhara chaahiye kab tak jhelein ranj o gham kardo aaka nazar e karam jamaal e haqnuma ho tum yeh sab tumhara noor hai tumhare faiz e khaas ka har ik jagah zahoor hai ham dukhiyon ke taalo gham kardo aaka nazar e karam ghire hain mushkilon mein hum bada kathin maqaam hai hamare lab pe mustafa faqat tumhara naam hai har mangte ki aankh hain nam kardo aaka nazar e karam karam tumhara aam hai jahaan pe meherbaan ho tum karam ki bheekh do hamein kareem e bekasan ho tum mohtaajon ka rakh lo bharam kardo aaka nazar e karam
@ziarehman84872 жыл бұрын
Thanks. Bundle of thanks.I can understand your feelings and passions for maestro and poetry. Jzakallah. Jeety rhi