Assalamualikum bhai Aap apni starting ki aayat change kariye Kyuki ye sajde waali aayat hai Aur kisi ko pata nhi raha to sajda nhi karne ka gunah use milega Mashallah aapka channel bohot achha hai
@tiputv55294 жыл бұрын
درست فرمایا
@sakbarhussain17 ай бұрын
Roman Urdu Translation: **1. Haa Meem,** 2. Ain seen Qaaf. 3. Isi tarah Allah Ghalib o Hakeem (Most Mighty, the Most Wise) tumhari taraf aur tumse pehle guzre huey (Rasoolon) ki taraf wahee karta raha hai. 4. Aasmaano aur zameen mein jo kuch bhi hai Usi ka hai, Woh Bartar aur Azeem hai. 5. Qareeb hai ke aasmaan upar se phatt padein, Farishte apne Rubb ki hamd ke saath Uski tasbeeh kar rahe hain, aur zameen walon ke haqq mein darguzar ki darkhwastein kiye jaate hain. Aagah raho, haqeeqat mein Allah Ghafoor o Raheem Hi hai. 6. Jin logon ne Usko chhodh kar apne kuch dusre sarparast bana rakhe hain, Allah Hi un par nigraan hai, tum unke hawala daar nahin ho. 7. Haan, isi tarah (aey Nabi ﷺ) yeh Qur'an e arabi Humne tumhari taraf wahee (revelation) kiya hai taakey tum bastiyon ke markaz (shehar e Makkah) aur uske gird o pesh rehne walon ko khabardaar kar do, aur jamaa hone ke din se dara do jiske aane mein koi shakk nahin. Ek giroh ko Jannat mein jaana hai aur dusre giroh ko dozakh mein. 8. Agar Allah chahta to in sab ko ek hi ummat bana deta, magar Woh jisey chahta hai Apni rehmat mein dakhil karta hai. Aur zalimon ka na koi walee hai, na madadgaar. 9. Kya yeh (aise naadaan hain ke) inhone Usey chhodh kar dusre walee (protectors) bana rakhe hain? Walee (protector) to Allah Hi hai, Wahi murdon (dead) ko zinda karta hai, aur Woh har cheez par qaadir hai. ع¹ 10. Tumhare darmiyan jis maamle mein bhi ikhtilaf ho, uska faisla karna Allah ka kaam hai. Wahi Allah mera Rubb hai, Usi par maine bharosa kiya, aur Usi ki taraf main ruju karta hoon. 11. Aasmaano aur zameen ka banane Wala, Jisne tumhari apni jins se tumhare liye jodey (pairs) paida kiye, aur isi tarah jaanwaron mein bhi (unhi ke hum jins) jodey (pairs) banaye, aur is tareeqe se Woh tumhari naslein (generations) phaylata hai. Kaaynat ki koi cheez Uske mushabeh nahin, Woh sab kuch sunne aur dekhne Wala hai. 12. Aasmaano aur zameen ke khazano ki kunjiyan (keys) Usi ke paas hain. Jisey chahta hai khula rizq deta hai aur jisey chahta hai napa tula deta hai. Usey har cheez ka ilm hai. 13. Usne tumhare liye deen ka wahi tareeqa muqarrar kiya hai jiska hukm Usne Nuh ko diya tha, aur jisey (aey Muhammad ﷺ) ab tumhari taraf Humne wahee ke zariye se bheja hai, aur jiski hidayat Hum Ibrahim aur Musa aur Isa ko de chuke hain, is takeed ke saath ke qayam karo is deen ko aur us mein mutafarriq na ho jao. Yahi baat in mushrikeen ko sakht nagawaar hui hai jiski taraf (aey Muhammad ﷺ) tum inhein dawat de rahe ho. Allah jisey chahta hai Apna kar leta hai, aur Woh Apni taraf aane ka raasta usi ko dikhata hai jo Uski taraf rujoo kare. 14. Logon mein jo tafraqa (ikhtilaf) runuma hua woh iske baad hua ke unke paas ilm aa chuka tha aur is bina par hua ke woh aapas mein ek dusre par zyadati karna chahte the. Agar tumhara Rubb pehle hi yeh na farma chuka hota ke ek waqt e muqarrar tak faisla multawi (postpond) rakha jayega to inka qaziya chuka diya gaya hota. Aur haqeeqat yeh hai ke aglon ke baad jo log Kitab ke waris banaye gaye woh uski taraf se badey istarab angez shak mein padey huey hain. 15. chunke yeh haalat paida ho chuki hai is liye (aey Muhammad ﷺ) ab tum usi deen ki taraf dawat do, aur jis tarah tumhein hukm diya gaya hai us par mazbooti ke saath qayam ho jao, aur in logon ki khwahishaat ki ittiba na karo. Aur insey keh do ke: “Allah ne jo Kitab bhi naazil ki hai main us par imaan laya, mujhe hukm diya gaya hai ke main tumahre darmiyan insaaf karoon. Allah Hi humara Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi. Humare aamal humare liye hain aur tumhare aamal tumhare liye. Humare aur tumhare darmiyan koi jhagda nahin. Allah ek roz hum sab ko jamaa karega aur Usi ki taraf sab ko jana hai.” 16. Allah ki dawat par labbaik kahe jaane ke baad jo log (labbaik kehne walon se) Allah ke deen ke muaamle mein jhagde karte hain, unki hujjat baazi unke Rubb ke nazdeek baatil hai, aur un par uska ghazab hai aur unke liye sakht azaab hai. 17. Woh Allah Hi hai Jisne haqq ke sath yeh Kitab aur meezan nazil ki hai aur tumhein kya khabar, shayad ke faisle ki ghadi qareeb hi aa lagi ho. 18. Jo log uske aane par imaan nahin rakhte woh to uske liye jaldi machate hain, magar jo us par imaan rakhte hain woh usse darte hain aur jaante hain ke yaqeenan woh aane wali hai. Khoob sunlo, jo log us ghadi ke aane mein shak daalne wali bahesein (arguments) karte hain, woh gumrahi mein bahut dur nikal gaye hain. 19. Allah Apne bandon par bahut Meharban hai; jisey jo kuch chahta hai deta hai. Woh badi quwwat Wala aur Zabardast hai. ع² 20. Jo koi Aakhirat ki kheti chahta hai, uski kheti ko Hum badhate hain, aur jo duniya ki kheti chahta hai usey duniya hi mein se dete hain magar Aakhirat mein uska koi hissa nahin hai. 21. Kya yeh log kuch aisey sharik e khuda rakhte hain jinhone inke liye deen ki noiyat rakhne wala ek aisa tareekha muqarrar kar diya hai jiska Allah ne izan nahin diya? Agar faislay ki baat pehle taiy na ho gayi hoti to inka qaziya chuka diya gaya hota. Yaqeenan in zalimon ke liye dardnak azaab hai. 22. Tum dekhoge ke yeh zaalim us waqt apne kiye ke anjam se darr rahe honge aur woh in par aa kar rahega. Ba-khilaf iske jo log imaan le aaye hain aur jinhone neik aamal kiye hain woh Jannat ke gulistano mein honge, jo kuch bhi woh chahenge apne Rubb ke haan payenge; yahi bada fazal hai. 23. Yeh hai woh cheez jiski khush khabri Allah Apne un bandon ko deta hai jinhone maan liya aur neik amal kiye. (Aey Nabi ﷺ in logon se) Keh do ke main is kaam par tumse kisi ajar ka taalib nahin hoon. Albatta qarabat (kinsfolk) ki muhabbat zaroor chahta hoon. Jo koi bhalayi kamayega, Hum uske liye us bhalayi mein khoobi ka izafa kar denge. Beshak Allah bada darguzar karne Wala aur qadardan hai. 24. Kya yeh log kehte hain ke is shakhs ne Allah par jhoota bohtan gadh liya hai? Agar Allah chahe to tumhare dil par mohar karde. Woh baatil ko mita deta hai aur haq ko Apne farmano se haqq kar dikhata hai. Woh seeno ke chhupey huey raaz jaanta hai. 25. Aur Wahi hai Jo Apne bandon se tawbah qabool karta hai aur buraiyon se darguzar karta hai, halanke tum logon ke sab afaal (jo kuch tum kar rahe ho, un aamal) ka Usey ilm hai. 26. Aur Woh imaan lane walon aur neik amal karne walon ki dua qabool karta hai aur Apne fazal se unko aur zyada deta hai. Aur kafiron (کافروں) ke liye dardnaak saza hai. 27. Agar Allah Apne sab bandon (servants) ko khula rizq de deta to woh zameen mein sarkashi ka toofan barpa kar dete, magar Woh ek hisab se jitna chahta hai nazil karta hai. Yaqeenan Woh Apne bandon se ba-khabar hai aur un par nigah rakhta hai. 28. Wahi hai Jo logon ke mayoos ho jane ke baad meh (rain) barsata hai aur Apni rehmat phaila deta hai, aur Wahi qaabil e tareef Walee hai. 29. Uski nishaniyon mein se hai yeh zameen aur aasmano ki paidaish, aur yeh jaandar makhlooqat jo Usne dono jagah phaila rakhi hain. Woh jab chahe inhein ikatha kar sakta hai. ع³ 30. Tum par jo museebat bhi aayi hai, tumhare apne haathon ki kamayi se aayi hai, aur bahut se kasooron se Woh waise hi darguzar kar jata hai. 31. Tum zameen mein apne Khuda ko aajiz (frustrate) kar dene wale nahin ho, aur Allah ke muqable mein tum koi haami o naasir (protector or helper) nahin rakhte. 32. Uski nishaniyon mein se hain yeh jahaz (ships) jo samandar mein pahadon ki tarah nazar aate hain. 33. Allah jab chahe hawa ko saakin (motionless) kar de aur yeh samandar ki peeth (back) par khade reh jayein. Is mein badi nishaniyan hain har us shakhs ke liye jo kamal darja sabr o shukar karne wala ho. 34. Ya (un par sawar hone walon ke) bahut se gunahon se dar guzar karte hue unke chand hi kartooton ki padash mein unhein dubo (drown) de. 35. Aur us waqt Humari aayat mein jhagde karne walon ko pata chal jaaye ke unke liye koi jaaye panah nahin hai. 36. Jo kuch bhi tum logon ko diya gaya hai woh mehaz duniya ki chand roza zindagi ka sar o saaman hai, aur jo kuch Allah ke haan hai woh behtar bhi hai aur payedar bhi. Woh un logon ke liye hai jo imaan laye hain aur apne Rubb par bharosa karte hain. 37. Jo bade bade gunahon aur be hayayi ke kaamon se parheiz karte hain aur agar ghussa aa jaye to darguzar kar jate hain. 38. Jo apne Rubb ka hukum maante hain, namaz qayam karte hain, apne maamlat aapas ke mashware se chalate hain, Humne jo kuch bhi rizq unhein diya hai us mein se kharch karte hain. 39. Aur jab un par zyadati ki jaati hai to uska muqabla karte hain. 40. Burayi ka badla waisi hi burayi hai, phir jo koi maaf kar de aur islaah karein, uska ajar Allah ke zimme hai. Beshak Allah zalimon ko pasand nahin karta. 41. Aur jo log zulm hone ke baad badla lein unko malamat nahin ki jaa sakti. 42. Malamat ke mustahiq to woh hain jo dusron par zulm karte hain aur zameen mein na-haqq zyadatiyan karte hain. Aise logon ke liye dardnaak azaab hai. 43. Albatta jo shakhs sabr se kaam le aur darguzar kare, to yeh badi ulul azmi ke kaamon mein se hai. ع⁴
@sakbarhussain17 ай бұрын
44. Jisko Allah Hi gumraahi mein phenk de uska koi sambhaalne wala Allah ke baad nahin hai. Tum dekhoge yeh zaalim jab azaab dekhenge to kahenge ab palatne ki bhi koi sabeel hai? 45. Aur tum dekhoge ke yeh Jahannum ke samne jab laye jayenge to zillat ke maare jhuke jaa rahe honge aur usko nazar bacha bacha kar kan aankhiyon (covert glance) se dekhenge. Us waqt woh log jo imaan laye the, kahenge ke waqayi asal ziyan kaar ([true] losers) wahi hain jinhone aaj Qayamat ke din apne aap ko aur apne mutaaliqeen ko khasare mein daal diya. Khabardar raho, zaalim log mustaqil azaab mein honge. 46. Aur unke koi haami o sarparast na honge jo Allah ke muqable mein unki madad ko aayein. Jisey Allah gumraahi mein phenk de uske liye bachao ki koi sabeel nahin. 47. Maan lo apne Rubb ki baat qabl iske ke woh din aaye jiske talne ki koi surat Allah ki taraf se nahin hai. Us din tumhare liye koi jaaye panah na hogi, aur na koi tumhare haal ko badalne ki koshish karne wala hoga. 48. Ab agar yeh log mooh moadte hain to (aey Nabi ﷺ) Humne apko un par nigehbaan bana kar to nahin bheja hai. Ap par to sirf baat pahuncha dene ki zimmedari hai. Insan ka haal yeh hai ke jab Hum usey Apni rehmat ka maza chakhate hain to us par phool jata hai. Aur agar uske apne haathon ka kiya dhara kisi museebat ki shakal mein us par ulat padta hai to sakht na-shukra ban jata hai. 49. Allah zameen aur aasmano ki baadshahi ka Malik hai. Jo kuch chahta hai paida karta hai. Jisey chahta hai ladkiyan deta hai, jisey chahta hai ladke deta hai. 50. Jisey chahta hai ladke aur ladkiyan mila-jhula kar deta hai aur jisey chahta hai baanjh (barren) kar deta hai. Woh sab kuch jaanta hai aur har cheez par Qadir hai. 51. Kisi bashar (insan) ka yeh muqam nahin hai ke Allah ussey ru-ba-ru (face to face) baat kare, Uski baat ya to Wahee (ishare/revelation) ke tour par hoti hai, ya purdah ke piche se, ya phir Woh koi Paighambar (farishta) bhejta hai aur woh Uske hukum se jo kuch Woh chahta hai, wahi karta hai. Woh bartar aur Hakeem (Wise) hai. 52. Aur isi tarah (aey Muhammad ﷺ) Humne Apne hukum se ek rooh tumhari taraf Wahee ki hai. Tumhein kuch pata na tha ke Kitab kya hoti hai aur imaan kya hota hai, magar us rooh ko Humne ek roushni bana diya jissey Hum raah dikhate hain Apne bandon mein se jise chahte hain. Yaqeenan tum seedhe raaste ki taraf rehnumayi kar rahe ho. ***53. Us Allah ke raaste ki taraf Jo zameen aur aasmano ki har cheez ka Malik hai. Khabardar raho, saare muaamlat Allah Hi ki taraf rujoo karte hain. ع⁵*** **||42. Surah Shoora||** __________________________