VERY OLD GHAZAL: Shamim* Jaipuri. Sakht hai ishq ki rahguzar Chalne waale zara deikh kar Rahrave gham ka zaad e safar Soze gham, tashnagi, chashme tar Raahzan, rahnuma, humsafar Alhafeez, AlamaaN, Alhazar Tujhse badhke haseeN kaun hai Kisko deikhooN tujhe deikh kar RahzanoN lutt na jaana kahiN Main ne deikhe haiN kuch raah'bar Ek nazar ke liye saari umr Umr bhar ke liye ek nazar Woh pukareiN to humko Shamim* Deikh leina hameiN daar par