Sham-e-Ghariba Kayamat ke manzar sare kabalaa hai na salaar hai aur na lashker bachaa hai Qayamat ka manzar Khudda yaa kisi par na raat aaye aisi ye kehte huwe suraj gurur ho gayaa hai Qayamat ka manzar Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban, saadat hai pardes hai Kya waqt hai Ghazi nahi Zainab hai Nigheban Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2 saadat hai pardes hai 1. Ai raat andhero ko zara aur barhaa de Maqtal ki hawaa jhalte Charaghon ko bujaa de Dekhe naa Alamdaar behen ko sar-e-uriyaan Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2 saadat hai pardes hai 2. Bibi koyi jhule ki jali raakh utha ker kehti hai agar tu nahi aayaa Ali asgar khud run me chali aaengi besheer teri maa Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2 3. Tu bhi naa rahaa jee ke karoon kiyaa mere bache khud apnne hi hathon se meri kabr bana de lailaa pe ye hoga Ali Akber tera ashsaan Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2 4. Daryaa pe tarapta hai hai alamdaar kaa laashaa maqtal me ajab haal se ati hai sakina Khaimo kaa dhuwan aankh me jhal taa huwaa daman Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2 5. kehte hai ye jhalte huwe khaymon mei musalle sajaad tahajud to zara chain se perhle Afsoos ye mohlat bhi nahi dete musalman Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2 6. Woh waqt Taqallum tha ajab bint-e-Ali per Kehne lage maula jo nikaab apni uthaa ker me baap hu Zainab muje pehchaan meri jaan Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2