Assalamualaikum wa rehmatullahi wa barakaatuh. Molana Makki sahab guzarish ye hai ki aapne kaha hai pechle darsun mai ki Mohammad SAW (Pbuh) ne kaha hai ki har biddat gumrahi hai aur phir molana sahab apne kaha ki biddati ke pechey salah nahi aati hai to Aarz ye hai ki tabse mai ghar mai hi aksar salah padta hun jammat se nahi kyun ki sirf jumma padne jata hun woh b ghar se ek masjid dour hai 1 km wahan. Ab aap bataye mai kya karun ghar mai b jammaat kar nahi sakta kyun mai akela hi hun yahan apne ghar se dour. Aur ass pass koi masjid b nahi hai Aur jo ghar ke pass masjid hai to wahan k molana sahab b biddat hi karte hai. Meharbani kar ke masley ka hal bataye. Kyun mai jaamaat se hi salah padna chahata hun. Wasalaam Allah Hafiz.
@RozanaTafsireMakki6 жыл бұрын
Wassalam, aap 1km door par jo masjid hai, us masjid me 5 waqt namaz k jamaat time note karain aur jamat shuru hone se pehle pouchne ki koishish karain, agar aap ko 1km chalne me masla hai to ek bi cycle rakhlain ya ek scooti rakhlain.
@iahmedrather40416 жыл бұрын
@@RozanaTafsireMakki jazak Allah. Lekin mera masla to hal hua lekin filhaal k liye. Aur jab apne ghar jao to wahan to masjid bht door hai wahan kya karun. Wassalaam.
@wisalmuhammad12366 жыл бұрын
+Rozana Tafsir-e-Makki bhai ap hatal emkan koshish jamat ke sath kare agar pher be bat na bante ho tu ghar mai parh leeya kar Allah ghafoororraheem hain sawab theek mele ga
@iahmedrather40416 жыл бұрын
@@wisalmuhammad1236... Assalaamualikum shukriya ji bhai koshish hi kar raha hun... bus ap dua karien ki Allah taufeeq de jamaat se padne ki aur Asal baat ye b hai ki aaj k waqt mai koi molvi aisa hoga jo biddat na karta ho aksar sab ka yehi haal hai ya to ilm nahi ya phr adatan ya yun kaho ki hume b pata nahi hum khud kitni bidaien kartey honge jinka hume shayad ilm b na ho. Bus Allah maaf kare aur hume shirk kufr aur bidatun se bachaye aur seedhe raaste ki hidayat de Aameen. Wassalaam Allah hafiz...
@monamz16 жыл бұрын
اسلام و علیکم یہاں فرانس میں چیک اور کیش کا کاروبار بہت زیادہ ہوتا ہے۔ لوگوں کے پاس کام تو ہے پر اپنے بنک اکاونٹ نہیں ہیں۔ کام کرنے والے لوگوں کو تنخواہ چیک میں ملتی ہے، تو وہ لوگ چیک کو کسی اکاونٹ والے دوست کو دے کر کیش لے لیتے ہیں، پر جس سے کیش کرواتے ہیں وہ اگر فوراً کیش دے تو %10 یا اگر سات دن بعد پیشے دے تو %5 چارچ کرتا ہے کیش والا۔ کیا یہ سود ہے؟ یا یہ جائز ہے؟ یہ پاکستان میں نقد اور ادھار کھاد والے کام سے کیسے مختلف ہے۔ جزاك اللهُ خيرًا