Taqleed Ki Haqeeqat | Kya Taqleed Zaruri Hai | Molana Sadiq Qasmi shb | Ehyae Sunnat Media

  Рет қаралды 664

Ehyae Sunnat Media

Ehyae Sunnat Media

Күн бұрын

Taqleed Ki Haqiqat Yeh Hai Ke:
Agar Kisi Aadmi Ko Ek Cheez Ka Ilm Na Ho To Wo Is Chez Ke Silsila Me Ek Aise Shaks Per Aitemaad Aur Bharosa Karte Huwe Uski Baat Ko Qabool Kare Jis Ki Bat Sharai Hujjat To Nahi Hai Lekin Wo Shaks Us Ilm Wa Fan Ka Muhaqqiq,Jankaar Aur Maahir Hai Jaise Mareez Ka Doctor Ki Baat Ko Manna,Ghar Banane Wale Ka Engineer Ki Bat Ko Taslim Karna,Hadees Ke Maamle Me Muhaddiseen Ke Faisle Ko Qabool Karna, Kisi Ayat Ka Matlab Wa Mafhoom Malum Karne Ke Liye Tafsir Ki Kitabe Padhna Ye Sab Taqleed Hi Ki Surate Hai.
Lekin Umu-Man Fiqhi Masaail Me Kisi Faqhi Aur Mujtahid Ke Bataye Huwe Masla Per Amal Karne Ko Taqleed Kaha Jata Hai , Jo Quran Wa Hadees Se Sabit Hai Aur Daur Sahaba Radiallah Tala Anhum Se Aaj Tak Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Is Per Amal Hai (Tafsil Ke liye Dekhye Al Kalam Al Mufid Fi Asbaatul Taqleed Taif E Mansura)
Taqleed Lazim Wa Wajib Hai :
Huzur e Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Giraami Hai : Jo Shaks Be-ghair Ilm Ke Quran Me Koi Baat Kahe Wo Apna Thikana Dozaq Me Bana Le(Tirmizi).Har Musalman Quran Wa Hadees Ke Tamaam Uloom Se Waqif Nahi Hota Hai Lehaza Uske liye Zaruri Hai Ke Quran Ke Mahir Aalim Ki Baat Ko Qabool Karke Uske Mutabiq Amal Kare Apni Taraf Se Koi Rai Na De Warna Dozaq Me Apna Thikaana Bana Le.
Taqleed Ki Zarurat Wa Ahmiyat Aur Uska Azeem Faida:
Har Sahab Imaan Ka Ye Yaaqin Hai Ke Tamam Insaano Ki Kaamiyaabi Quran Wa Hadees Ke Mutabiq Zindagi Guzaarne Me Hai.Aur Har Padha Likha Shaks Is Bat Se Bakhubi Waqif Hai Ke Quran Wa Hadees Me Har Masala Ka Hukum Wazeh Alfaaz Me Likha Huwa Nahi Hai Balke Hazaaro Masaail Aise Hai Jinka Hukum Maloom Karne Ke Liye Quran Wa Hadees Me Gaur Wa Fikar Aur Behas Wa Tahqeeq Ki Zarurat Padti Hai.Jis Ke Liye Bahut Wasii Aur Sahi Ilm,Behtireen Faham,Arabi Zubaan Mei Mahaarat Lazim Hai.
Isliye Ke Be-Ghair Ilm Ke Quran Me Gaur Karna Aur Koi Rai Dena Haraam Aur Gunah Kabira Hai(Tirmizi).Dusri Taraf Karodo Musalmaan Aise Hai Jo Likhna Padhna Nahi Jaante Hai , Khususan Ilm E Deen Se To Musalmano Ki Aksariyat Nawaqif Hai Aisi Surat Me Shariyat Per Sahi Amal Ka Sirf Ek Mehfooz Raasta Reh Jata Hai Wo Ye Ke Quran Wa Hadees Ke Maahir Ulama Se Puch Kar Amal Kiya Jaye.Yahi Taqleed Hai. Is Mehfooz Raasta Ke Bajaye Agar Har Shaks Se Ye Kaha Jaye Ke Kisi Imam Ya Alim Ki Taqleed Shirk Hai Lehaza Khud Quran Wa Hadees Padh Kar Jo Samajh Me Aaye Us Per Amal Karlo To Yeh Sidha Gumraahi Ka Raasta Hai.
Kyuke Agar Har Shaks Apne Zaheen Wa Aqal Se Shariyat Per Amal Karne Lage Aur Apne Khilaaf Dusro Ke Masaail Ko Galat Kehne Lage To Na Musalmano Me Ittehad Qayaam Reh Sakta Hai Na Islam Apni Asli Shakal Wa Surat Per Baaqi Reh Sakta Hai. Isi Wajah Se Hindustan Ke Azeem Hanafi Aalim Hazrat Shah Wali Allah Muhaddis Dehlavi Rahmatullah Alai (Jinko Ghair Muqallideen Ulama Hindustan Me Hadees Sharif Ko Aam Karne Wale Muhaddiseen Me Shumaar Karte Hai).Apna Yeh Tajruba Tehrir Farmate Hai “ Yaqeen Karlo Ke In Charo Maslako Me (Hanafi,Shafai,Maliki,Hambali) Ke Ikhtiyaar Karne Me Azeem Faida Hai Aur Inko Chorne Me Zabardast Nuqsaan Hai(Iqdul Jeed : 31)
Taqleed Chorne Ke Nuqsaanaat:
Taqleed Chorne Se Insaan Gumraahi Ke Jis Khatarnaak Gade Me Gir Jaata Hai Usko Bayaan Karte Huwe Usko Bayaan Karte Huwe Ghair Muqallid Alim Muhammad Hussain Batalvi Saheb Likhte Hai : ”25 Bars (Years) Ke Tajurbe Se Hum Ko Ye Baat Maloom Huwi Ke…Kufur Wa-Irtedaad Aur Fisq Ke Asbaab Dunya Me Aur Bhi Bakasrat Maujuud Hai Magar Deendaaro Ke Bedeen Ho Jane Ke Liye Be-Ilmi Ke Saath Tark Taqleed (Taqleed Chor Dena) Bada Bhaari Sabab Hai”…
Is Giro Ghair Muqallideen Ke Awaam Azaad Aur Khud Mukhtaar Ho Jate Hai(Ishaatus Sunna Ba-Hawala Al Kalam Al Mufid Safa No: 183) Aur Daur E Haazir Me Taqleed Chor Kar Ahle Hadees Banne Wale Afraad Ke Andar Jo Zid,Har Dharmi,Buzurgaan E Deen Aur Salaf Salaheen Se Bad Gumaani,Be-Adbi Wa Badtamizi Aur Kam Ilmi Ke Bawajuud Behas Wa Mubah-Haisa Wagaira Ki Jo Khatarnak Kharaabiya Dekhne Me Aarahi Hai Wo Khud Ghair Muqallid Ulama E Ikraam Ke Liye Lamha-E-Fikriya Hai !!!
Ek Galat Fahmi Ka Azaala:
Baaz Log Kam Ilm Musalmaano Me Ye Jhuta Propaganda Kar Rahe Hai Ke Hanafi Musalmaan Quran Wa Hadees Ke Khilaaf Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alai Ki Baat Ko Maante Hai Aur Agar Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alai Ka Qaul Hadees Ke Khilaaf Ho Tab Bhi Hadees Ko Chor Kar Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alai Hi Ke Qaul Per Amal Karte Hai.Rooz E Qayamat Se Gaafil In Logo Ki Ye Bat Sarasar Jhut Aur Hanafiyo Per Bohtaan Hai.
Ahnaf Quran Wa Hadees Ke Khilaf Imam Abu Hanifa Ke Qaul Ko Hargiz Nahi Maante Hai , Balke Imam Sahab Ki Nasihat ”Iza Sahi Al Hadeesi Fahuwal Mazhabi ” Ke Mutabiq Aapka Jo Qaul Quran Wa Hadees Aur Ijma Wa Asaar E Sahaba Rdh. Ke Mutabiq Hota Hai Uspar Amal Karte Hai Aur Jo Qaul Inke Khilaaf Ho Uspar Harghiz Amal Nahi Karte...

Пікірлер: 15
나랑 아빠가 아이스크림 먹을 때
00:15
진영민yeongmin
Рет қаралды 19 МЛН
An Unknown Ending💪
00:49
ISSEI / いっせい
Рет қаралды 45 МЛН
Самое неинтересное видео
00:32
Miracle
Рет қаралды 2,6 МЛН
SHOCKING: Disturbing Differences Between #Asharis and #Salafis || The Hot Seat by AMAU
2:55:05
❤️ Reply to Ghamidi Sb. on Ahl_e_BAIT علیھم السلام & Ghadeer_e_KHUM ! 🔥 Engineer Muhammad Ali Mirza
1:28:10
Talk Mufti Tariq Masood (Urdu) (4K) - Masjid Darul-Iman @MuftiTariqMasoodSpeeches
1:15:06
Is the Qur'an preserved? With Professor Ali Ataie
2:58:34
Blogging Theology
Рет қаралды 174 М.
Defending the Quran: The Quran and the Apocryphal gospels - with Dr Ali Ataie
2:58:59
Hazrat Umar RA MASHWARA Daitay Or Quran Nazil Hojata | Mufti Fazal Hamdard
28:50
나랑 아빠가 아이스크림 먹을 때
00:15
진영민yeongmin
Рет қаралды 19 МЛН