Tere Ishq Ki Inteha | Muhammad Samie | Official Video | 4k

  Рет қаралды 1,416,191

Muhammad Samie

Muhammad Samie

Жыл бұрын

Short Sufi Spells (Chapter 2) - The Eighteenth Spell
TERE ISHQ KI INTEHA | MUHAMMAD SAMIE
======================================
Singer: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Allama Iqbal | Abdul Hamid Adam | Mirza Ghalib | Ibrahim Zauq | Jigar Muradabadi | Hari Chand Akhtar | Hafeez Jaunpuri | Bedam Shah Warsi | Seemab Akbarabadi | Fani Badayuni | Wahshat Kalkatvi | Muhammad Samie
======================================
AUDIO CREW:
Music Production: J Ali
Music Direction: J Ali & Muhammad Samie
Harmonium: Muhammad Samie
Tabla: Israr Dildar
Violinists: Muhammad Ilyas, Amjad Ali, Ghulam Ali
Clarinet: Jafar Hussain
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
======================================
VIDEO CREW:
Director: Muhammad Samie
Video Concept: Muhammad Samie
Cinematographer: Suleman Shah
Post-Production: Suleman Shah
Lighting Production: Ahmed Mustafa Studio
Focus Puller: Bilawal Ahsan
BTS DoP: Muhammad Omer
Production Assistance: Light & Grip Production
Art Work & Wardrobe: Muhammad Samie
Production House: Heaven & Hades Productions
A Short Sufi Films’ Presentation
======================================
© 2023 - Short Sufi Spells
© 2023 - Short Sufi Films
======================================
Follow Samie on:
KZbin: / muhammadsamie
Facebook: / msamieofficial
Instagram: / samie_muhammad
Twitter: / muhammadsamie
Official Website: www.muhammadsamie.com
======================================
LYRICS:
Khirad-mandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai
Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai
Tere ishq ki inteha chahta hun
Na shohrat na sarwat na mehraab-o-mimbar bas ..
Tere ishq ki inteha chahta hun
Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho
Tere ishq ki inteha chahta hun
Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq
Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez
Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi
Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hun
Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh
Mein aap ka samna chahta hun
Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi
Kya farz hai keh sab ko mile aik sa jawab?
Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki
Rakha hai us ne wa’ada-e-deedar hashr par
Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki
Keh mein aap ka samna chahta hun
Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga
Jahannam ho keh jannat jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
Keh mein aamna samna chahta hun
Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan
Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath
Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahin
Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath
Mein aamna samna chahta hun
Yeh roz-e-hashr hai malik savaalon par bhi aa jana
Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana
Keh mein aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bada be-adab hun saza chahta hun
Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu
Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu
Bada be-adab hun saza chahta hun
Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir?
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila
Bada be-adab hun saza chahta hun
Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla
In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge
Bada be-adab hun saza chahta hun
Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki
Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki
Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki!
Bada be-adab hun saza chahta hun
Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga
Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga?
Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga
Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga
Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga
Bada be-adab hun saza chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Keh main aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
#MuhammadSamie #TeraIshqKiInteha #ShortSufiSpells #ShortSufiFilms

Пікірлер: 1 400
@MuhammadSamie
@MuhammadSamie Жыл бұрын
*VERSES BY ALLAMA IQBAL* Khirad-mandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai Tere ishq ki inteha chahta hun Meri sadgi dekh kya chahta hun Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko Keh mein aap ka samna chahta hun Bhari bazm mein raaz ki baat keh di Bada be-adab hun saza chahta hun Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh *VERSES BY ABDUL HAMID ADAM* Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahi Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam! Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir? Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila *VERSES BY MUHAMMAD SAMIE* Na shohrat na sarwat na mehraab-o-mimbar Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye Yeh roz-e-hashr hai maalik savaalon par bhi aa jana Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga *VERSES BY IBRAHIM ZAUQ* Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge *VERSES BY MIRZA GHALIB* Kya farz hai ke sab ko mile aik sa jawab? Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki! *VERSES BY JIGAR MURADABADI* Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga Jahannam ho ke jannat jo bhi hoga faisla hoga Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga? *VERSES BY HARI CHAND AKHTAR* Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga? Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga *VERSES BY HAFEEZ JAUNPURI* Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki Rakha hai us ne wa’ada-e-deedar hashr par Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki *VERSES BY BEDAM SHAH WARSI* Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin *VERSES BY SEEMAB AKBARABADI* Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi *VERSES BY FANI BADAYUNI* Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri *VERSES BY WAHSHAT KALKATVI* Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho
@miangulgulshahzada984
@miangulgulshahzada984 Жыл бұрын
Lajawaab Sami Bhai👌👍
@khansir8994
@khansir8994 Жыл бұрын
❣️❣️
@dostmuhammadkhan508
@dostmuhammadkhan508 Жыл бұрын
Masha Allah 😀
@hafsakhan6581
@hafsakhan6581 Жыл бұрын
MashaaALLAH Nice ALLAH Pak bless you more...
@MuhammadArshad-dy9bz
@MuhammadArshad-dy9bz Жыл бұрын
زبردست سمیع صاحب
@adonisss4625
@adonisss4625 Жыл бұрын
Here’s the Translation in English 😁😁😁 Khirad-mandon se kya poochun - What should I ask the wise? keh meri ibtida kya hai? - Tell me, what is my beginning? Ke main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai - For I dwell in this thought, what is my limit? Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love Na shohrat na sarwat na mehrab-o-mimbar bas .. - Neither fame, nor wealth, nor pulpit and sermon, just.. Tere ishq ki .. Tere ishq ki - Your love... Your love Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad - The one who is captured by you is the only one free Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho - The one you set free will never be free Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq - Whenever reason gave me the deception of logic Ishq aaya hai mujhe raah dikhane ke liye - Love has come to guide me on the path Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love Meri sadgi dekh kya chahta hun - Look at my simplicity, what do I desire? Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko - May paradise be blessed for the ascetics Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez - You, the preacher, couldn't show me my paradise Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri - Come, walk in the alley of the beloved and see my paradise Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarar nahi - Even reaching heaven does not give me peace Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin - This is not another place, it is the abode of the beloved Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko - May paradise be blessed for the ascetics Keh main aap ka samna chahta hun - For I desire to face you Mana keh teri deed ke qabil nahin hun mein - I admit that I am not worthy of your sight Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh - See my passion, see my anticipation Mein aap ka samna chahta hun - I desire to face you Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai - It is evident that this world is full of deception Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi - You will attain divinity, not servitude from us Kya farz hai keh sab ko mile aik sa jawab? - Is it necessary that everyone receives the same answer? Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki - Come, let us also visit Mount Sinai Rakha hai us ne waada-e-deedar hashr par - He has kept the promise of meeting on the Day of Judgment Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki - The heart of the patient has received a good punishment Keh main aap ka samna chahta hun (I want to face you) Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga (We know, listen to me, what will happen in the Day of Judgment) Sab us ko dekhte hon ge wo ham ko dekhta hoga (Everyone will look at him, he must be looking at us) Jahannam ho keh jannat jo bhi hoga faisla hoga (Whether it is Hell or Heaven, whatever it may be, there will be a decision) Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga? (What is our worth compared to theirs, and we will have to face them?) Keh mein aamna samna chahta hun (I want to face you) Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan (Since the story of Adam and the Creator began) Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath (Every faithful person is connected with an unfaithful one) Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahin (Do we have any enmity with the saints?) Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath (There is a slight difference between the servant of God) Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam! (Oh Adam, whatever the outcome may be on the Day of Judgment!) Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath (We will have open conversations with God) Mein aamna samna chahta hun (I want to face you) Ye roz-e-hashr hai maalik savaalon par bhi aa jana (This is the Day of Resurrection, O Lord, come even with questions) Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana (Let me have a glimpse of you, O soul of my beloved) Keh main aap ka samna chahta hun (I want to face you) Tere ishq ki inteha chahta hun (I desire the limit of your love) Bhari bazm mein raaz ki baat keh di (I revealed the secret in a crowded gathering) Bada be-adab hun saza chahta hun (I am very impudent, I want punishment) Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu (Do not scorn the ruined state of a carefree person) Tujh ko paraai kya parhi apni naberh tu (Why do you care about others? Reflect on your own flaws) Bada be-adab hun saza chahta hun (I am very impudent, I want punishment) Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir? (Sir, what incident occurred in the end?) Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila (I have heard that you did not find God even in the Kaaba) Bada be-adab hun saza chahta hun (I am very impudent, I want punishment) Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jaaenge (Now, fearing death, they say that we will die) Mar ke bhi chain na paya to kidhar jaaenge (If even after death, we don't find peace, then where will we go?) Zauq jo madrase se ghar ke liye laaye thay (The taste that we brought from the seminary to our homes) Chhodh ke shahar mein aaye to kidhar jaaenge (Leaving the city, where will we go?) Bada be-adab hun saza chahta hun (I am very impudent, I want punishment) Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga? (What is our worth compared to theirs, and we will have to face them?) Keh mein aamna samna chahta hun (I want to face you) Tere ishq ki inteha chahta hun (I desire the limit of your love)
@mahnooraslam1171
@mahnooraslam1171 Жыл бұрын
Great effort I read it all .
@maqsoodahmed9788
@maqsoodahmed9788 Жыл бұрын
👑you dropped this.
@muhammadomarnizamani9721
@muhammadomarnizamani9721 Жыл бұрын
Thanks A Lot Dear Many Difficult Urdu Words Covered by this ❤
@zahidjaved1720
@zahidjaved1720 Жыл бұрын
Great effort Masha Allah ! Can you translate the last couplet or stanza ?
@Salwister1
@Salwister1 Жыл бұрын
Thank you so so so much. Bless you!
@abdulkabeer9287
@abdulkabeer9287 Жыл бұрын
بھائی پلیز ایک بار آپکی طرف سے شکوہ اور جواب شکوہ اور ہو جائے 😍
@anasafridi2167
@anasafridi2167 Жыл бұрын
kamal ki farmayesh ki hai
@maryam4saleem
@maryam4saleem Жыл бұрын
Yess
@user-qs1sp5nt1y
@user-qs1sp5nt1y Жыл бұрын
Aap ki farmaish se dil kush hogue bahi
@sanaullahkhan945
@sanaullahkhan945 Жыл бұрын
واقعی میں بہت مزہ آئیگا ❤❤❤
@allrounderharry7865
@allrounderharry7865 Жыл бұрын
Please 🥺❤
@syedmushtaqabbas1173
@syedmushtaqabbas1173 7 күн бұрын
ایسی خوبصورت آواز اور گانے کا انداز پہلی بار سن پارہا ہوں
@shakeelach6726
@shakeelach6726 2 ай бұрын
کتنی خوش نصیب ماں کے بیٹے ھیں آپ ماشاءاللہ❤ You convinced me,legend
@ahsanmaalik3468
@ahsanmaalik3468 Жыл бұрын
جسے عشق کی معراج پر جانے کا شوق ہو وہ اِس کلام کو ایک بار سن لے❤❤ کیا ہی کہنے سمیع بھائی😍
@shoukatalisoomro7056
@shoukatalisoomro7056 11 ай бұрын
G bilkul essa hy he 💯
@fatamaaftab3538
@fatamaaftab3538 10 ай бұрын
Beshaq
@user-fr7gg3fh8p
@user-fr7gg3fh8p 3 ай бұрын
Is moukam tuk ponchenay k lia bout Kuch kerna hota ha or wasay B ya God gifted ha
@ahsanmaalik3468
@ahsanmaalik3468 3 ай бұрын
@@user-fr7gg3fh8p acha theek hai samaj gaya
@Sayyada.
@Sayyada. Жыл бұрын
Crying + smiling + goosebumps = the power of Kalam recited by Muhammad Samie sir 🤍
@roaringlion3012
@roaringlion3012 Жыл бұрын
Same 😮
@meesamkazmiofficial1214
@meesamkazmiofficial1214 Жыл бұрын
No doubt about it❤️‍🩹
@mohdmubashir-mg7sg
@mohdmubashir-mg7sg Жыл бұрын
kzbin.info/www/bejne/hZTXlqqkn6x1Ztk
@ziaulhassan2105
@ziaulhassan2105 Жыл бұрын
Exactly ❤
@saimazulmannain2990
@saimazulmannain2990 Жыл бұрын
Same
@mehreenjahangeer2683
@mehreenjahangeer2683 Жыл бұрын
شاعری کا حسن اس کی اداٸیگی اور سمجھ بوجھ میں ہے اور آپ میں یہ دونوں صلاحیتیں بدرجہ اتم ہیں ❤
@MuhammadSamie
@MuhammadSamie Жыл бұрын
Allama Iqbal (5 couplets) Abdul Hamid Adam (4 couplets) Muhammad Samie (3 couplets & 1 verse) Mirza Ghalib (2 couplets) Ibrahim Zauq (2 couplets) Jigar Muradabadi (2 couplets) Hari Chand Akhtar (2 couplets) Hafeez Jaunpuri (2 couplets) Bedam Shah Warsi (1 couplet) Seemab Akbarabadi (1 couplet) Fani Badayuni (1 couplet) Wahshat Kalkatvi (1 couplet) Stay Tuned for Detailed Poetic References :)
@user-th3bo9wu1w
@user-th3bo9wu1w Жыл бұрын
السلام علیکم Thanks alot Sir For this kalam Huge respect
@F4YSAL
@F4YSAL Жыл бұрын
کیفیت عطا ہوتی رہے , تعلق میں استقامت رہے آمین ❤
@AbidAli-wt3up
@AbidAli-wt3up Жыл бұрын
Upload a short also
@arsalkhan7013
@arsalkhan7013 Жыл бұрын
Muhammad Samie bhai bss Love u so much...kabhi aap sy milny ki saadat naseeb ho yr 😢 badly wanna meet uuuuu
@atifaslam8393
@atifaslam8393 Жыл бұрын
This is should be named میں آپ کا سامنا چاہتا ہوں
@akmalraja8326
@akmalraja8326 Жыл бұрын
جس ٹاںٔم سے سنا ہے مسلسل سنتے جا رہا ہو کمال کا کلام ہے اور اوپر سے آواز محمد سمیع سر کی ❤️❤️
@user-fr7gg3fh8p
@user-fr7gg3fh8p 3 ай бұрын
Same is with me
@Human-being777
@Human-being777 5 күн бұрын
Same
@Juveriyaafroz
@Juveriyaafroz Жыл бұрын
دیکھا جائے تو میرے پاس کچھ بھی نہیں ہے اک دل ہی تھا جو آپ کو نزرانہ کر دیا 😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭 دور جدید میں نسلوں کو عشق حقیقی کی شناخت کروانے کا تہ دل سے شکریہ رب العالمین آپ کو دنیا ؤ آخرت میں کامیاب فرمائے آمین یا رب العالمین پھر سے شکریہ بھائی جان 🥹
@azadarzaminhussain4932
@azadarzaminhussain4932 6 күн бұрын
Haye Wah Inshallaa Mola jjh Ka deedar hoga 😭
@sohaibha4554
@sohaibha4554 Жыл бұрын
یہ روزِ حشر ہے مالک سوالوں پر بھی آ جانا🙏🏼 ذرا دیدار تو کر لوں تیرا اے روئے جانانہ🙏🏼
@AsadAsad-dm9tf
@AsadAsad-dm9tf 2 ай бұрын
Ameen Suma ameen
@AsadAsad-dm9tf
@AsadAsad-dm9tf 2 ай бұрын
Insha Allah
@muhammadhamidraza9394
@muhammadhamidraza9394 Жыл бұрын
جو گرفتار تمہارا ہے وہی ہے آزاد۔۔۔جس کو آزاد کرو تم کبھی آزاد نہ ہو۔۔۔۔۔۔۔۔💝💝💯💯♥️♥️Amazing
@ejazhussain703
@ejazhussain703 Жыл бұрын
یہ جنت مبارک رہے زاہدوں کو کہ میں آپ کا سامنا چاہتا ہوں MashAllah sir what a Masterpiece ❤❤❤
@adnanazfar
@adnanazfar 11 ай бұрын
"Tere Ishq Ki Inteha" mein divangi ka gehra ehsaas hai. Muhammad Samie ki ruhani aur dilfareb adaon ke saath, ye geet sunne walon ko roohani safar mein le jata hai. Is geet ke dilchasp bol aur unki tadap bhari awaz se, Sufi shayari ke asli rang ubharte hain. Sufi sangeet ke deewano ke liye, yeh geet ek anmol chamak hai.
@tarsemlal187
@tarsemlal187 7 күн бұрын
Main amnashamna chata hoon , bahut khoob gazal, or damdar awaaz, Dil se aansu nikal diye is gazal ne khuda aap ko umar e daraj karein, ❤🙏
@noor-ul-absarriasatali2669
@noor-ul-absarriasatali2669 Жыл бұрын
One of the Plateforms where we can listen the real depth of "Ishq e haqeeqi "
@rajyy10
@rajyy10 Жыл бұрын
No doubt
@halimabegum6723
@halimabegum6723 11 ай бұрын
😅
@memonchemist2k7
@memonchemist2k7 10 ай бұрын
Exactly
@awaisrazajami
@awaisrazajami Жыл бұрын
بہت اعلیٰ❤ اللّه کریم آپ کے سوزوگداز اور آواز میں مزید برکتیں عطا فرمائے آمین ثم آمین
@ahmedusmantoor4494
@ahmedusmantoor4494 4 ай бұрын
بہت خوب۔ مذہ آ گیا۔ خوش رہو۔ علامہ اقبال کی غزل کو نبھانا کوئ آسان نہیں ہے۔
@user-jm6cc9hf6u
@user-jm6cc9hf6u 2 ай бұрын
But hi skon ma.
@simple6138
@simple6138 Жыл бұрын
عقل نے جب بھی دیا مجھ کو فریب منطق عشق آیا ہے مجھے راہ دکھانے کیلئے
@aliscreation
@aliscreation Жыл бұрын
ماشاء اللہ.... Love from Gujarat, India 🇮🇳...
@hassanabdullah4754
@hassanabdullah4754 Жыл бұрын
My favorite ❤
@evajohnson2239
@evajohnson2239 Жыл бұрын
Masha'aallah beautiful Kalam h aur heart touching kalam h Kalam sunny k bad Allah k qareeb hony aur Allah sy muhabat aur muhabat bar jati h
@rajagulnawaz5451
@rajagulnawaz5451 5 ай бұрын
ماشاءاللہ نصرت صاحب کے بعد آج آپ کی آواز نے سکون دیا ھے اللہ پاک آپ کو سلامت رکھے۔
@karachibodybuilding2321
@karachibodybuilding2321 2 ай бұрын
Teri deedh hogi tohi meri eidh hogi mere ALLAH 🤗
@aaezebaloch3773
@aaezebaloch3773 Жыл бұрын
کمال ہے محترم آپ کا اندازِ سخن اور اندازِ بیاں اچھوتا ہے۔ کیا خوب گرفت رکھتے ہیں آپ سُر اور ردھم میں۔ آپ کو سنے کے بعد میں ہمیشہ اپنے الفاظ کی قلت پر نالاں ہوتا ہوں۔
@roaringlion3012
@roaringlion3012 Жыл бұрын
😍
@hafsa800
@hafsa800 21 күн бұрын
😢❤❤
@ahadsarmad8231
@ahadsarmad8231 Жыл бұрын
Muhammad Samie is a separate genre of music. Enough Said! He presented Iqbal like a BOSS. KING!
@zeeshankhanofficial9149
@zeeshankhanofficial9149 11 ай бұрын
او نہ ہم بھی سیر کرے کوہ طور کی کیا فرض ھے کہ سب کو ملے ایک سا جواب؟ ♥️✨ Listened it many times, each time feels like i m listening it for the first time.
@SAMi-ex7wl
@SAMi-ex7wl 4 ай бұрын
واہ واہ واہ! بھئی کیا کہنے ہیں، کیا کردیا آپ نے، میری ساری جائے داد آپ کے ناااام۔۔۔۔۔ بہت جئیں اور ہمارے ذوق کی تسکین کرتے رہیں۔
@Afreenkhadeeza
@Afreenkhadeeza Жыл бұрын
Apke qalam ko duniya bhr m maqbooliyat milegi inshallah apke qalam hmesha ke liye jinda rhenge ap itne dil se hmqalami krte hai ki sunne Wale k qlb ko sukoon mayassar hota h.. zajakallah khairan Allah apko tader salamti k sath dono jaha m afiyat k sath rkhe
@armunnoor1401
@armunnoor1401 10 ай бұрын
5:11 wallah اچھی سزا ہوئی ہے دل نا صبور کی ❤✨💓
@haroonrashid3052
@haroonrashid3052 2 ай бұрын
کیا زبردست گایا ہے۔ سمیع جیتے رہو۔ الله پاک اپ کو صحت کے ساتھ لمبی زندگی عطا فرمائے اور مزید کامیابیاں نصیب ہوں۔ امین۔
@SelfDiscoverySD
@SelfDiscoverySD 15 күн бұрын
Ishq e Haqiqi is Ultimate truth and purpose in Life ❤
@shahaanfaazil4847
@shahaanfaazil4847 Жыл бұрын
Samie is the most unique, original and talented artist of Pakistan industry right now.
@kamranansari3904
@kamranansari3904 Жыл бұрын
We can say world wide. Not particularly in Pakistan
@anaskhawaja641
@anaskhawaja641 Жыл бұрын
یہ جنت مبارک رہے زاہدوں کو ❤️❤️❤️ After a long time. But with a masterpiece 😘👌❤️
@authenticsayingsofprophetm2609
@authenticsayingsofprophetm2609 Жыл бұрын
ہمیں معلوم ہے ہم سے سنو محشر میں کیا ہوگا سب اسکو دیکھتے ہوں گے، وہ ہم کو دیکھتا ہو گا جہنم ہو کے جنت جو بھی ہو گا، فیصلہ ہو گا یہ کم ہے، ہمارا اور ان کا سامنا ہو گا 😍
@zshankazmi8382
@zshankazmi8382 Жыл бұрын
Muhammad Samie kia kehne ap k, SubhanALLAh kia aawla kam krty ho.. Sada Geo mere bhai. Mola 5jtan Pak Siwaye Gham e Hussain a.s k koi gham na dikhain
@abrashnoor5726
@abrashnoor5726 Жыл бұрын
الفاظ کا چناؤ بہت اچھا ہے ❤❤ ماشاء اللہ
@muqaddass1111
@muqaddass1111 Жыл бұрын
بہترین۔۔۔۔ میرے پاس الفاظ نہیں کہ آپ کو داد دے سکوں۔۔۔ بس اتنا کہ آپ نے بہت اچھے انداز سے دل کی آواز کی ترجمانی کی۔۔۔
@parveenkhan1935
@parveenkhan1935 Ай бұрын
Behtareen masha allah
@M.HUSSAINSHAMIMAQ
@M.HUSSAINSHAMIMAQ 10 ай бұрын
بھشت میں بھی پہنچ کر مجھے کرار نہیں یہ کوئی اور _جگہ ہے مقامِ یار ___ نہیں ❤
@ishmasiddiqui7839
@ishmasiddiqui7839 9 ай бұрын
یقیناً یہ میری پلے لسٹ میں ایک بہترین اضافہ ہے۔ سلامت رہیے سمیع بھائی۔
@MuhammadahmadTaha-ff4uc
@MuhammadahmadTaha-ff4uc Жыл бұрын
Sami sir..........Allah apko jaza e kher dy
@allpakistanindiatv461
@allpakistanindiatv461 14 күн бұрын
آ پ کے والدین کو اللہ لمبی عمر دے ان کے حضور ہمارا سلام
@dr.naeemzafar474
@dr.naeemzafar474 9 ай бұрын
کمال ھے شاعری اور اس سے بڑھ کر ھے ادائیگی
@javeriaabid9364
@javeriaabid9364 Жыл бұрын
He is the KING of his genre and no one comes even close to him MASHALLAH. LIVING LEGEND
@videovibes-withahmarquresh7359
@videovibes-withahmarquresh7359 Жыл бұрын
After listening to this masterpiece I have composed my own poetry for Samie - He's a Real-time Dervish A Malang! "Inteha e Ishq hui ajab tishna o' deewani keh milay Deedaar e Yaar" - "Jaza e Bahisht se hai iqraar aur Saza e Dozakh se nahin inkaar" Respect for Samie brother
@momstar7127
@momstar7127 2 ай бұрын
Wah wah! Kya sheheri hai ❤😊
@videovibes-withahmarquresh7359
@videovibes-withahmarquresh7359 2 ай бұрын
@@momstar7127 dilli shukria ❣️🤲 adaab adaab 💐🙂
@umarrasheedabjad6313
@umarrasheedabjad6313 Жыл бұрын
سبحان اللہ ۔۔۔کیا خوبصورت طریقے سے نبھایا ہے اور ملایا ہے❤❤
@kianikamran9981
@kianikamran9981 9 ай бұрын
سبحان الله، جی خوش ہوگیا۔جزاک الله خیر۔
@hamdosha6826
@hamdosha6826 Жыл бұрын
That's admirable ❤️ 👉"Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hoon"👈 This not only gives us inner peace but also gives us a chance to remember our poets❤️
@farzanawakeel
@farzanawakeel Жыл бұрын
True
@AbdUllah-735
@AbdUllah-735 Жыл бұрын
جو جو بھائی سے شکوہ و جواب شکوہ چاہتا ہے وہ ووٹ کرے اور کمنٹ کے رپلائے میں شکوہ جواب شکوہ لکھ دے ...
@najmuddinqasmi4973
@najmuddinqasmi4973 8 ай бұрын
میں
@ImranShahzad-zj2vk
@ImranShahzad-zj2vk 29 күн бұрын
Sir first time Suna Hai app ko but fane ho gea g great
@shaniraja5269
@shaniraja5269 2 ай бұрын
حق ادا کر دیا ہے بھائی ❤
@pakeezakausar3451
@pakeezakausar3451 10 ай бұрын
10 bar suna fr b sunne ka dil krta hai.. Wahh... Ma sha Allah
@makalichamunda777kaithal5
@makalichamunda777kaithal5 Жыл бұрын
Kya khoobsurat likha & voice is mashallah I'm listening for 5th time Bus aamna sammna chatha hu
@ameerabdullah5679
@ameerabdullah5679 6 ай бұрын
Likhny walay Be-Misaal Ganay walay-Ba Kamal! Sir much respect!🙏🏻❤️
@cutedesignsbymisbah7405
@cutedesignsbymisbah7405 Жыл бұрын
SubhanAllah sir kamal krr dia thanks for giving another heart ❤ touching masterpiece 😊
@raheelahmed6528
@raheelahmed6528 4 ай бұрын
کمال یار کمال کیا ہی کہنے بسس الفاظ نہیں سلامتی ہو❤
@aadilkhan101_
@aadilkhan101_ Жыл бұрын
Kya baat hai janaab, Aligarh Muslim University se♥️
@smi5570
@smi5570 Жыл бұрын
ہاۓ ہاۓ ہاۓ۔ بدل دیا، ماحول بدل دیا، کلام کا کیا خوبصورتی سے فیوژن کیا ہے سر۔ سبحان اللہ واہ واہ واہ اقبال، عدم، ذوق، غالب، جگر، بیدم، جگر، سمیع،۔۔۔افففففف حد پار ہو گئی مرشد❤ بھلا ہو آپکا
@shamayalahmad7539
@shamayalahmad7539 Жыл бұрын
MashaAllaah SubhanAllaah ..... Impeccable .... Hariat e chashm ki aarzu Tu hai - Ho ke posheeda ku ba ku Tu hai ... Bahot Khoob janab
@khaqanbabar1834
@khaqanbabar1834 4 ай бұрын
Voice vocal of 1960s ,, wawaww wawawa subhanallh wawawaaw,, kia saadgi Hy Wawa mithhaas
@maharmadni2354
@maharmadni2354 Жыл бұрын
bhut bhut bhut bhut bhut bhut bhut bhut zaida hi acha Kamal ka klam hy
@saweraburiro547
@saweraburiro547 Жыл бұрын
No words to say, because words couldn't really describe that how this Kalam narrated the sentiments of a Sufi on the auspecious event of Hashar. Moreover, Sufi is not concerned for forgiveness of his Sins, but he always desires for being Penalized. "Barra Be Adab Hu Sazaa Chahtaa Hu", "Tere Ishq ki Inteha Chahtaa Hu".
@touseefjaved8800
@touseefjaved8800 Жыл бұрын
Murshad is not coming slow ❤❤❤ Akheer krdi Murshad ❤❤
@shafiqrehman4962
@shafiqrehman4962 21 күн бұрын
بہت عمدہ
@shafiqueurrehman5006
@shafiqueurrehman5006 3 ай бұрын
یہ محشر ھے مالک، سوالوں پر بھی اجانا، ذرا دیدار تو کرلوں اے روء جاناناں۔ اچھی درخواست ھے My sweetheart Mentor
@zeynab2750
@zeynab2750 Жыл бұрын
Subhanallah ❤❤❤❤
@hassanabdullah4754
@hassanabdullah4754 Жыл бұрын
My favorite ❤
@sabihakhatoon9809
@sabihakhatoon9809 Жыл бұрын
Soulful peaceful and rest is history.. best best MASHALLAH MASHALLAH
@urduadab6202
@urduadab6202 11 ай бұрын
Dill ko chu lati ha tumari awaz or alfaz jazba josh kia bt ha mashallah beta.
@malikadil1562
@malikadil1562 Жыл бұрын
ماشاءاللہ بہت عمدہ اللہ تعالیٰ سلامت رکھے آمین
@knowledgefacts186
@knowledgefacts186 Жыл бұрын
Mashallah very beautiful Kalam
@Sayyada.
@Sayyada. Жыл бұрын
Indeed... Aj tak is Aala kalam ka aisa version na bana hoga... Only you deserve this work samie sir 🙌 Huge respect 🙌❤ Maula ham faqeeron ko Apne Ishq ki Intehaa se nawaaze ameen❤
@hassanabdullah4754
@hassanabdullah4754 Жыл бұрын
My favorite ❤
@chyafrin
@chyafrin Жыл бұрын
ইবাদত৷ করি৷ কোন৷ কিছু র৷ আশায় না,শুধু আল্লাহর ভয়ে৷ করি,,,,আমিন
@mrsammar5566
@mrsammar5566 9 ай бұрын
Can i talk to you?
@maliktahirhaleem5107
@maliktahirhaleem5107 4 ай бұрын
MASHALLAH LA QOOTA ILLA BILLA, ALLAH S.W.T NAY JO KAM APP SY LEA HAY, APP KO BOHAT BOHAT PASHGEE MUBARIQ BAD. ROHANIAT KAY JAM PEETAY RAOU, ISHIQ ELLAHI MEIN DOBTAY JOU , EMESHA SALAMAT SHAD O ABAD RAOU AAMEEN ❤❤❤❤❤❤❤
@ayazamir7706
@ayazamir7706 23 күн бұрын
Behad khubsurat adayegi...
@user-ip9ki9zb9b
@user-ip9ki9zb9b Жыл бұрын
I wish Allama Iqbal could hear this 😊
@muhammadaliarif-artist6543
@muhammadaliarif-artist6543 10 ай бұрын
😢😢😢😢😢😢😢😢❤❤❤❤
@wanderbikeadventures
@wanderbikeadventures 9 ай бұрын
😮😮😮😢😢😢😢❤❤❤❤❤❤❤
@user-im7wf6no5j
@user-im7wf6no5j 4 ай бұрын
V nice Dil ko chu lai ne wali Ghazal.and song
@ShiekhTayyabHassanVlog
@ShiekhTayyabHassanVlog Жыл бұрын
Parha Likha Aur Great Qawal❤
@hassanhaider16
@hassanhaider16 2 ай бұрын
لاجواب بہترین شان دار
@Fatimaafzal_x
@Fatimaafzal_x Жыл бұрын
I can't express how grateful I am to you, Sir Muhammad Samie, for composing such intricate and elaborate pieces of art,that pierce right through the heart.
@zahrasarfraz1291
@zahrasarfraz1291 Жыл бұрын
I don't have words Sir...May Allah Pak Bless You Always ....Ameeeeen...Live Long.......I have Goosebumps, tears and smile with teary eyes while listening the Kalam......✨✨✨❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️ Samie Sir ...Thank You For the Master Piece again....✨❤️
@zoyakadri2820
@zoyakadri2820 9 ай бұрын
yes, Applaud
@dawoodansariindia7154
@dawoodansariindia7154 11 ай бұрын
Outstanding Mindblowing Bahisht me bhi pahoch kar mujhe Qarar nahin Ye koi aur jagah hai maqam e yaar nahin... Ye Jannat Mubarak rahey zahidon ko...... Kucha e yaar me chal dekh le Jannat meri....
@muhammadshoaib9529
@muhammadshoaib9529 8 ай бұрын
واہ کیا شاعری ہے اور کیا ادائیگی ہے الفاظ کی. سبحان اللہ.
@rustamali9067
@rustamali9067 Жыл бұрын
Awesome I can't explain how this kalam motivate me for love with ALLAH While hearing tears are falling continuously Stay blessed and stay under the clouds of happiness Ameeen sumameeen
@ZebaTravelDiary
@ZebaTravelDiary Жыл бұрын
Soothing, soulful sufi experience at its highest form..3 months of worth waiting, love from India MS❤️❤️
@ranatasleem9305
@ranatasleem9305 3 ай бұрын
بہت خوبصورت آواز ۔ بہت خوبصورت ادائیگی 💖💖💖
@maghfirabibi5720
@maghfirabibi5720 3 ай бұрын
میرا بھائی آپ بہت خوش قسمت ہیں اللہ تعالیٰ نےآپکواتنی خوبصورت آواز سے نوازا ہے اللہ اسکو آپکے لیے توشہ آخرت بنانے آمین ثم آمین ۔
@ShiekhTayyabHassanVlog
@ShiekhTayyabHassanVlog Жыл бұрын
Best 12 Poet Plus Apki Awaz Ma sha Allah Great Combination ❤
@zeeshanhaiderjaffarinekoka8148
@zeeshanhaiderjaffarinekoka8148 Жыл бұрын
Another Master Piece by #Muhammad_Sami 🎉❤
@zohaibhassan7292
@zohaibhassan7292 10 ай бұрын
واہ کیا کہنےزبردست
@farhatabbas-nd9vh
@farhatabbas-nd9vh 9 ай бұрын
بہت خوب جناب
@Aryan_626
@Aryan_626 Жыл бұрын
Liked it before watching it ...I know it's so good 🔥 Cuz this man is maestro in this zone
@DanishKhan-in5cw
@DanishKhan-in5cw Жыл бұрын
Weldon ❤❤❤❤Sami bhai
@mmatif4325
@mmatif4325 Жыл бұрын
ماشاءاللہ بہت خوب سدا سلامت رہیں ۔
@janu_ki-aqsu.
@janu_ki-aqsu. Жыл бұрын
Gunah se ashnai jb nhi rakhty farishty phr.. gunaah likhty hoye shyd farishta sochta ho ga ...👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻deep
@arfafatima1310IYI
@arfafatima1310IYI 3 ай бұрын
سنا ہے آپ کو کعبے میں بھی خدا نہ ملا بڑا بے ادب ہوں سزا چاہتا ہوں اب تو گھبرا کے یہ کہتے ہیں کہ مر جائیں گے مر کے بھی چین نہ پایا تو کدھر جائیں گے ذوق جو مدرسے کے بگڑے ہوئے ہیں ملا ان کو مے خانے میں لے آؤ سنور جائیں گے بڑا بے ادب ہوں سزا چاہتا ہوں بڑا بے ادب ہوں سزا چاہتا ہوں❤❤❤❤
@18janiyt
@18janiyt Жыл бұрын
Once Again heart touching Voice❤ and beautiful Gazal
@hassanabdullah4754
@hassanabdullah4754 Жыл бұрын
My favorite ❤
@poetryfortheBlind
@poetryfortheBlind Жыл бұрын
Muhammad samie apny fan main yakta hain...❤❤ wowwww......Amazing
@jmdatul
@jmdatul 2 ай бұрын
बहुत ख़ूबसूरती से गया हैं
@Faizi345Ali
@Faizi345Ali Жыл бұрын
without glamour, you are achieving heights, hats off the real artist
1❤️
00:20
すしらーめん《りく》
Рет қаралды 33 МЛН
Cat story: from hate to love! 😻 #cat #cute #kitten
00:40
Stocat
Рет қаралды 15 МЛН
Nursultan Nazirbaev - Gul Gul (премьера песни) 2024
2:37
Nursultan Nazirbaev
Рет қаралды 184 М.
aespa 에스파 'Armageddon' MV
3:33
SMTOWN
Рет қаралды 30 МЛН
Eminem - Houdini [Official Music Video]
4:57
EminemVEVO
Рет қаралды 31 МЛН
Селфхарм
3:09
Monetochka - Topic
Рет қаралды 1,3 МЛН
Artur - Erekshesyn (mood video)
2:16
Artur Davletyarov
Рет қаралды 238 М.
Asik - Body (Lyrics Video)
2:42
Rukh Music
Рет қаралды 725 М.