Ujala jiska hai do jahan mein Ujala jiska hai do jahan mein wo mere aaqa ki roshni hai Unhi ke qadmon ki barkaton se ye zindagi aaj zindagi hai Durood padhna salaam padhna har ek pal unka naam padhna Jo arz karna unhi se karna sikhaya rab ne hame yahi hai Hisab ka din kathin to hoga magar hame unka aasra hai Wo aa hi jayenge bakhswane shafa'at unhi ko ata hui hai Kahan hai duniya me shehar aisa madine jaisa madine jaisa Hai fakhre jannat zameen ka tukda jahan pe lehde nabi bani hai Wo khusbu e zulfe Mustafa hai ki mushk bhi hech jiskw aage Mahekti galiyan yeh keh rahi hai sawaari unki abhi gayi hai Unhi ka charcha hai aasman par zameen pe bhi zikr hai unhi ka Har ek gul me har ek kali me mahek unhi ki basi hui hai Wo sabz gumbad wo unka rouza wo unki masjid ka gosha gosha Kadam kadam par lage hai aisa falak se jannat utar padi hai Wahi hai Ahmed wahi Muhammad wahi hai Mehmood wo hai Haamid Hamid wo hai Saeed wo hai unhi se nazmi ki lau lagi hai
@shoaibali50413 жыл бұрын
Masha Allah bhout piyari voice h hazrat apki
@imrankhan-kn5hy Жыл бұрын
SubhanAllah. very nice Naat Shareef.
@shaikhshakil45983 жыл бұрын
😘😘😘😘Masallah😘😘😘
@ms52057 ай бұрын
Subhanallah
@mustafaraza83263 жыл бұрын
Subhan Allah ,Masha Allah ........ Allah apko aabad rakhe duniya o aaqirat me
+Azhar Attar kuch masrufiyaat thi bhai and kuch majburiyan bhi...Aap dua karen k Rizwan bhai ki padi hui kareeb 1000 naatein hain woh sab upload kardu...
@alwaysmustafa5 жыл бұрын
SubhanALLAH
@mushabnoori52927 жыл бұрын
Bhai is naat ki lyrics hai to share kare
@MBPatel-xm8kx Жыл бұрын
Ujala Jiska Hai Do Jahaan Me Lyrics: Ujala jiska hai do jahan me wo mere aaqa ki roshni hai Ujala jiska hai do jahan me wo mere aaqa ki roshni hai Unhi ke qadmon ki barkaton se Unhi ke qadmon ki barkaton se ye zindagi aaj zindagi hai Durood padhna salaam padhna har ek pal unka naam padhna Durood padhna salaam padhna har ek pal unka naam padhna Jo arz karna unhi se karna Jo arz karna unhi se karna sikhaya rab ne hame yahi hai Hisab ka din kathin to hoga magar hame unka aasra hai Hisab ka din kathin to hoga magar hame unka aasra hai Wo aa hi jayenge bakhswane Wo aa hi jayenge bakhswane shafa’at unhi ko ata hui hai Wahi hai Ahmed wahi Muhammad wahi hai Mehmood wo hai Haamid Wahi hai Ahmed wahi Muhammad wahi hai Mehmood wo hai Haamid Hamid wo hai Saeed wo hai Hamid wo hai Saeed wo hai unhi se nazmi ki lau lagi hai Unhi ka charcha hai aasman par zameen pe bhi zikr hai unhi ka Unhi ka charcha hai aasman par zameen pe bhi zikr hai unhi ka Har ek gul me har ek kali me Har ek gul me h
@mushabnoori52927 жыл бұрын
Ya sath me naat ke lyrics me add karde
@ShahnawazKhan26267 жыл бұрын
Bhai maine lyrics description box mein daldi hai. Please check.