Baba Azizuddin khan (kolahapur) इनका रेकॉर्ड गानेका (classical Raag) Audio, video देखने, सुनने की इच्छा है help करे.
@classicalgem3 жыл бұрын
Ustad Allahdiya Khansahab, mere Pitaji Ustad Azmat Hussain Khansahab ke sage taaya the. Jahan tak aam malumaat hai Aur sabhi jaante hain ke Baba Azizuddin Khansahab ne tabiyat aur aawaz galaa barabar na hone ki wajah se kabhi gaana nahi gaya. Unhe beshak maalumaat zarur thi. Allahdiya Khansahab ki taalim ke sahi prateek aur karnadhar khaandaan me se unke Bete Ustad Bhurji Khansahab, Ustad Manji Khansahab , aur sage Bhatije Ustad Azmat Hussain Khansahab the. Azmat Hussain Khansahab ki Gayan Shaili aur zyada vividh aakarshak aur aakramak ban gayi thi. kyunki unhon ne Allahdiya Khansahab Ahmed Piya ki vishes gayaki ko Khurja Gharana aur Agra Gharana Gayaki ke saath behtareen sammilit yani amalgamate kiya tha. Ye Gayaki behad prasiddh aur prachalit huvi. Taayaa Allahdiya Khansahab , Azmat Hussain Khansahab se be inteha pyaar karte the. WEBSITE. www.dilrangacademy.org