Hiii sar, Aapne ne to I400, I500 and I300 tino keyboard use kiye he. Mera budget itna he ki me I400 & I300 afford kar sakta hu, Mera question ye thaa ki kya aaj ke time pe I400 lena worth rahega yaa fir I300 jyada value for money rahega Kyuki mene I400 and I300 dono keyboard ke specification padhe he, Aaj ke time pe I400 me kaafi features kam he I300 ke mukable, aur connectivity option me bhi I400 thoda piche he I300 ke mukable Per me isme confuse hu ki kya I400 ki sound quality jyada acchi he I300 ke compare me, Mene in tino keyboard ko youtube per kai baar suna he, mujhe aisa laga ki I300 ke compare me I400 & I500 jyada acchi sound produce karte he Ek baat to he ki I400 & I500 me jyada acche speaker he, I300 ke mukable, isliye saayad aisa ho sakta he Per jab hum in tino keyboard ko speaker system ke saath connect karte he, kya tab bhi I400 & I500 jyada aacha sound produce karte he I300 ke mukable, yaa fir in tino keyboard ki sound speaker system per same he, Aapke paas to tino keyboard he, aur aapne usse alag alag scenario me use bhi kiya hoga, kya aap mujhe iske baare me jyada bata sakte he, ki kiski sound speaker system pe jyada achhi he, Aur aaj ke time pe konsa keyboard lena jyada worth rahega. (Budget badhane per bhi) Kya koi other brand kaa keyboard accha rahega iss price range me, (my requirement is sound quality & keybed accha hona chahiye) Me ek keyboard purchase karne wala hu, aapki madad chahiye, please sir
@mymoonlightpiano7 ай бұрын
I300 le lo ya i500 le lo but i400 mat lena
@badalmachhi79527 ай бұрын
@@mymoonlightpiano haa sar, wese to mene I300 hi consider kiya he, Per sar, I400 naa lene ka koi reason
@mymoonlightpiano6 ай бұрын
Less connectivity option No usb audio interface
@badalmachhi79526 ай бұрын
@@mymoonlightpiano ohk, sar kya i500 me usb audio interface he, kyuki mene official web site per check kiya lekin waha kahi per bhi aisa kuch mention nahi thha, Sar ek aur baat, aapke paas to I300 & I500 dono he, agar aapse ho sake to please ek baar I300 & I500 dono kaa aamne saamne comparison kar dijiye kuch indian tones ke saath with onborad speaker and then with external speaker. Aap ye nahi bhi kar sakte ho to koi baat nahi per mujhe sirf itna jaanna he ki kya onboard speaker pe & external speaker pe dono keyboard ki sound quality me koi difference he yaa nahi. Aap aise bhi bata doge to chalega, comparision jaroori nahi he.