Mashallah Ali Zaidi I recently started following you and listened couple of kalams. Mashallah you have such a nice voice , Kalams r full of tears , Mola AS aap ko iska ajar dein Ameen. Please also visit to Mississauga , Canada sometime to recite . Also I work for Qaim TV and always looking for good reciters in My Dars Nahjul Balagha program. If u have any contact , would love to arrange you in one of the program so you can recite live on Qaim TV.
@hassanhussain59853 ай бұрын
❤
@safeerrawjani55063 ай бұрын
Mashallah
@minahil6jan3 ай бұрын
I just started listening to his recitations recently. I love his recitations and im so glad he recorded this qalam 😭😭 Where does he live and recite?
@salmanhussain98083 ай бұрын
He lives in Chicago but usually recites all over America.
@shabinarizvi-53593 ай бұрын
😭😭😭😭
@mrsmurtuza52523 ай бұрын
Beautiful marsia in ur beautiful voice Ali. R u from pak or based in US
@Bulb4663 ай бұрын
Chicago, US
@aimanrizvi25123 ай бұрын
💔
@tasveerzehra_3 ай бұрын
Lyrics please!!
@haiderabbas19853 ай бұрын
Zindaan khul gaya hai Sakina watan chalo Sajjad keh ke gir pada choti si qabr par Mazloom aise gir pada -2 Turbat pe behen ki Jaise Hussain tha gira, Akbar ki laash par Dekho nahi rahi mere, haatho'n mein ab rasan Jaaney laga hai qafila, ab laut kar watan Lekin tu behen Shaam mein -2 Qaidi hi reh gayi Khaa kar tamachay so gayi, zindaa'n ki khaak par Karta hoon yaad ro ke main, manzar woh dard ka Kaano'n ke zakhm par jo, tamacha tujhe laga Baba ko tu sina pe -2 Sada deti reh gayi Baba sina pe rotey they, tab tujh ko dekh kar Amma ki tarha tujhko, na mil paayi thi rida Baba ki tarha tujh ko, kafan bhi na mil saka Patthar bhi khaaye Shaam mein -2 Tuney meri tarha Naaqay se gir ke ho gayi, teri bhi kham qamar Main le ke tujh ko Shaam se, waapas na jaa saka Baba ko kya bataoon main, ab jaa ke Karbala Kurtay mein dafn kar ke -2 Banayi teri lahad Abid ko khoo'n rulayega, ye dard umr bhar Karbal mein chin gayi thi, tere sar se jo rida Waapas main laa chuka hoon, usey dekh to zara Sar par main tere rakhta -2 Rida apne haath se Afsos haaye Shaam mein, tu na rahi magar Amma ke bayn sun ke, nikalti hai jaa'n meri Kehti hai umr bhar na, wo saaye mein jaaegi Kaise uthaoo'n ujdi -2 Hui Maa ko tu bata Teri lahad se Maa ki bhi, hat ti nahi nazar Wo rukhsat e Hussain pe, Zainab ka imtehaan Aisa hi aaj phir se hai, zindaan ka samaa'n Sajjad ho raha hai -2 Juda aise behen se Uthta hai ro ke qabr se, girta hai qabr par Likhoo'n Sahaab kis tarha, mehshar ka marhala Tha gham ki inteha pe, bhi Abid ka hausla Zinda behen ki qabr se -2 Uth kar chala gaya Ahwaale gham sunane ko Baba ki qabr par