Allah Taala Ne Quran E Pak Mein Noori Jahano Ke Bare Mein Kya Farmaya?!!!

  Рет қаралды 13,651

Fikar E Iqbal

Fikar E Iqbal

Күн бұрын

Allah Taala Ne Quran E Pak Mein Noori Jahano Ke Bare Mein Kya Farmaya? This video the beautiful motivational video Another good informative video about, Allah Taala Ne Quran E Pak Mein Noori Jahano Ke Bare Mein Kya Farmaya, What deos Allah taala mean? Allah means God, Taala above all and Almighty, or we can call Him a simple word of divine, supreme, or glory. Now we can understand the Allah Taala. How did Allah reveal the Quran? Muslims believe that the Quran e pak or The Holy Quran was gradually revealed by Allah to the last prophet Muhammad Saww through the Archangel Jibrail (Gabriel) over a period of approximately 23 years, starting with the month of Ramadan, when Muhammad was forty years. old; It ended in the year 632, the year of his death.
-Allah Taala Ne Quran E Pak Mein Noori Jahano Ke Bare Mein Kya Farmaya? Allah taala ne Quran e pak, Holy Quran mein Noori Jahan ka Zikr kiya hai, Allah Taala jis se dosti karta hai jis se Mohabbat karta hai usay Noori Jahan mein muntakil kar deta hai. Aur phir Noori Jahan ki dawat bhi di hai, agar dekha jaye to Allama iqbal ne bhi Noori Jahano ka Tazkara kiya hai, apni Book Javeed Nama mein. Allama Muhammad Iqbal ne bhi kaha hai ke mukhtalif Jahano mein gaya hon mukhtalif Jahanon ki sair ki hai, ye Noori Jahan ka Raaz kiya hai aur kon se bande us Noori Jahan mein pohnch sakte hain? is ke Bare mein Allah Taala ne farmaya Quran e Pak, Holy Quran mein ( Allah dost hai Momeneen ka) Momin wo hain jin ka batin ka silsila chalta hai, jin ka lataif ka silsila chalta hai, ya kam se kam apne Latifa e Qalb ko zinda-o-baidaar kiya hai, jo ke farishta sift makhloq hai. Allah Taala Dost hai Momeneen ka, us ko is tareki Jahan se nikal kar Noori Jahan mein muntakil kar deta hai, Allah taala unhi ka dost hai jin ko Noori Jahanon mein muntakil kar deta hai. Ab yahan sawal ye paida hot hai ke Noori jahan hai kya, Noori jahan hai kon se, aur Allah Taala un ko Noori Jahano mein kis tarhan muntakil karta hai. Allama Iqbal farmate hain, tu apne us zamane se kyun ghafil baitha hai, us zamane ko hasil kar us Jahan mein chala ja, jis mein na Saal hai na mahena, ye jo jahan hai ye Aalam e nasoot hai, jis mein chand, suraj, sitare nazar aa rahe hain. Is Jahan mein din aur raat ho rahe hain, ye tareki ka Jahan hai, ye zulmat ka Jahan hai, aur opar wale Jahanon mein zulm nahi hai, opar wale Jahano mein tareki nahi hai, opar wale Jahan Noor ke Jahan hain, aur Noori Jahan mein raat nahi hoti. Noori Jahan kon se hain aur tareki Jahan kon sa hai? ye jo aalam e Nasoot hai ye tareki Jahan hai, aur opar 6 jahan hain wo kon se hain wo Noori Jahan hain, aur ye Noor se banae gay hain is liye ye Noori Jahan hain. Ab jin ko Allah Taala dost rakhta hai, Allah Taala jin ko aziz rakhta hai, Allah Taala jin se Mohabbat karta hai, un ko in Noori Jahano mein muntakil kar deta hai. ye Noori Mukhloqen Noori Jahano mein us waqt pohnchen gi jab ap in ko Noor ki taqat dein gay, jis ne is ko Noor ki taqat de di, aur Noori Jahan mein muntakil ho gaya, to phir wo Allah Taala ka Dost bhi ban gaya, aur waliullah bhi ho gaya. Aur jis ne in ko Noor ki taqat na di, to phir us ne apne andar ke Lataif zaya kar diye, aur wo insan matti mein matti ho gaya insan. Agar aap chahte hain ke ap ki Allah Taala se dosti ho jay, agar ap chahte hain ke ap bhi Noori Jahano mein muntakil ho jain, to phir apne Lataif ko Noor ki taqat de kar zinda kar lein, ab un ko Noor ki taqat kaise mile gi, to un ko Noor ki taqat Allah ke zikr se mile gi to koshish kiya karo ke apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka zikr kiya karo. #AllahTaala #FikarEIqbal #AdvZuhaibHafeez
More Related Videos Vist For
/ fikar_iqbal
/ advocate-zuhaib-hafeez...
www.fikareiqba...

Пікірлер
Kalam E Taryaq E Qalb - The Great Message For Spirituality!!!
15:56
Fikar E Iqbal
Рет қаралды 15 М.
Allama Iqbal With Reference To Spirituality - Batin Kya Hai?!!!
10:42
Миллионер | 2 - серия
16:04
Million Show
Рет қаралды 1,7 МЛН
黑的奸计得逞 #古风
00:24
Black and white double fury
Рет қаралды 27 МЛН
’Muhammad’ Mein 2 Meem Ka Raaz | Younus AlGohar | ALRA TV
14:47
Fana Ki Taleem Ki Haqeeqat Kya Hai? Part 6!!!
10:16
Fikar E Iqbal
Рет қаралды 13 М.