Waah! Kya nayaab upload hai aaj ka, shayad ab tak ka sabse behtareen. Par iski tareef mein bayaan karne ke liye, lafz kahaan se laaye.n ! Nida Faazli ji ki likhi ye bahut hi piyaari ghazal ko, Asha ji ne aur bhi sa.nwaar diya , apni makhmali aawaaz aur bemisaal gaayaki se ! Unki khanakti aawaaz mein gaaye iss khoobsoorat ghazal ke marm sparshi bol ❤ ki gehrayion ko chuu jaate hain ! Dil ka lagaana, khel na jaano..Dil ka lagaana mushkil hai ! Jiss par dil aa jaaye uss ko , dil se bhulaana ...........Sabhi ash'aar dil ko choone waale hain ! Aur iss ghazal ka maqta to rooh ko hi chuu leta hai....Kitna dard jhalakta hai in ash'aar mein .... Ghazlo'n se geeto'n se sabko, bahlaana to aasaa.n hai...Ha.ns ha.nskar lekin mehfil mein, dard ko gaana mushkil hai ! Din ki shuruaat khushnuma ho gayi, Asha ji ki, dil ko lubhaane waali awaaz mein, ye itnee khoobsurat ghazal sunn kar ! Sangeet bhi utna hi manmohak diya hai, Khayyam sahab ne, nikhaar diya iss peshkash ko ! Laajavaab, lyrics, sangeet aur gaayaki se sushobhit iss peshkash ne sammohit kar diya ! Shukriya, Suresh ji ke, ek aur sunder upload ko saajha karne ke liye ! Shubh kaamnaayein! 👍💐🙏