Autism बच्चो को बोलना कैसे सिखाए | how to teach Autism children to speak

  Рет қаралды 1,769

Autism aur Ashmit

Autism aur Ashmit

26 күн бұрын

‪@AutismaurAshmit‬
Autism बच्चो को बोलना कैसे सिखाए | how to teach Autism children to speak
#Autism
#rinaatharba
#adhd

Пікірлер: 35
@selfcook-hy2iq
@selfcook-hy2iq 24 күн бұрын
4 year ka hai therapy kar rahai hai buhoot achai sai activity kar laita hai jitni b time k liye baita do karta hai kam attension pore daita hai
@amna9311
@amna9311 17 күн бұрын
Sis mara bat 2 year's ka wo mama papa bolta haor kuch ni or jb bolyy tb bat ni sonta awazy b niklata ha mujy copy b krta ha kia usy otism ha
@jyotivaish4868
@jyotivaish4868 19 күн бұрын
Ashmit visual stimming krta tha
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 19 күн бұрын
Han ji visual steaming tha usmein
@mformotherhood7014
@mformotherhood7014 15 күн бұрын
Mera beta 3.5 sal ka tha tb hme pata chala ki use autism h, 18 - 20 months tk wo normal tha bs dusre bachho se thoda jada active tha bat krna bhi sikh gaya tha, bu5 uske bad bat krna band kr diya dr ko dikhaya screen dena band kr diya . Uska eye contact and response to name tha isliye dr ko bui laga ki isko autism nahi h, 1 sal aise hi gaya uske bad alag alag dr ko dikhaya fir pata chala use m8ld autism h. Wo therapy centre me nai baithta tha isliye main ghar pe therapy start kiya. Ab wo thoda thoda bolane laga h aur behaviour problems kafi kam ho gaye h, logo ke sath interact krta h, school me baithta h, hmari bate samzta h. Sleeping bhi achi ho gai h. Hand flapping, verbal stimming , speech thik se develop nahi h. To ye problems ko thik kaise kru aur kya mera beta kab tak thik se bat karenga, plz guide me mam.
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 14 күн бұрын
Hand flapping Kai Prakar ke Hote Hain bacche Jab Jyada excited hote hain tab hand flapping Karte Hain hand flapping ko rokane ke liye aapko jo hai thoda sa Uske Hath se Kuchh activity karvani padegi Jaise aap bacche se Aata gutwa sakte ho bacche Apne Hath se Jitna kam Karenge utani jaldi unke Hath ki hand flapping kam ho jayegi mujhe nahin pata ki vah kis tarike ka hand flipping karta hai to aap Uske Hath se Kai tarike ke kam hote hain jaise aap mirror saaf Karva sakte ho pochha lagva sakte ho Jo bacche ki fine motor per Jo work hota hai vah karvao jaldi work Karega hand flapping kam ho jaega aur verbal steaming ke liye aap Jaise Jaise uski speech Aaegi uski verbal steaming kam Hote Jayegi to aap uski speech per kam Karoge bacche Kuchh bolna Chahte Hain tabhi unko verbal streaming hota hai to bacche Jab normal batchit karne Lagte Hain To yah apne aap hi Chala Jata Hai aur Kai bar season change hone ke Karan bhi behaviour Mein change hota hai bacche hyper hote hain tab bhi verbal steaming Karte Hain aur bacche ko mouth ki sensory problem bhi Hoti Hai Iske Karan bhi hota hai to aap ka baccha khana chabakar acche se khata hai ya nahin is per bhi aap Dhyan Dena Agar chabakar Nahin khata hai to usko jo hai masaj dene ki bhi jarurat hai masaj se bhi verbal steaming kam hoti hai massage Joy speech mein bhi fayda karta hai aur bacche ke sensory bhi reduced hoti hai Baki Kuchh hard chijen Hoti Hai badam aur salad vagaira daily usko khane ke liye dijiye aur crunchy chijen Jaise murmura
@mformotherhood7014
@mformotherhood7014 13 күн бұрын
​@@AutismaurAshmitthank you mam😊.
@bismaabdulbari3971
@bismaabdulbari3971 10 күн бұрын
Ap ka bachy ny kitny sal m bolna start kia tha?
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 9 күн бұрын
Hamara baccha completely 4 to 5 years old Mein bola
@sonykand6753
@sonykand6753 15 күн бұрын
Hello Mam...Mera beta 4 years moderate autism hai ...do(2) shabdh ko jod nahi pa raha ... he says 'ka' and 'va'.. lekin kiwi ke liye sirf 'ka' boltha hai.. baarakhadi nahi a raha...understanding hai par bolne me dikkat hai.. please give suggestions.. agar ye speech apraxia hai tho speech kaise develop Kare? thank you.
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 14 күн бұрын
Aap apne aap kaise man Loge Ki isko speech apraxia hai iski Speech To Hai Na kam se kam Ek Do alphabet to bol raha hai isko bolane mein dikkat hai iski speech Thodi Si alag Hai iske liye main aaj ek video banaungi aap usko Jarur dekhiaega
@sonykand6753
@sonykand6753 14 күн бұрын
@@AutismaurAshmit okay mam thank you
@selfcook-hy2iq
@selfcook-hy2iq 24 күн бұрын
Phir b nahi bolta hai apni marze sai bolta hai
@selfcook-hy2iq
@selfcook-hy2iq 24 күн бұрын
Mam mera baita har aik bat ko samajta hai undenstanding pore hai eye contact thek hai kabi kabar bhol laita hai kush word wesai bolta nahi
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 24 күн бұрын
Thoda sa time lagta hai bacche ekadam se koi chij nahin sikhate hain aap bus Vishwas ke sath kam karte raho Thode Dinon Mein Hi result A Jaega aapke Samne Agar aapka baccha Agar poem Mein interest le raha hai to aap use poem ke through hi speech repeat karvana Sikha sakte ho aap koi bhi poem pahle gungunao FIR bacche Ke Samne Gungunate Raho Agar baccha interest le raha hai to Jarur Gungun aaega Dhire Dhire aap poem ko language mein convert Karoge FIR baccha apne aap hi bolna Shuru Karega
@selfcook-hy2iq
@selfcook-hy2iq 24 күн бұрын
Ok thanks
@avinavsharma5605
@avinavsharma5605 24 күн бұрын
Hello mam mera beta 2.10 years ka ha usa mild autism ha maina 2.5 years ka jab vo tha tab mujha Pata chala.Then maina uski therapy start karwa di uska eye contact good,name respond krta ha ,fine motor skill and gross motor skill are very good but vo only 3 ,4 word like mumma,papa,eye,up ,hi,bye Please 🙏 mam btana ma uski speech par kaisa Kam kro vo therapist ka sath bahut accha sa krta ha but vo mera sath nahi krta kyuki vo morning around 10,o'clock udta ha 11 t0 12.30 aba therapy lata ha then take a bath eat food and go to center around 1.30 and come back home 4.30 then eat food and sleep vo around 2hrs ka baad udta ha then hum walk par jata ha 30 to 40 minutes phir mam ma ghar ka Kam finish krti hu vo toys ka sath play krta ha then 9,o'clock t0 10 ma usa activity krwati hu par mera sath nahi krta then vo dinner krta ha uska father 11.45 pm Ata ha vo unka sath time spend krta ha phir vo so jata ha yeh uski routine ha. Please mam btana es age ma yeh routine enough ha 2 day vo 30 minutes speech therapy lata ha around 8.month sa uska koi fayadi nahi Hua .Please mam aap btana speech ka lya ghar par starting kya kro.
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 23 күн бұрын
@@avinavsharma5605 aapane bahut Achcha kiya uska time per therapy Shuru Karva Diya Hai aur is age mein bacche ko kam se kam aap 3 ghante Dena bahut Jaruri Hota Hai therapy ke alava alag alag time per Ek Bar Main aapko 45 minut Se Jyada time nahin dena hai aapke bacche ka jo sone ka time table vah thoda sa aapko change karna padega Kyunki abhi jo habit daloge Vahi Aage Tak jaega aur bad Mein use School bhi bhejna hai bacche 7:00 Tak Subah uth Jaaye to Achcha Hota Hai aur bacche ko Nind bhi bahut jaruri hai isliye aap use jaldi sulav Ge tabhi jaldi uthenge aur aapka baccha aapke sath bhi activity Karega pahle aapko Uske interest ki jo uska favourite toys hai uske sath aap activity Shuru Karoge to bacche interest bhi Lenge aur aapke sath activity bhi Karenge aur kuchh poem learning poem Hote Hain yah speech ke liye bahut helpful Hote Hain to aap phone mein use poem ko lagakar aur bacche ko dikhana nahin hai sirf usko listening karna hai aur use per aap aap bacche ko learn kara sakte ho Jaise Ek teddy bear teddy bear turn around Karke poem hai use per aap karvao usmein point your nose point your toes jump up high yah Sare chij aap usko Karva sakte ho aap bolane ke sath sath usko jump karvao point karvao bacche ke sath friendly behave Karoge bacche apne aap aapke sath activity karna Shuru kar denge aap bubble Le sakte ho bubble flow Karke bacche Ko Dikha sakte ho bacche bahut interest Lenge aur uske sath sath vah sound bhi nikaalenge bacche ko pahle aap copy karna sikhao speech iske sath hi Aati Hai aur aapka baccha lagbhag 3:30 ghante ke liye Bahar rahata hai aur yah Aba therapy bhi le raha hai to aap is per 2 ghante bhi de rahe ho to Kafi Hai Baki ka jo daily ka routine Hai vah bhi to aap follow kar rahe hain uske sath to aap Uske hisab se bhi uske sath batchit kar sakte ho Jaise aap khana de rahe ho to usmein kya hai vah chij aap use bata sakte ho aur Baki glass spoon yah sab identify karvao bacche ko kaun si chij Jyada pasand hai vah option Rakho baccha kis per Jyada focus kar raha hai vah dekho iske sath aap jo uska daily ka routine Karva rahe hain uske sath bhi aap bol sakte ho khana hi Kha Raha Hai To usmein Kya kya hai vah chijen aap bata sakte ho aur sath mein Uske Samne Hamesha aapko bolate Rahana hai vah Har chij aapko dikhana hai agar aap Park Bhi Ja Rahe Ho To Raste Mein Jo jo chijen aap Dekh Rahe Hain usko batate jaaoge
@selfcook-hy2iq
@selfcook-hy2iq 23 күн бұрын
Aoa mam isi tarah mera baita b tha mai us ko 45 minutes therapy k liye lai k ja rahi thi par us sai koi farak nahi parah tha phir us k bad mai nai us k therapy change karwai ab 2.5 hours us k therapy ho rahi hai pahlai wo b kam nahi karta tha laiken mai nai buhoot mahnat k zor sai baitathi thi ab shukur hai activity buhoot achai sai karta hai jitna b time baita lo buhoot timr lagta hai taqrebn merai 5 month lagai hai therapy sai zyada ot k class zarori hai mai nai ot pai kam kar k buhoot achai sai result melai hai
@amna9311
@amna9311 17 күн бұрын
Kon sy tested sy pta chlta ha Autism ha
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 17 күн бұрын
Autism Ke Liye Koi test Nahin Hota Hai Bus Iske symptom ke Aadhar per Isko diagnose Kiya jata hai Autism bacchon ka symptom alag hota hai vah bahut jyada hyper hote hain Ek Jagah nahin dikhte hain Logon ki Baton Ko vah Nahin sunte Hain Apne Naam per response Nahin Karte Hain vah Kuchh bolate bhi hai to Samajh Ke Nahin bolate Hain unnecessary bolate Hain Agar vah mamma Papa bhi bolate hain to mamma Ko Dekhkar mamma Nahin bolate Hain apne aap hi bolate rahte hain
@harshblog007
@harshblog007 23 күн бұрын
Aap ka beta bachoo me khelta tha
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 22 күн бұрын
Nahin problem to yahi hai jab tak bacchon Mein understanding Nahin Aaegi speech acche se nahin Hogi tab tak bacche bacchon ke sath Kabhi khelte Nahin Hai
@harshblog007
@harshblog007 20 күн бұрын
Aap mobile deti thi
@AutismaurAshmit
@AutismaurAshmit 19 күн бұрын
Is Autism ka mobile se koi connection Nahin Hai mobile se jo Autism hota hai vah virtual Autism hota hai Jisko jaldi recover Bhi Kiya Ja sakta hai
Autism Recovery - 10 Golden Rules For Recovery
22:04
Dr. Vikas Sharma M.D
Рет қаралды 823 М.
Викторина от МАМЫ 🆘 | WICSUR #shorts
00:58
Бискас
Рет қаралды 4,8 МЛН
Mom's Unique Approach to Teaching Kids Hygiene #shorts
00:16
Fabiosa Stories
Рет қаралды 37 МЛН
ЧУТЬ НЕ УТОНУЛ #shorts
00:27
Паша Осадчий
Рет қаралды 10 МЛН
Inside Out 2: Who is the strongest? Joy vs Envy vs Anger #shorts #animation
00:22
Remarkable Rapid Revision Pediatrics 💪📖 || Dr Sandeep sharma || Fmge and Neet Pg
2:35:39
Dr.G Bhanu Prakash Animated Medical Videos
Рет қаралды 106 М.
Mild Vs Moderate Autism / Is Recovery Possible in Mild Autism?
14:31
autism blue rose
Рет қаралды 2,5 М.
Part 2- Autism Success Story of Sainyam🙋❤🔆🧿 #autism
24:41
sainyam4autism
Рет қаралды 34 М.
Викторина от МАМЫ 🆘 | WICSUR #shorts
00:58
Бискас
Рет қаралды 4,8 МЛН