Thanks for sharing this video because i need to learn how i wash my machine it is really useful tips thanks alot dear
@qazwsxedcrfv82673 жыл бұрын
Aoa .sis mian Abi apni machine ko tub clean krny lage te to socha U tune pr check Kari hon method.pely koi aur video dehke pher apke ke serch ke tub clean ke video tb apny start m he bata dya k isko jaldi tub clean nahe krty iske life km ho jati ha.aur mjy abi 4 month howay hn use krty.really apke video sy boht help hoi ha.jazakallha.apke pely b machine k related sari videos dekti rahe hon.
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah sister Mera maqsad hi yehi h k housewives ko sikhaun qk hmare Han s tarhan se koi b institute nhi hn
@hbugvi2010 Жыл бұрын
Good information...Thanks .. Hasnat Bugvi , Islamabad
@Abbasvlogs55793 жыл бұрын
Hina ji amazing kia treeqa btanay ka bht acha
@naziairfan14632 жыл бұрын
Mam agr light chali jae is ke darmian???
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum to process wahin se start hoga sister
@naveedtl363 жыл бұрын
AH, BH & CH are hexadecimal numbers. These are base 16. For example: 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 A B C D E F. Here A is equals to 10, B equals to 11, C equals to 12 and so on. CH means 12 hours.
@hinasheaven2 жыл бұрын
thanks for guidance highly appreciated
@haniaali39032 жыл бұрын
Mri mchn m AH aara aur ruki v kya kru
@bakhtawarzahid77663 ай бұрын
Dear Hina meri washing machine ko kharide Abhi 17 din hue Hain lekin uska Tub BHT Ganda or greasy ho Gaya th to mene Scotch Brite se manually hi fho dia. Is se machine ko koi nuqsan to nhi hoga na mam.
@kausarjamilay4592 жыл бұрын
AOA mayray pas be haier kee automatic machine ha jis k model no. HWM 150-1708 ha. es k tap kaysay saf Kary. es k function change ha ap kee machine se. plz plz reply Kar de.
@mahiqasim1452 жыл бұрын
Aoa...dear i hv haier auto 12kg... usmn liquid wala option nhi hai softener r detergent ka hai toe phr kis mn dalu liquid
@blessedkitchen0352 жыл бұрын
Please mujhay guide krain,mairi Haier HWM85-7288 hyus my tub cleaning ka option nhi,m7jhay kia krna chaheay
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum aapko company call kr k poochna chahiye wo aapko guide krein ge
@soniasyed48102 жыл бұрын
Zaberdast video banai ap ny good work
@hinasheaven2 жыл бұрын
Jazak Allah sister
@fatimaahsan92592 жыл бұрын
Mam..front load washing machine ko kitny time baad tub cleaning krty hain??
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum after 35-36 washing means 6 months to 1 year
@yumnabilal51122 жыл бұрын
Aoa, thanks of information api mary pass same machine ha haier ki ye wala model lkin mri machine m problm ye a rahi ha k wo clothes damage kr rahi(means kapray phar rahi ha) ha please agar apk pas koi information ha to batae
@hinasheaven2 жыл бұрын
Walaikum assalam sister kapde phate ki waja maine is video mein detail se batae hai kzbin.info/www/bejne/ZpqaanxraJdrf7c kzbin.info/www/bejne/qWKan4OBbZqglZY lekin agar aap aise nh krti hain aur phir bhi ye issue aapko face krna pad raha hai to aap company call kr k complain krein wo check kr k batayein ge
@sheesmusaeesa43752 жыл бұрын
Front load washing machine ma dispenser drawer k uper waly hissy ma jo pani k yellow staain hain wo kaisy remove hn gy kindly is k bary ma b bta dain
@hinasheaven2 жыл бұрын
Plz stay connected insha'Allah bht jald s topic pr video upload hogi
@irumasif11483 жыл бұрын
thanks alot Allah aap ko khush aur abad rakay Ameen
@mamsam13 Жыл бұрын
Is main manual setting hoti h kya ? I mean agr wuick was select krain and minutes 10 show hon to hum minutes ko less kr skty hain ?
@hinasheaven Жыл бұрын
Assalam u alaikum nahin sister is mein aap less nh kar sakti is mein automatically set hain minutes
@shahnazkamran78913 жыл бұрын
Assalamo alikum sister ya bata day plz is masheen ma lone ka kapray dulh jatay hai?
@hinasheaven3 жыл бұрын
Walaikum assalaam ji sister easily dhul jate hain maine video banae hai aap zaror watch krein kzbin.info/www/bejne/m3zIf4BtlpWYnLM
@faizaahmad1152 жыл бұрын
Many thanks dear.great help.jazakallah.
@hinasheaven2 жыл бұрын
Wa iyyakum sister
@zainababdulbasit1528 Жыл бұрын
Kya is main is ki tubes or sides bhi clean kry ga???
@hinasheaven Жыл бұрын
Assalam u alaikum nh sister wo aapko khud clean krni padein gi ye video dekh sakti hain kzbin.info/www/bejne/a5jQk3ini7pnmqc
@malikanawa3930 Жыл бұрын
Bartan done wala Liquid bhi use kr sakthe hai Reply kre?
@hinasheaven Жыл бұрын
Assalam u alaikum ji sister kar sakte hain lekin ab market mein itne products aa gaye hain aap wo zaror try krein aap meri ye video dekh sakti hain kzbin.info/www/bejne/bIXFk4SJo9GpeK8
@anasforyou4064 Жыл бұрын
Aslamulikam kissy han aap agar automatic washing machine main tup cleaning ka option na ho to kaise tub clean Karen please reply jarur kijiega
@hinasheaven Жыл бұрын
Assalam u alaikum sister maine is topic pe video banae huwi hai aap zaror watch krein kzbin.info/www/bejne/bIXFk4SJo9GpeK8
@humairasaleem82652 жыл бұрын
وعلیکم اسلام زبردست عمدہ معلومات
@hinasheaven Жыл бұрын
Jazak Allah sister ❤️
@humairasaleem8265 Жыл бұрын
@@hinasheaven ایاک 😇
@burhanmohsin5309 Жыл бұрын
Tube clean krny k bad jis jga net Hy wahn still wali jga pr Mari ki layer jam gai Hy usy Kesy saff krty hen plz bta den
@hinasheaven Жыл бұрын
Assalam u alaikum sister aap ka comment samajh nh aa raha hai aap please picture k saath mere insta ki id pe message krein main check krti hun
@znoor9727 Жыл бұрын
Mam me ne ye puchna tha machine KY filter k pichy wali jaga kese saf krni hi
@angelsara9225 Жыл бұрын
Detergent wali kit ni ho to kia,Karen please reply
@uzmabashir39323 жыл бұрын
Jazakillah sister. V.informative video... Just tell me one thing k kia haier ki hr model ki washing machine ka tub clean krny ka yahi tareeka hy?? Ya different models ka tareeka different hy??
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum Jazak Allah for your valuable comment sister aap cleaning agent to yehi use kr sakti hain baqi hours aur buttons different companies ki machines mein different hi hote hain haier ki models mein zyada tar same hi hai
@shanzygee33102 жыл бұрын
Should we clean these net before every wash for example once a week???
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum no sister wash the nets of filter once a week
@naimaabbasi5963 Жыл бұрын
Aoa Hina g agr washer kay tub ke neechay pani kyun ruck jata hai aur iss pani ko kaise nikala ja sakta hai
@hinasheaven Жыл бұрын
Walaikum assalam sister wo pani nh hai jel hai aap ye video dekh sakti hain kzbin.info/www/bejne/mJLFpYmdmcmkbpo
@ahmadtahirqayyum15732 жыл бұрын
Aoa, Mri machine tub clean ky Doran thotri dar chalny ky baid tub ki movement bnd ho jathi ha. Kindly guide me, thn
@areeebamj78293 жыл бұрын
Sister,agar lite chali jy tub clean ma ya voltage problem ho to kiya kiya jy?
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister jab voltage issue ho to aap avoid krein kuch din is function ko use krne se light chali jaye gi to shayad wahin se start ho jahan stop huwa ho ya again dobara aapko set krna hoga maine bhi ye option 1 baar hi use kiya tha ab mere paas ye machine nh hai werna main aapko iska bhi demo de kr dikha deti
@mrsqasim19393 жыл бұрын
plz hwm 150-826 modal me only spin ka tarika bata dyn
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for your comment sister maine b same model ki 12 kg new machine purchase ki hai kzbin.info/www/bejne/lXScd6awfZuBj8U insha Allah main us pe b video zaror banaon gi aap is model se related meri baqi videos b zaror watch krein Jazak Allah 1) kzbin.info/www/bejne/Z4C8ZayAndumm5I 2) kzbin.info/www/bejne/Z3zbaIJmj7J5rrM 3) kzbin.info/www/bejne/Z2XNoZ2Pi6icotk
Mary Macha to tub cln function hi nai ha,ma khud hathon sy kaisay clean kron ,even bahir sy b saaf. Krny Ka tariqa btain. Thnx
@zainababdulbasit1528 Жыл бұрын
Agr kapry saaf hon mgr serif paak krny hon to kon sa prg chose karain...10 min main 3 Baar pani say rins nhi hota???
@hinasheaven Жыл бұрын
sister aisa koi program nh hai aap ko alag se paak krne hain phir aap machine mein daal kr wash kr lein aap ye videos dekh sakti hain kzbin.info/www/bejne/jZTKc4uHqZesb6M 10 min mein 3 baar nh hota kyun ke machine pani bhar rhi hoti hai aur utna hi time leti hai aap ye videos dekh sakti hain >> Slow Water Intake Issue kzbin.info/www/bejne/eKCcln2Vjtxghck kzbin.info/www/bejne/qoakYoWBd9aFf6s aap meri ye live stream bhi dekh sakti hain aapko andaza ho jaye ga kzbin.infout198FYZWoY
@samrashrif47133 жыл бұрын
Aoa Mari machine Samsung 11kg ha same method sy tub clean karna ha plz duide ma
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment Sister agr apko 1 year ho gya h to zarur krn tub clean Otherwise zaruri nhi h
@sofiaamir29443 жыл бұрын
Samsung machine me option h tub cleaning ka me every month krti hn wd out detergent or liquid soap 30 min me ho jati h ....
@syedaqurat5553 жыл бұрын
or ek video mne dekhi ti us m keh rhe the k after 4 month tub clean krna chye so kya bhtr h ap bta dne
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister maine haier walon se confrim kiya hai phir ye video banae hai maine 1.5 year k baad apna tub clean kiya tha aur haier walon ne kaha tha k year mein 1 dafa krna theak hai lekin months k baad nh kyun k ye ek hard process hai machine k liye lekin agar aap machine mein zyada tar starch use krti hain jese har week aapko starch use krna hota hai to bhi aap 6-7 months mein ye option use krein 4 months bohat kam time hai
@abdullahabdullahhuzaifah48373 жыл бұрын
or kia pani oupr se khud dal sakty hain ta k tub jaldi bahr jay
@hinasheaven3 жыл бұрын
nahin sister aap nahin daal sakti kyun k ye process start hote hi machine totally lock ho jati hai aur phir poore process mein apne hisaab se pani leti hai process bohat lamba hai to aapko nhin pata k kab pani le gi aur kab nh lekin agar aap start mein daalna chahein liquid soap k saath to daal sakti hain lekin pipe ko lazmi cover ki jiye ga ta k koi impurities machine k andar na jaye werna machine k parts kharaab ho sakte hain
@hussnainraza28393 жыл бұрын
A.o.A Api ksi hn Hmri machine m msla hua h Haire company ki h k pani thk lyti h kpry rise bi thk krti h Spain bi krti h but wash nh krti jb wash ka time strt hota h phr pani lny shuro ho jati h kindly guide me
@hinasheaven3 жыл бұрын
Walaikum assalaam Main theak hun Alhamdulillah aap batayein aap kesi hain sister ye issue agar aapko pehle nahin tha lekin ab ho raha to ye 1 technical error hai electronic machine hai sensors mein ye issue aa jata hai aap Haier company ko call krein aur complain krein wo technician ko bhej kr aapka ye issue solve kr dein ge Aap meri ye video lazmi dekhiye ga ta k aapko theak se maaloom ho jaye kzbin.info/www/bejne/pXLJnZJ5l9tpg7c
@abeehasvlogs51132 жыл бұрын
Ap aye Roz machine Chang krti hn ap HUD Leti hn ya company free dti ha ap ko kindly reply my zroor btana?
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister ye maine khud hi purchase ki hai company ka mujh se koi raabta nh hai main khud hi housewives ko in functions k bare mein bata rahi hun aur maine ye machine change kyun ki maine uska reason bhi bataya tha aap dekh sakti hain kzbin.info/www/bejne/rX2ao3uBbL6MlaM aur new machine purchase krte waqt bhi video banae thi to kuch bhi achanak nh huwa kzbin.info/www/bejne/iIjTloZsa7WeoMU
@daughtersofzubair26683 жыл бұрын
Api tub clean me machine kitni dafa 10 or Pani laity he. Is ly poch ry hon k ye na ho k Tanki me Pani hi na ry plz answer me
@hinasheaven3 жыл бұрын
2 time Pani leti h
@daughtersofzubair26683 жыл бұрын
@@hinasheaven lakin api tub cleaning me rise kitny dafa ho ga 2 time agar ho tu 10 Tak two times Pani hi full ho ga machine me ?
@aishavoice783 жыл бұрын
Meri machine me liquid detergent k lie alg se koi pocket nhi ha tu ma liquid detergent kis trh use krun?
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalaam u alaikum aap pareshaan na hon meri jo new machine hai us mein bhi mere paas 2 hi pockets hain liquid detergent k liye nh hai aap ussi pocket mein add krdein is video mein maine liquid detergent use kiya hai aap zaror watch krein kzbin.info/www/bejne/aKLGhaOseLeGo9k kzbin.info/www/bejne/sKGyaYqcrNR-hbs main insha Allah is pe bhi video banaon gi next week tak main liquid detergent k elawa istemaal hone wale tamaam products k bare mein series banaon gi aap bell icon lazmi press krein ta k bar waqt aap ko update mil sake
@aishavoice783 жыл бұрын
@@hinasheaven thx
@sadiawaqar03292 жыл бұрын
Assalamoalaikum ,sister ..mujhy pta ni tha k liquid dishwasher use krty hain tub cleaning m..is leya m ny detergent (surf) use kiya tha tub cleaning m..tu is sy machine ko koe Nuksan tu ni ho ga..?
@hinasheaven2 жыл бұрын
Walaikum assalam sister koi nuqsaan nahin hoga kyun ke normal bhi aap kapron k saath surf hi dalti hain lekin next time aap khayaal rakhein ta k machine proper clean ho aur aap ye 3 products bhi use krein ya in mein se koi 1 jo maine is video mein bataya hai kzbin.info/www/bejne/bIXFk4SJo9GpeK8
@sadiawaqar03292 жыл бұрын
@@hinasheaven thank you soo much sister ❣
@mrsfaisal42223 жыл бұрын
Hina please aap ye Bata De is Main blanket wash kar sakte hain...
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment Sister blanket nhi kr skte wash qk wo wet ho kr Apne weight se 5 guna ziayada heavy ho jata h Motor itna weight nhi carry kr skti Ap s machine me blanket k ilawa sb kch wash kr skte hn insha'Allah bht jald me video upload krne wali hn apko easily smjh a jaye ga Plz stay connected
@mrsfaisal42223 жыл бұрын
@@hinasheaven g thk h thanks okay
@UmmeHassan3092 жыл бұрын
Aoa sis meri machine may machine start krtay hi normal pay ata hy button,tub clean ka option hy but kesay ho button ikhatay press kiye hain but machine on krtay hi normal washing pay hay wo
@janzeb3677 Жыл бұрын
Apiii 9.5 kg me to option ni h,to s ka kc kre tp clean
@hinasheaven Жыл бұрын
Assalam u alaikum sister aap company call kar k technician ko ghar bulwayein ta ke wo is issue ko resolve krein aap meri ye video dekh sakti hain kzbin.info/www/bejne/ZpXCioxtoLuXoc0
@mrsfaisal42223 жыл бұрын
Thank you so much Hina........😊😊
@sairaperven5783 жыл бұрын
aap ki automatic mechine ki price kaya ha or kon sa model ha?
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister maine is pe 1 detail video banae hai aap zaror watch krein kzbin.info/www/bejne/oHm8nZuZprJqp6c mere paas ab ye model nh hai
@anumfarooq5362 Жыл бұрын
Machine ko otny months l bad use KR k tub clean krni chahye
@hinasheaven Жыл бұрын
Assalam u alaikum after 6 months or once in a year kzbin.info/www/bejne/bIXFk4SJo9GpeK8
@rehananadeem5262 жыл бұрын
Rehana Nadeem API meri machine clean k liay set Nahi ho rahi please guide Ker dey opshion Nahi a reha tub clean Ka merhbani ho gi
@rehananadeem5262 жыл бұрын
Ap n koi replay Nahi Kia
@naeemakhtar87493 жыл бұрын
Sis mare machine ma tub clean ke option nh ha mare machine ka modle 150 1708 ha ap khate hain k haier ke company sa rabty ma hn to plz un sa poch kr mujy guide kr dn ma kasy kro phr tub clran plz plz plz zror poch kr baty ga
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment G sister theek h Plz stay connected
@marwaowner99153 жыл бұрын
good information, thanks for sharing
@abdulwassay46343 жыл бұрын
Sis maa app ki video bhot shoq saay watch karti hoo mari bhi hair ki machine ha 2years ho gay ha lakin tub cleaning ka option nehe ha maa kasay clean karo kindly reply me thanks
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment Plz send me model number Of your washing machine
@abdulwassay46343 жыл бұрын
Thanks for quick reply HWM85-1708
@abdulwassay46343 жыл бұрын
Please sis reply me
@saminasdiary2840 Жыл бұрын
Thanx🌹
@hinasheaven Жыл бұрын
Welcome
@babbuplayz23973 жыл бұрын
Useful tip I will try
@samiarahat97852 жыл бұрын
Is process mn machine kitni dafa pani leti hey?
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum 2 times 1 baar wash k liye aur 1 baar rinse k liye
@nisharoy90443 жыл бұрын
very usefull
@mona69883 жыл бұрын
very nice video
@abdullahabdullahhuzaifah48373 жыл бұрын
main dehar sal se use kr rahi hun ab tub clein ka time ha but muj se set up nai ho rah
@shabanawaqas12283 жыл бұрын
Very nice
@hinasheaven3 жыл бұрын
Thanks
@ayeshasheikh86073 жыл бұрын
Sister maine to bohat saari videos main dekha hai ke 2months main tub clean krna bohat zruri hai agr yeh glt hai to Kiya main 1year bad Kiya krun.....plzzzzzz reply me sister
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister aapne video mein dekha hoga k mjhe pehle is option k bare mein pata bhi nh tha maine to 1.5 year se kuch kiya bhi nh tha phir bhi meri machine bilkul proper work kr rhi thi lekin jab maine help center call kr k confirm kiya k mjhe 2-6 months baad krna chahiye? to unhon yehi reply kiya k 1 year mein 1 hi time krein har dafa krne se machine ki working mein issues ho sakte hain aap apni confirmation k liye help center se zaror raabta krein
@AhmedHamza-sj4vn3 жыл бұрын
Assalam o Alaikum sis mere pass bhi yahi Automatic washing machine hai derh saal bilkul acha work kia but 5 month se FA Error Araha water sensor bhi chenge krwa liya 2din bad Phir error ajata
@hinasheaven3 жыл бұрын
Walaikum assalam sister sister aapne ye water sensor haier k technician se hi change krwaya tha?
@emirowner86363 жыл бұрын
its really informative video mam
@Gs_shortsz3 жыл бұрын
Thankuh 💫
@sajidtoor16863 жыл бұрын
15kg wali machine ke tub cleaning kisy kary aor dosra yeh ka tub ke upper wali surface kisy clean kary kyun k is model main to tub cleaning function nahi hai
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum aap in videos se help le sakte hain kzbin.info/www/bejne/a5jQk3ini7pnmqc kzbin.info/www/bejne/iIjTloZsa7WeoMU
@sohailaslam4053 жыл бұрын
Machine to floor py he rkhain ya Kisi b choki vgera py rkhny sy koi nuksan to nhe ho ga plz rply
@hinasheaven3 жыл бұрын
jazak allah for comment kzbin.info/www/bejne/aIHFlayOhrejZq8 plz watch this video
@faridichannel28983 жыл бұрын
Superb videooo boht khooob
@naghmisiddiqui93 жыл бұрын
Filters bhi isi procedure main clean hoty hain ye wo Alag se krny party Hain plz btadain
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment G sister alag se saaf krte hn Plz watch this video kzbin.info/www/bejne/kH_LfJ5uf9J5gpY
@arshadmehmood97522 жыл бұрын
Plz tel me mari machine bar bar rinse pa chali jati ha spin pa ja k phir pani lany laghti ha ya kyun hota ha
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister iski bohat sari wajoohaat ho sakti hain maine is topic pe bohat sari videos banae hain aap inhein watch krein aapko idea ho jaye ga >>Rinse Issue kzbin.info/www/bejne/Z3zbaIJmj7J5rrM kzbin.info/www/bejne/aqLRpal8lMusapY kzbin.info/www/bejne/oIKVlGShhsRgbsk kzbin.info/www/bejne/pXLJnZJ5l9tpg7c >> Best Solution kzbin.info/www/bejne/iGfLeo2nbrmtrK8
@iffatakbar8823 жыл бұрын
Thank you so much Hina
@adeelyousuf6428 Жыл бұрын
Zaber 10 ♥️ video
@hinasheaven Жыл бұрын
thanks
@ayubrao70952 жыл бұрын
Haier ki washing machine 85-7288 us main tub cleaning kaysay hogi.
@syedaqurat5553 жыл бұрын
nice...ek bt bta den sister k agr rat lga k so jaen is doran to light jane se koi msla to ni hga process to ruk jae ga or dusra k bijli kafi le gi ye kya ?
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister light chali jaye gi to process wahin se start hoga jahan pe stop huwa hoga aur ye machine bijli save krti hai isse bill pe koi issue nh hota maine bhi raat mein hi ye process kiya tha aur phir bill ki bhi video banae thi aap proof dekh skti hain kzbin.info/www/bejne/g4a4mpalh7t8b80
@jeeterahopakistan62693 жыл бұрын
Informative video very nice
@kaleemullah37123 жыл бұрын
Mam g agr hm 13 hours na b wash kry mean jisy hm kapry wash krty h osi tahra ak 2ganty lga kr wash kry to kya Aisa b kam chl jye ga kya
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment No bhai ye already fix timing h machine ki... Me ne video me dikhaya h k koi b button press nhi ho rha to manually ap khd se time set nhi kr skte
@SCAR1098-d6g3 жыл бұрын
Agr ap tub clean function use kiye bgher normal ya quick function py jaa k apni mrzi ki timing k sath every month viniger or baking soda dal k khali machine wash krty hn to wo bht useful rhta hy zyada tim b ni lgta or machine deeply clean b hojati hy. Jb machine water drain krti hy to us me kafi maela pani niklta hy dats mean k andr sy sfai hui hy
@cheftimebyzughani17873 жыл бұрын
Agr tub cleaning krty howy matchine off ho gi hy to phr kya krynn
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister hmein kuch nh krna machine apna poora cycle wahin se start kare gi jahan se wo stop huwi hogi q k is doraan koi button press nh hota machine automatically work krti hai
@hanifkhan3823 жыл бұрын
awesome
@sameeanoor81322 жыл бұрын
Mari machine tub dry ka option ha tub clean ka nae what should I do
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister phir aapki machine mein drum clean ka option hoga wo use krein aur agar wo bhi nh hai to aap haier company call krein wo technician ko ghar bhej kr krwa dein ge ye option new updated versions mein hai old versions mein nh hai
@falakhassan58852 жыл бұрын
Can we clean with liquid surf?
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum yes you can but recommended are tub cleaning products like this liquid dishwasher and 3 more products which I have discussed in this video kzbin.info/www/bejne/bIXFk4SJo9GpeK8
@falakhassan58852 жыл бұрын
Thank you
@mohammadaslam85923 жыл бұрын
Sis mujy btayee k tub cleaning main machine sief ek bar pani leti ha?
@hinasheaven3 жыл бұрын
Nhi bhai 2 baar leti h
@abdullahabdullahhuzaifah48373 жыл бұрын
main machine ko start krtay he time jo normal wash ka 53 mints ajatay hain wo remove he nai hoaty beshak 2no buton akhtay dba lun tub clean k lay wo time rahta ha or smpil chalti ha jesy kapray wash krne hun plz help me
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister agar switch on off krne k bawajood nahin hat rahe hain 53 minutes to ye koi error hai sensor ka aap pareshaan na hon aap haier help center call krein wo ya to aapko phone pe hi solution batadein ge ya phir aap k ghar technician bhejein ge ta k wo sahi kr k dein aapka ye issue aap call pe hi technician ki fees pooch li jiye ga 500-1000 tak hi hogi ya agar unhon ne badha di to uska mujhe maaloom nh aap pehle hi confirm kr li jiye ga machine ka tub clean krna bhi zarori hai aur jab aap k button press krne k bawajood kuch nh ho raha to ye technical error technician hi theak krein ge
@noshimudassar76362 жыл бұрын
Hm without tap Kaise clean kren plz tell me
@azmatabdullah72723 жыл бұрын
Agr drmyan mn light chali jaye to...??
@hinasheaven3 жыл бұрын
Sister ap again program setting kr Len Machine me Jo Pani mojood hoga washing machine usi se agy process start kr de gi
@farehaasif25173 жыл бұрын
Meri machine me tub clean ki option nai h HWM 150-1708 Ab kese tub clean kry
@hinasheaven3 жыл бұрын
Sister apki machine ki tub cleaning company me hogi Ap technician ko call krn wo krn gn
@iramaslam743 жыл бұрын
great info
@shamsaqamar3058 Жыл бұрын
Meri same ap wali machine ha but set program press krny k bad CH ka option nae a rha
@Mishi55033 Жыл бұрын
Aata h dba k rkhain thori dair aik sath
@zainababdulbasit1528 Жыл бұрын
Ya nhi BATA dain k Mera tub kapry dhoty waqat neechy ho jata hy...ya bht jata hy???.aysa kyon hota hy??or is Ka kya hl hy????
@hinasheaven Жыл бұрын
sister is topic pe maine video banae huwi hai aap zaror watch krein kzbin.info/www/bejne/Z5jRmqmkfK-SkLs
@iffatakbar8823 жыл бұрын
Mri lg ki machine h kaya ma bi asy hi tub clean kr sakti hun is ma khanhan max liquid dalun
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment Sister washing machine ko clean krna h to apko dishwasher hi use krna hoga
@hinasheaven3 жыл бұрын
Ap detergent box me daal skti hn
@glowwithasthetics Жыл бұрын
Sallam itni dair machine on rahygy tu machine ko koi nyuqsan tu nh hogana??????
@drfarhatnasir72823 жыл бұрын
Different colors k suit tu EK sath NH dal sakhty machine Mein us k Lia Kia krun
@hinasheaven3 жыл бұрын
Jazak Allah for comment insha'Allah bht jald video upload hogi Plz stay connected
@mohammadrasheed59813 жыл бұрын
mashallah
@aqsakhanafridi98143 жыл бұрын
I hav 4qustion ... Jb hm kapry wash kr rahy hun to... 1) Agr washing k beach mai light chali jay to ya autoo on ho ga❓ 2) kia namaq waly pani mai wash ho jaen gy kapry r is sy koe nuqsan to nai ho ga nasheen ko mtlb zang lg jana ya matel khrb ho jana ❓ 3) hmari azat hai k kaproo ko hm pahly sarf waly pani mai kch time rakhty hen then usy machine mai dalty hen to acha clean ho jata hai .. Kia hm is mai bi asa kr sakty hen❓ 4) koe asy kapry jis mai zib ho ya pardy ho gay us mai rings hoty hen can be wash❓ Agr is pai bi kch details mil jaen to will thankful to u ❤
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister main aap k tamaam questions k answer krti hun aise hi numberwise ok 1) Wash krte huwe mere saath aisa 1 baar aisa hi huwa tha meri machine wash aur 1st rinse k baad 2nd rinse k liye pani le rhi thi aur light chali gae. Light aane k baad jab machine khud hi on huwi to wahin se start huwi. Lekin kaafi logon ne bataya k un k saath aisa nh huwa unhein again select krna pada. To ye machine hai iska kuch nh pata. Aur tub cleaning process mein aisa huwa nh to ye nh pata k start se again process start hoga ya nh. Aap try krein insha Allah kuch nh hoga zyada se zyada dobara hi select krna hoga machine ko kuch nh hoga.
@hinasheaven3 жыл бұрын
2) is topic pe maine video banae hai aap zaror watch krein kzbin.info/www/bejne/boPbaaxmjN1-o68 3) Aap soak krne ki baat kr rhi hain shayad. Maine jo ab new machine li hai us mein soak function mojood hai lekin kyun k is model mein nh hai to maine soak krne ka method bhi bataya hai is model k liye aap dono videos watch kr sakti hain >>Soak Function kzbin.info/www/bejne/pZu0fneibsSCjrs >>Soak Function for other models kzbin.info/www/bejne/n3nWoqanaN2sbcU 4) ji bohat easily wash ho sakte hain is model mein delicate function isi liye use hota hai. Maine ring wale curtains wash bhi kiye hain aap watch kr sakti hain >>Delicate Function: kzbin.info/www/bejne/f3etaJR_eN-tick Aur bhi koi sawaal ho to zaror poochein
@Khanaming Жыл бұрын
Pani 13 ghantay main Pani kitni baar Le gi??
@samreensamiullah63553 жыл бұрын
Haier 12 1678 ka tub cleaning btain
@hinasheaven3 жыл бұрын
G insha'Allah zarur sister plz stay connected Video uploading soon
@abdullahabdullahhuzaifah48373 жыл бұрын
Remaining Minutes main 53 ata ha _ _ nai ata ta k 2 buton dbaion to CH likha aey but nai arha
@hinasheaven3 жыл бұрын
Asslaam u alaikum ji sister aap kar sakti hain aise hi zero hoga maine abi yehi wali video aapko suggest ki hai main aapko dosri video ka bhi link de deti hun maine us mein bhi yehi method bataya hai kzbin.info/www/bejne/fJ7bpHihfqiUkKM
@abdullahabdullahhuzaifah48373 жыл бұрын
ap log machine on krtay hain to tiner pr _ _ is trah ki line ati pher ap set krtay ho main on krtay he 53 likha a jata ha _ _ is trah likha aeye to main 2 buton 1 sath dba dun but ab nai ho raha plz help me
@hinasheaven3 жыл бұрын
ji sister ye phir technical error hai iska sirf yehi solution hai k technician is k sensors ko theak krein aap ya to haier help center call krein ya agar haier ki koi shop qareeb ho to un se raabta krein wo technician provide krein ge
@faryalbaloch43953 жыл бұрын
A.a kindly tell me....MRI machine ko 6 month hoay hn....bt tb sy m Kpry daal k tub clean py hi wash krti the ....MRI dawlance ki washing machine hy ...Kia MRI machine khraab ho jaay gi?
@faryalbaloch43953 жыл бұрын
Mjy Ksi ny Kaha tha k tub clean py Kpry wash krn ...achy wash hoty ...mjy ap Ka channel ab Mila ..
@faryalbaloch43953 жыл бұрын
Kindly tell me ....ab Kia kron
@hinasheaven3 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister tub clean year mein 1 time hi krni hoti hai ab tak to aapne wash kr liye ab kuch nh ho sakta lekin ab nh ki jiye ga please maine dawlance machine pe video banae hai aap zaror watch krein bohat help hogi aapko kzbin.info/www/bejne/bJuQpZ54bNyMp68
@hinasheaven3 жыл бұрын
sister automatic washing machine sab k liye new hi hai unhein b shayad itni knowledge nh hogi tabhi unhon ne aapko kaha khair ab aap sahi place pe aaein hain aap mera channel visit krein maine bohat sare functions pe video banae hai meri machine Haier ki hai lekin tamaam machines mein functions taqreeban same hi hote hain aapko kuch idea ho jaye ga
@hinasheaven3 жыл бұрын
bas sister ab next 6 months tak aapne tub cleaning nh krni tub cleaning ka option use na krein
@asmabilal20643 жыл бұрын
Assalam alaikum Sister meri machine haier 8.5 kg h is ko kise clean kro plz bata dy
@hinasheaven3 жыл бұрын
W/salam sister Washing machine me option hoga ap dekhen
@kaleemullah37123 жыл бұрын
Nice 🥰
@anaumimran16393 жыл бұрын
mari same asi machine hai but switch on kr rahi hn but on ni ho rahi ...ek bar pahly b asa howa check krwaya to company walo ny kaha k jal gaya ander sy koi purza ...wo 5k main thk howa. .ab agaun asa ho gaya....kya isi waja sy howa k light kam zayada hony k waja sy jal gaya hai purza koi??
@talhanadeem40982 жыл бұрын
Fill the washer with HOT water. Add 1 quart of chlorine bleach - no detergent. Let the machine agitate for a minute, then let it sit for one hour. After one hour, allow the washer to run through its longest wash and spin cycle. Continue by immediately filling the washer with HOT water again Add 1 quart distilled white vinegar. Let agitate for a minute, and again, let it sit for one hour.
@arishakamran16122 жыл бұрын
Me ne clean pe lgaya tha to AH pe aa k ruk gya kafi dair tak Me ne replay Kia phir b nai hua Mene phir se se dono button ek sath press Kia to CH se start hogya or ab phir ruk gai
@hinasheaven2 жыл бұрын
Assalam u alaikum sister ye process ka part hai machine rukti hai 2-3 hours ya isse zyada bhi aap poore 13 hours ka process complete hone dein leikin agar phir bhi aapko kuch galat lag raha ho to aap company call kr ke pooch lein ya technician ko ghar bulwa lein wo aapko behter guide kr dein ge