Ahmad Faraz sahab ki likhi bahut hi khubsurat ghazal hai, aur iske marm sparshi bol, dil ko chuu lene waale hain... Zindagi se yahi gila hai mujhe..Tuu bahut deir se milaa hai mujhe... Humsafar chahiye hujuum nahin..Ik musafir bhi, qaafila hai mujhe... Ghulam Ali ji ne bhi apne dilkash andaaz mein pesh kiya hai in ash'aar ko, haalaa.nki unki gaayiki mein, wo rangat nahin nazar aayii, jo hum hamesha sunte aaye hain...Aisa lag raha tha ki unka gala baitha hua hai, iss performance mein... Ye sher rooh ko chuu lete hain...Lab- kusha hoo.n to iss yakeen ke saath..Qatl hone ka hausla hai mujhe... Kaun jaane ki chaahto'n mein 'Faraz' ..Kyaa ganwaaya hai, kya mila hai mujhe... Khushi huyi Ghulam Ali ji ki ruhani aawaaz mein ye dard bhari ghazal, aur Bobby Jutley ji ki table pe sangat, sunn kar... Shukriya, Suman ji, ek aur naayaab ghazal upload karne ke liye.!..Khush rahiye.!...👍💐🙏
@sumansaurav712 жыл бұрын
Shukriya Vichitra Jee for feedback.
@vichitram70372 жыл бұрын
@@sumansaurav71jee, tawajjo dene ke liye aapka dhanyavaad.!..👍💐🙏
@MuhammadNaeem-ob8xf2 жыл бұрын
Bohat khoob Sun ke bohat he achha laga.
@jafirshah50832 жыл бұрын
It's really heart touching ghazal
@NarinderSingh-ti4sq2 жыл бұрын
Top ghazal -- Sourav suman ji .Thanks sir for uploading this gem.