Рет қаралды 86,582
Goonj rahi hai ye sada ya Hussain - Old Nauha
Recited by: Syed Ali Zia Rizvi
=================================
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Goonj rahi hai yeh sada, Ya Hussain
Tujhko laeenon ne sataya, Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Teen shab o roz ka pyaasa Hussain
Dasht e bala mein tujhe maara, Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Bayat e batil ke talabgaar thay
Zulm o sitam ke liye tayyar thay
Kitne tere sar ke kharidar thay
Tune magar sar na jhukaya, Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Bhej ke khat tujhko bulaya gaya
Tera watan tujh se chudaya gaya
Qabr se Nana ki hataya gaya
Paikar e Tasleem o Raza Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Karbobala gher ke laye tujhey
Tere aziz o rafaqa saath thay
Naher se khaimey bhi hataye gaye
Guzr zara bhi na hua, Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Dasht mein thodi si jagha mil gaye
Amad e aada se zameen hill gaye
Aur nazar jab soo e sahil gaye
Uspe laeeno ka tha saaya, Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Kya shabe aashoor ka hangaam tha
Saara jahan larza barandaam tha
Tujhko ibadat se faqad kaam tha
Karta raha zikr Khuda ka Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Suboh dahum ka ho bhala kya bayaan
Dene laga jab tera Akbar azaan
Jaise thi awaaze nabi begumaan
Karbobala thi ke Madina Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Fauje Hussaini may bada josh tha
Tune bhi pyaso ko sahara kiya
Saaniye Hyder lo alam dediya
Sab ne unhe faqr se dekha Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Suye Imam ek namazi barha
Dil se basad shaan e niyazi barha
Fauje udoo se Hur e ghazi barha
Aake qadam-bosh hua ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Haaye muhibbe Shahe aAli maqaaam
Jinka Habib Ibne Mazaahir hai naam
Zainabe dilgeer ne bheja salaam
Tumne gale unko lagaya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Phir to ajab hashr bapa ho gaya
Ek ke baad ek fida hogaya
Dekhte hi dekhte kya hogaya
Ab koi nasir na raha ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Saaniye Zehra ka bura haal tha
Jab ke tadaruk na koi ban pada
Auno Mohammad ko fida kar diya
Us pa bhi tu bach na saka ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Madare Qasim ka jigar dekhiye
Jazbaye emaan ka asr dekhiye
Bhej diya ran may pisar dekhiye
Jo hua pamaale jafa ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Hazrate Abbas bhi marne chale
Nehr par Jarraar ke baazu kate
Thaam ke aap apni kamar reh gaye
Hogayi chup roke Sakeena Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Hogaye ruqsat ko shabihe Rasool
Ab Shahe bekas thay bahot dil maloool
Aayi kahin se ye sadaye batool
Mai teri himmat pe fida ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Asghar e BeSheer par jaane fida
Khaiche huey teer badha hurmala
Qatta kalaam e Shah e Wala hua
Soo e Falak aap ne dekha, Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Dhal gaya din aur qareeb aaye shaam
Phir to akaley thay Shah e Anaam
De diya Sar, khatm kiya apna kaam
Deen e Nabi khoob bachaya, Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain!
Goonj rahi hai yeh sada Ya Hussain
Tujhko Laeenon ne sataya, Hussain
=====
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
archive.org/details/BayaazOfO...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #QadeemiNauha #NauhaLyrics