Hare Krsna prabhuji pranam, bhot sundar katha prabhuji. Some points are: 1) Jaise humare Sanatan Dharm mei 16 sanskar btaye gaye hai, to sanskar ka arth kya hai? Sanskaar shabd ka arth hai Shuddhikaran(Purification). Janm se to sab shudra hote hai par sanskaro ke madhyam se dvija hote hai kyuki usse purification hota hai. 2) SB 3.30.6 states ki Hume apna shareer, ghar, ridhtedar, paltu pashu, dhan aadi se asakti ho jaati hai, aur jab apne bhautik jivan se hum apne aap ko santusht mehsoos karne lagte hai, tab hum isme deeply rooted attach ho jaate hai, aur ye attachment hume janm-mrityu ke chakkar mei aur gehra fasa deti hai. Bharat Maharaj ke udharan se hum smjhte hai ki sab tyagne par bhi keval pashu se asakti se unhe 2 janm aur lene pade, aur hum apne bandhuon, ghar aadi se itne asakt ho jaate hai, ye bandhan se hum nikal hee nahi paayenge, bhot mushkil h. 3) Zyadatar hum sansar se asakt hai, even kapde tak se asakt ho jaate hai, parantu self-realized soul like Janaka Maharaj jinke paas bhot aishvarya tha, ve ekdum virakt the. Kyuki vo sansar se vyavahar karte the, aur Hari-Katha mei ruchi rakhte the. Hum formality ke liye, rule ke liye Katha, Granth, mala karte hai, aur sansar mei anand lete hai jisse mukti nahi ho paayegi, hume sansar se sirf formality jitna rishta rakhna hoga at the max, aur Hari-Katha, Hari-Naam se asakti karni hogi, jaise humare Srila Prabhupada ji kehne ko grhastha the, parantu apne Guruji ke prati aur unki katha ke prati unki aisi shraddha thi, ki unke sannyasi Guru-Bhai utni katha nahi shravan nahi kar paate the jaise Srila Prabhupadaji karte the. 4) Prabhuji ne bhot achha example diya for grhasthas ki kaise family responsibilties bhi nibhaye, par unse asakt na ho aur humesha mann Hari-charanon mei laga rahe, ki jaise gharo mei Maid itna kaam karti hai, kayi gharo mei bache bhi paalti hai, fir bhi usko unse asakti nahi hoti, aise hee hume bhi family duties karte hue unse asakt nahi hona, ye sochkar ki ye Krsna ke hai aur mai bas Krsna ka servant hu jinhone mujhe inki dekh-bal ke liye lagaya hai. 5) Bhikshu Geet mei Brahman Bhikshu Bhakt bolte hai ki sansar mei dukh ka karan na parivar ke log hai, na devta, na shareer, na graha, na karma, na kaal. Saare dukhon ka param-karan hai Mann. 6) Jo bhi niyam hai, chahe sva-dharma ho, Chanting, Hearing, Reading, Sadhna, iss sabka ultimate purpose btate hai Avanti Brahman to only conquer and control the mind and concentrate it always on Krsna, and this state is called samadhi.
@latapal22025 ай бұрын
Hare Krishna provu koty koty panchanga pranam neben thank you
@taniyagupta32865 ай бұрын
Hare Krishna Prabhu ji …. Thank u for this motivational Katha . Thoroughly enjoyed as always 🙏🏼🙏🏼👌
@KrishnadasDey-zc8eg5 ай бұрын
हरे कृष्ण हरि बोल।प्रभु आपका चरणों में मेरा दंडवत प्रणाम है। विनीत प्रणत : कल्प तरु निताई दास JPS
@rahulguglani91995 ай бұрын
Hare Krishna prabhuji pranam 🙇♂️ 🙏 Sach a wonderful lecture prabhuji.....thank you so much 🙏
@legendaan5 ай бұрын
Hare Krishn Hare Krishn Krishn Krishn Hare Hare Hare Ram Hare Ram Ram Ram Hare Hare🙏🙏🙏🙏