Haaye Qasim jo gire ghode se tha maut ka pehra Tha khoon me duba hua wo Chand sa chehra Chalni tha badan teeron se har zakhm tha gehra Khoon sar se baha ban gaya ek ladiyon ka sehra Is tarha larazta hua laasha nahi dekha Is shaan ka koi kabhi dulha nahi dekha Har jod tha toota hua har band juda tha Bazu hai ye wo jispe k taweez bandha tha Kuchla hua seena tha lahu sar se baha tha Is phool se bacche pe ajab zulm hua tha Ye wazn tha taapon ka wahi toot gayi thi Sab pasliyaan seene me kahin toot gayin thi Bhagdad me madad k liye chilate the qasim Jaate the idhar aur udhar aate the qasim Dam atka tha aur chain nahi paate the qasim Lagti thi jo taapen to tadap jaate the qasim Ghodo se kuchal jane ki zehmat na dikhaye Allah kisi ko ye musibat na dikhaye Sheh khaak pe bhai ka pisar dhoond rahe hain Bhagdad me wo laasha hai kahan dhoond rahe hain Aankho me andhera hai magar dhoond rahe hain Phir bhai ka har lakhte jigar dhoond rahe hain Tibra k wahin girte hain ghush aata hai sheh ko Jab jism ka tukda koi mil jata hai sheh ko Shabbir ne jisko Kabhi godi me sulaaya Haathon ko bhi chuma kabhi seene lagaya Taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhaya Laasha usi bacche ka chaadar me uthaya Thame hua kon e hasan e khasta jigar hai AAza ki ye gathdi nahi bewa ka pisar hai Seh lete hain kuch dard bataye nahi jaate Laashe kabhi hisso me uthaaye nahi jaate Gar shah rida apni bichhaye nahi jaate Tukde Kabhi qasim k uthaaye nahi jaate Chaadar ko jo thaame hue Abbas khade hain Akbar bhi sahare k liye paas khade hain Kya haal tha laashe ka bataya nahi jaata Shabbir se sadma ye uthaya nahi jata Gehra hai bohot zakhm chupaya nahi jata Khaime ki taraf badhte hain jaaya nahi jaata Is gham ka kahan bhaar utha paayegi bewa Jab laashe pisar dekhegi mar jaayegi bewa Dil apna sambhala Kabhi chaadar ko sambhala Khaime ki taraf chalne lage sayyed e wala Taarik hua jata tha aankhon ka ujala chaadar me bandhi laash ko jab saamne daala farwa ne ye poocha k kahan laal Mera hai dil hilta hai batlaiye is gathdi me kya hai gathdi jo khuli hashr bapa hogaya har soo tukde tha badan laash ka aur khoon bhare gesu taapon ke nishaan seene me aur aankho me aansu kehne laga aahista se zehra ka wo mehroo ye dekhiye jo ik ta nisad paash hai bhabi pehchaniye qasim ki yahi laash hai bhabi maa gir gayi ye dekh ke Tibra k zameen par mehshar se hi pehle tha waha khaime me mehshar farwa ko sambhale rahi khud zainab e muztar shabbir ki aankho me QAMAR phir gaya manzar larzish thi har tukde me kuchla hua tan tha shabbar ka kaleja tha ke qasim ka badan tha efforts : sayyed sibte razi Iltemas e dua 👍
@armanarmanarman59456 жыл бұрын
syed shah wasi Bagadad me nahi maidan me lasha dhund rhe he
@farhanrizvi71956 жыл бұрын
Thanx for the lyrics
@saqlain786976 жыл бұрын
Jazakallah Khair
@dhanaktaqi49906 жыл бұрын
MashAllah
@juzerkotakota31025 жыл бұрын
Armanarman Arman unhone itni mehnat ki aap ek galti nikal rahe ho
@hakimtailor84896 жыл бұрын
😢😢😭😭 mashallah bahut dard bhari awaz he apki
@zahrakhozema19227 жыл бұрын
Moula apko or aap ki awaj ko salamat rake aamin
@axelderek49583 жыл бұрын
I guess I am quite randomly asking but do anyone know of a good site to watch newly released tv shows online ?
@reyfelix62493 жыл бұрын
@Axel Derek i dunno I watch on Flixportal. Just search on google after it=) -rey
@axelderek49583 жыл бұрын
@Rey Felix thank you, I went there and it seems to work :D I appreciate it !!
@reyfelix62493 жыл бұрын
@Axel Derek Glad I could help =)
@rahmatansari5009 Жыл бұрын
Ya Ali madad
@irfanbaig89733 жыл бұрын
Mashallah appki awza me bahot dard h 😭😭😭 haye mola kasim 😭😭😭
@saifsaliya39822 жыл бұрын
I can't stop my tears when I listen this noha Kitna dard hai iss noha me dushman ki aankh se b aansu nikal jaaye
@waliyanaqvi26525 жыл бұрын
im jo gire ghode se Haaye.. 1. Qasim jo gire ghode se, tha maut ka pehra..(2) tha khoon mein dooba hua woh, chaand sa chehra chhalni tha badan teero se, har zakhm tha gehra khoo'n sar se baha, ban gaya ek ladiyo ka sehra arey, is tarha larazta hua, laasha nahi dekha is shaan ka kabhi koi dulha nahi dekha 2. Har jod tha toota hua, har band juda tha baazu hai ye wo jispa ke taweez bandha tha arey, kuchla hua seena tha, lahu sar se baha tha is phool se bacche pe ajab zulm hua tha ye wazn ka taapo ka wahi, toot gayi thi sab pasliya'n seene mein kahi'n toot gayi thi 3. Maida'n mein madad ke liye chillate the qasim jaate the idhar aur udhar aate the qasim arey, dam atka tha aur chayn nahi paate the qasim lagti thi jo taape to tadap jaate the qasim arey, ghodo se kuchal jaane ki zehmat na dikhaye allah kisi ko ye musibat na dikhaye 4. Sheh khaak pe bhai ka pisar dhoondh rahe hai maida'n mein wo laasha hai kaha'n dhoondh rahe hai arey, ankho'n mein andhera hai magar dhoondh rahe hai phir bhai ka har lakht e jigar dhoondh rahe hai arey, tibra ke wahi'n girte hai ghash aate hai sheh ko jab jism ka tukda koi mil jaata hai sheh ko 5. Shabbir ne jisko kabhi godi mein sulaya haatho ko bhi chuma kabhi seene se lagaya arey, taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhaya laasha usi bachhe ka hai chadar mein uthaya thaame hue kaule hasan e khasta jigar hai aaza ki ye gathdi nahi bewa ka pisar hai 6. Seh lete hai kuch dard bataye nahi jaate laashe kabhi hisso mein uthaye nahi jaate gar shaah rida apni bichaye nahi jaate tukde kabhi qasim ke uthaye nahi jaate arey, chadar ko jo thaame hue abbas khade hai akbar bhi sahare ke liye paas khade hai 7. Kya haal hai laashe ka bataya nahi jaata shabbir se sadma ye uthaya nahi jaata arey, gehra hai bohot zakhm chupaya nahi jaata khaime ki taraf badhte hai, jaaya nahi jaata arey, is gham ka kaha'n baar utha payegi bewa jab laashe pisar dekhegi mar jayegi bewa 8. Arey, dil apna sambhala, kabhi chadar ko sambhala khaime ki taraf chalne lage sayyede wala tareek hua jaata tha, aankho'n ka ujala chadar mein bandhi laash ko jab saamne daala farwa ne ye pucha ke kaha'n laal mera hai dil hilta hai batlaiye is gathdi mein kya hai 9. Arey, gathdi jo khuli hashr bapa ho gaya har su tukde tha badan laash ka aur khoo'n bhare gesu arey, taapo ke nisha seene mein aur aankho'n mein aasu kehne laga, aahista se zehra ka wo mehru ye dekhiye jo ek tan e sadpaash hai bhabhi pehchaniye qasim ki yehi laash hai bhabhi 10. Maa gir gayi, maa gir gayi ye dekhke tibra ke zamee'n par mehshar se hi pehle tha waha khaime mein mehshar arey, farwa ko sambhale rahi khud zainab e muztar shabbir ki aankho'n mein qamar phir gaya manzar arey, larzish thi har ek tukde mein kuchla hua tan tha..(2) shabbar ka kaleja tha ke qasim ka badan tha
@shaistafatama29517 жыл бұрын
Ya allh jitne bhi azadare hussain ko slamat rakhe
@zeenatraza42792 жыл бұрын
This is best noha ever heard about janabey qasim Allah salamut rakhey ameen
Mashallah khub jio allah aapki aavaj salamat rakhe .shukriya aap ka kasim as ka kasida suna ne ka
@meharalishozib28348 ай бұрын
Hay sadqa
@haideriazadarichannel00926 жыл бұрын
Mashallah mola salamat rake
@sharafatirani91256 жыл бұрын
Ya kasim a.s.
@Art.by.fatema73 жыл бұрын
Ya Qasim ya hussain 😭😭😭ya moula
@ishkarizvi58045 жыл бұрын
😭😭😭😭haye moula Qasim(as)
@kaidjohar59486 жыл бұрын
I like this noha very much
@ameenagondalwala18126 жыл бұрын
YA HASSAN YA HUSSAIN .....Ap salamat rahe ..plz share its lyrics ..kalaam..
@mahaboobali40625 жыл бұрын
Masshallah jio azadari Hussain 😭 ya Hussain 😭😭😭😭 hayee moula qasim 😭😭 Dil pathgiya nouha soun kar 😭😭😭😭moula Hassan appani bacchai qasim (a.s) pursa qubool karyai ya zehra ya zehra ya Hussain 😭😭😭😭😭😭😭 jio jio Allaha Salamath rakhain 🙌🙌🙌moula qubool karinn 😭😭😭😭
@samarshaikh37807 жыл бұрын
Haye Qasima (a.s),Haye Ibn Hassan(a.s),Haye Moulana Hussaina(a.s)😢😖😖😭😭
@syedkonainmustafa68903 жыл бұрын
Haye Qayamat ke Masaib Haye Mola
@ziaansari51097 жыл бұрын
Hay mola qasim a.s
@syedkonainmustafa68903 жыл бұрын
Haye shahzade qayamat ke masaib Haye Haye shahzade
@KumailAbbasRizvi8 жыл бұрын
mashallah.
@jafribegum34866 жыл бұрын
moula salamt rkhe hai qasim
@fatimachishty83598 жыл бұрын
hayeeeèè 😢😢 moula salamt rakhy apko bhai
@saimashigri8204 жыл бұрын
😢😢😢😧😧😭😭😭bhot khoobb bhai
@annieb.4844 жыл бұрын
Behtareen Moula salamat rakhy
@ferozaali20886 жыл бұрын
Mashallah bhot Xabardast Noha Hai I like him soooooo much
@gulzarjaffri20726 ай бұрын
Qasim jo gire ghorre se tha maut ka pehra Tha khoon me duba hua wo chaand sa chehra Chalni tha badan teeron se har zakhm tha gehra Khoon sar se baha ban gaya ek larriyon ka sehra Is tarha larazta hua laasha nahi dekha Is shaan ka koi kabhi dulha nahi dekha Har jorr tha toota hua har band juda tha Bazu hai ye wo jis pe ke taweez bandha tha Kuchla hua seena tha lahu sar se baha tha Is phool se bacche pe ajab zulm hua tha Ye wazn tha taapon ka wahi toot gayi thi Sab pasliyaan seene me kahin toot gayin thi Maidaan me madad k liye bulaate thay qasim Jaate the idhar aur udhar aate thay qasim Dam attka tha aur chain nahi paate thay qasim Lagti thi jo taapaiñ to tarrap jaate thay qasim Ghorre se kuchal jane ki zehmat na dikhaye Allah kisi ko ye musibat na dikhaye Sheh khaak pe bhai ka pisar dhoond rahe hain Maidaan me wo laasha hai kahan dhoond rahe hain Aankho me andhera hai magar dhoond rahe hain Phir bhai ka har lakhte jigar dhoond rahe hain Tevaraake wahin girte hain ghush aata hai sheh ko Jab jism ka tukrra koi mil jata hai sheh ko Shabbir ne jisko Kabhi goudi me sulaaya Haathon ko bhi chuma kabhi seene se lagaya Taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhaya Laasha usi bacche ka hai chaadar me uthaya Thaame huwe khoon e hasan e khasta jigar hai Aaza ki ye gutherri nahi madar ka pisar hai Seh lete hain kuch dard bataaya nahi jaata Laasha kabhi hisso me uthaaya nahi jaata ‘Gar shah rida apni bichhaye nahi jaate Tukrre Kabhi qasim k uthaaye nahi jaate Chaadar ko jo thaame huwe Abbas kharre hain Akbar bhi sahaare k liye paas kharre hain Kya haal tha laashe ka bataya nahi jaata Shabbir se sadma ye uthaya nahi jata Gehra hai bohot zakhm chupaya nahi jata Khaime ki taraf chalte hai jaya nahi jaata Is gham ka kahan bhaar utha paayengi madar Jab laashe pisar dekhengi na reh paengi madar Dil apna sambhala Kabhi chaadar ko sambhala Khaime ki taraf barrhne lage syed e waala Taarik hua jata tha aankhon ka ujala Chaadar me bandhi laash ko jab saamne dala Madar ne ye poocha k kahan laal mera hai dil hilta hai batlaiye is gutherri me kya hai Guttherri jo khuli hashr bapa hogaya harsoo Tukrre tha badan laash ka aur khoon bhare gesu Taapo ke nishaan seene me aur aankho me aansu kehne laga aahista se Syeda ka wo mehroo Ye dekhiye jo ik tann e sadh paash hai bhaabi Pehchaniye qasim ki yehi laash hai bhabi
@shaistafatama29517 жыл бұрын
Haye kasim
@saiyedhaideralizaidi43076 жыл бұрын
masaallah Jio Jio maola salamat rakhe mere bro ko
@bushrafatima59104 жыл бұрын
Molua salam raha aap sab ko
@sajidajehaidery86425 жыл бұрын
Haye Qasim
@abdulqadirsaify59076 жыл бұрын
Bht khub .jio bhai allah salamat rakhe
@qasimhussain14707 жыл бұрын
Hayee molaa😢😢
@salmanAli734795 жыл бұрын
I love you qasim I am sunni 😢😢
@imranayaz52395 жыл бұрын
I am also sunni but rasol e khuda s.a.w ki ahle bayat r.a ki attat hum sub Muslims p farz h h ...Karbala k pak shahedo ka haq ada krna na mumkin h is ghm m hr ankh ashkbar h