Suresh Wadkar ji ki ruhaani aawaaz mein gaaya hua ye bahut hi dard bhara geet, hamaari zindagi kee haqeeqat ko bayaan karta hai ! Mumbai shehar ke daud dhoop ki bahut hi sunder tasveer kheenchi hai iss movie mein, Nadeem Khan sahab ne .......Seene mein jalan, aankho.n mein toofaan sa kyun hai. Iss shahar mein har shakhs, pareshaa.n sa.... Aur 'Shahriyar' sb ke iss khoobsoorat kalaam ko bahut hi sunder anjaam diya hai, Suresh ji ne apni utkrisht gaayaki se ! Itne arse ke baad sunn rahi hun ye sadabhaar geet, aur aaj bhi iske marm sparshi bol dil ki gehrayion ko chuu lete hain ! Viveck ji, apne bhi iss geet ko bahut doob kar gaaya, rooh ko chuu liya ! Bemisaal gaayaki ka pradarshan kiya hai, sunn kar behad khushi huyi ! 💖 Laajavaab shayari, sangeet aur gaayaki ! Bahut shubh kaamnaayein ! 👍💐🙏
@Anantmusicaldreams4 ай бұрын
Thanks for your compliments mam.
@KajalPanchmatia5 ай бұрын
👌👌
@rameshsalvi88825 ай бұрын
बढिया.. थोडी नीचेकी लाईन चाहिए.. उच्च स्वर हुआ हैं..