Lyrics : Verse 1 : Khra hun aaj main jahan pe wahan main kal nahi Par nahi tha socha ye Maine jahan pe aaj ye ghar nahi tha mera kya rab nahi tha Aaj bhi khra main road pe hath main cigarette aur soch raha Apny khyaalon main kon hun main kon hay tou kon hay jism aur kon hy rooh Kon hay mery ye ander aur mery ye bahir Jo mujh sy hi aaj tak chupa hy Sach main bolun to mera khuda bhi aaj mujh sy thora khafa hy Pochu main khud sy ky Maine kya bura kiya hy Na Maine kisi ko daga diya hy Kabhi na kisi dil tora hy Par ye aaftain mery hi sar pe aarahi Aur jaa rahy wo saary mujh sy dor jin ko pyaar kiya Eitbaar kiya Aur pyaar ka jin sy izhaar kiya qraar kiya tha apno sy apno ny hi mujhy tor diya Bhula diya aur chor diya Main khaak sy bna tum khaak sy bany Jo kaaly hain kya wo hain aag sy bany Ye racism ki had hy jaani Ameero ky bachy bay daag sy bany Wo artist aur hum miraasi bany Khaalis hum hain Aaqil hum hain Kaamil hum hain Aalim hum hain Phr bhi soch samjh main hum kam hain Aaj bhi gham main Puraani soch khyaalon main ghum main Aaj bhi apny dam pe Khra hun jaani Khud sy laru ky likhu kya ab es ghum main Pehly Jo kam tha ab na kam hay Ye bhi 1 fun ayy Khud sy lar raha Jung main Khud sy ho gya tang main Khud sy ho gya dhang main Bana Malang main Jana ky dunia ky bohat sy rung hain Jana ky dunia main achy log kam hain Jana Ky mujh main bhi thora dam hay Lekin ye kam ay Badly main log kya kahengy Soch ko badlo wo kaam hy un ka Bolty rahain gy dekhty rahain gy Kaam hum apna phenkty rahain gy Hook: Meri Jung apny khud sy Alif aiyn main bhi nukty Samjh paya nai main dunia ko Choti soch bary rutby Verse 2 : Aaj bhi dekho main yehi Jo bikta hay wo dikhta nai jo likhta hay wo bikta nai aur meri samjh main ye tikta nai Aaj bhi likhny Jo bethu to samjh main meri ye baat na ayy Kyy kya likhaari sab krty jayy Bs apni tareefon ky phool bandwayy Mery samait main khud nai kehta main best hun na main koi rap god na main koi guest hun Lekin main Jo hun khud sy bna hun Main nai kehta ky main en sab sy bara hun Phr bhi khra hun apny pairon pe En sab ky peechy to nahi main para hun Apno ki baatain nai gairon sy kr raa hun Chahy main khud main mar raa hunmunafiqat dor hay mujh sy Likhai ka koi garoor nai mujhy Urdu adab pe uboor ayy mujhy Tanhai sy shaadi qabool ay mujhy Samjhty ye cool ayy mujhy Gham ki peti utha ky chal para rasto pe jin ka nai pata tha mujhy Kuch Kehty fazool ayy mujhy Lekin ab waqt nai pass halaat hain achy Jab waqt tha pass halaat nai achy Main sham ko betha bazargoon ky pass Jo kehny lagy Bhai samaaj nai achy Thora sa main nai acha thory sy aap nai achy Hook: Meri Jung apny khud sy Alif aiyn main bhi nukty Samjh paya nai main dunia ko Choti soch bary rutby