Рет қаралды 16,279
THE GREAT KALAM:- Wohi Aablay Hain Wohi Jalan, Koi Soz-e-Dil Mein Kami Nahi
Recital:- Sabri Brothers Qawwal
Writer:- Shakeel Badayuni
FOR MORE VIDEOS "SUBSCRIBE" Haqiqat حقیقت".
UPLOAD BY:- FARHAN SHEIKH (PALSUD)
HAQIQAT APP:- bit.ly/2YKtwgb
FACEBOOK:- / haqiqatrubaru
INSTAGRAM:- / haqiqatrubaru
TWITTER:- / haqiqatrubaru
KZbin:- goo.gl/3kqYuT
#HaqiqatRubaru #Haqiqatحقیقت
------------------------------------------------------------
wohi aablay hain wohi jalan koi soz e dil mein kami nahi
jo laga ke aag gaye they tum woh lagi hui hai bujhi nahi
meri zindagi pey nah muskara mujhay zindagi ka alam nahi
jisay tere gham say ho vaastaa woh khizaa bahhar say kam nahi
terei yaad aisi hai bawafa pass merg bhi nah hui judda
terei yaad mein hum mit gaye terei yaad dil say miti nahi
wohi karvan, wohi rastay woh zindagi wohi marhalay
magar apnay apnay maqam par kabhi hum nahi kabhi tum nahi
nah fanaa meri nah baka meri mujhay ay shakeel nah dhoondiye
mein kisi ka husn khayaal hon mera koi wujood o adam nahi
mirā kufr hāsil-e-zohd hai mirā zohd hāsil-e-kufr hai
mirī bandagī vo hai bandagī jo rahīn-e-dair-o-haram nahīñ
mujhe raas aa.eñ ḳhudā kare yahī ishtibāh kī sā.ateñ
unheñ aitabār-e-vafā to hai mujhe aitabār-e-sitam nahīñ
na vo shān-e-jabr-e-shabāb hai na vo rañg-e-qahr-e-itāb hai
dil-e-be-qarār pe in dinoñ hai sitam yahī ki sitam nahīñ
वही आबले हैं वही जलन कोई सोज़-ए-दिल में कमी नहीं
जो लगा के आग गए हो तुम वो लगी हुई है बुझी नहीं
तेरी याद ऐसी है बा-वफ़ा पस-ए-मर्ग भी ना हुई जुदा
तेरी याद में हमीं मिट गए तेरी याद दिल से मिटी नहीं
किसी और की ये जबीं नहीं ये मेरी जबीन-ए-नियाज़ है
कि ये जिसके दर पे भी झुक गई तो फिर उस के दर से उठी नहीं