Рет қаралды 361,162
Noha - Zehra ki dua hai ye matam - Ali Rizvi Sachay
yeh matam kaise ruk jaye
zehra ki dua hai ye matam
ye matam kaise ruk jaye
kaunain ki har daulat de kar
is gham ki hifazat karna hai
shabbir ki khaatir jeena hai
shabbir ki khaatir marna hai
ye jism rahe ya mit jaye
mazlom ka matam karna hai
zehra ki tamanna poori ho
ye jaan rahe ya mit jaye
zehra ki dua hai ye matam
ye matam kaise ruk jaye
is parcham ki azmat ke liye
abbas ne baazu de daale
is parcham ki izzat ke liye
ghazi ne sahey dil par bhaale
is parcham ke mashkeeza se
liptay hai sakina ke naale
abbas e ali ka parcham hai
ye parcham kaise jhuk jaye
zehra ki dua hai ye matam
ye matam kaise ruk jaye
salaar e hussaini kya kehna
meraj-e-wafa sartaj-e-wafa
har mauj tadapti hai ab tak
saahil se jo tu palta pyaasa
ba hukm-e-hussaini jang na ki
har waar saha har zulm saha
tha hosh may jab tak fikr ye thi
pyasi na sakina reh jaye
zehra ki dua hai ye matam
ye matam kaise ruk jaye
jab tak ye sakat is jism may hai
haq apna ada kar dena hai
qismat jo saadat de humko
ye jaan fida kar dena hai
ya ashk se ya khoon-e-dil se
is daaman ko bhar dena hai
aayi hai yahan ek shehzaadi
umeed ka daaman phailaye
zehra ki dua hai ye matam
ye matam kaise ruk jaye
wo waqt hai ab tak ankhon may
tha khoon may galtaa'n ibne ali
aur goonj rahi thi maqtal may
faryad-o-fughan ek dukhiya ki
seene se bahe khoon ki dhaare
aur haath na rukne paaye kabhi
mazloom ka matam hota rahe
zehra ki sada jab tak aaye
zehra ki dua hai ye matam,
ye matam kaise ruk jaye
ye matam hai halmin ki sada
har ashk hai jazba nusrat ka
yoo haq ki taraf aajaney ka
haasil hai abhi tak ek maukha
pehchan zameen-o-dil ki sada
is matam mein shaamil hoja
shabbir bulate hai ab tak
gar hur ho kahin to aajaye
zehra ki dua hai ye matam
ye matam kaise ruk jaye