Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay

  Рет қаралды 12,489

Hyder Rizvi

Hyder Rizvi

Күн бұрын

Noha: Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho - Ali Rizvi Sachay and Team
Jab Musibat Mein Bashar Ka Nigaraan Koyi Na Ho
Jis Ghari Chaara Garay Dard E Nehaan Koyi Na Ho
Humsafar Koyi Na Ho Rahat E Jaan Koyi Na Ho
Kaam Aatay Hain Wahan Ashk Jahaan Koyi Na Ho
Bay Saharon Ka Sahara Bhi Madadgaar Bhi Hai
Dhaal Bhi Hai Yehi Mazloom Ki Talwar Bhi Hai
Jis Ko Ehsaas E Mohabbat Hai Voh Royega Zaroor
Jis Kay Seenay Mein Haraarat Hai Voh Royega Zaroor
Dard Jis Dil Mein Amanat Hai Voh Royega Zaroor
Jis Ko Kuch Khauf E Mashiat Hai Voh Royega Zaroor
Waqt Parh Jaye Toh Har Ahl E Zameen Rota Ha
Sirf Shaitan Zamanay Mein Nahi Rota Hai
Ashk Kamzor Kay Iraadon Ke Alamat Hain Agar
Girya Kun Qaum Zamanay Mein Hai Zinda Kyun Kar
Gham Kay Takraey Hain Dunya Mein Wohee Deeda E Tar
Shaam O Baghdad Ki Tareekh Se Poocho Ja Kar
Haan Ye Sach Hai Ke Rahay Zulm Mein Agay To Na Thay
Ronay Walay Kabhi Maidaan Se Bhagay Toh Na Thay
Kehtay Ho Khauf Ki Bunyad Hai Ye Ashk E Rawaan
Tum Nay Dekha Nahi Shayad Abhi Andaaz E Fughaan
Hotay Hain Taighon Ki Jhankaar Mein Hum Noha Kunaan
Kartay Hain Tazkira E Dard Sar E Nok E Sinaan
Pasti E Seerat O Kirdar Mein Rotay Nahi Hum
Darkay Faujon Se Kabhi Ghaar Mein Rotay Nahi Hum
Kaun Rokay Ga Issay Sabr Ka Ye Dhaara Hai
Ab Ye Gham Azmat E Kirdaar Ka Minara Hai
Kahin Shabnam Kahin Moti Hai Kahin Taara Hai
Ab Toh Har Ashk Dehekta Huwa Angaara Hai
Gham E Shabbir Se Takra Ke Pigal Jaaogay
Haath Rakhogay Inn Ashkon Pe Toh Jal Jaaogay
Kya Kaha Jurm Hai Islam Mein Ye Ashk E Rawaan
Kya Kaha Deen Mein Bidat Ha Ghareebon Ki Zaban
Kya Kaha Haq Ka Gunahgaar Hai Har Noha Kunaan
Gham Ki Tauheen Bohot Kar Chukay Aye Ahl E Jahan
Apnay Khud Saakhta Fatwon Ki Dukaan Band Karo
Sun Na Lein Madar E Shabbir Zubaan Band Karo
Voh Bhi Din Thay Kay Inn Ashkon Pay Lagay Thay Pehray
Hukm Tha Dard Ke Maaron Ko Kay Ansoo Na Bahay
Al Atash Ki Lab E Tashna Pe Sada Aa Na Sakay
Laash Pamal Ho Bhai Ki Behen Uff Na Karay
Daagh Mamta Ka Kalejay Se Na Dhonay Paaye
Maa Jawan Laal Ki Mayyat Pe Na Ronay Paaye
Sogaya Raat Ki Baahon Mein Jo Maidaan E Bala
Aur Mazloom Sakina Ko Pidar Yaad Aaya
Nikli Khaimay Ke Andheron Se Woh Masroof E Buqa
Har Qadam Par Ye Sada Thi Ke Kahan Ho Baba
Bhoolay Iss Pyasi Ko Abbas E Dilawar Ki Tarah
Tum Bhi Maidaan Se Na Lautay Ali Akbar Ki Tarha
Paani Deta Hai Koyi Aur Na Ghiza Deta Hai
Maa Ki Godi Mein Jo Bethoon Toh Uttha Deta Hai
Jo Bhi Aata Hai Tamaacha Woh Laga Deta Hai
Bay Pidar Dekh Ke Har Aik Saza Deta Hai
Bachkay Jaltay Huway Khaimon Se Kidhar Jaati Mein
Phuppi Amma Na Bacha Leti Toh Mar Jaati Mein
Koyi Sunta Nahi Faryaad Bilakti Hoon Mein
Ab Toh Khaimon Ki Taraf Dekh Ke Darti Hoon Mein
Aap Ki Raah Barhi Der Se Takti Hoon Mein
Jaantay Ho Ke Kayi Roz Ki Pyasi Hoon Mein
Gham Naseebon Ko Dam E Aab O Ghiza Kuch Na Mila
Hogayi Shaam Tamachon Ke Siva Kuch Na Mila
Uff Woh Nanni Si Musafar Woh Rahay Gham Ka Safar
Ya Ali Kehti Thi Ghabraa Kay Jo Lagti Thokar
Aati Thi Thi Bun Ki Hawaon Mein Jo Khushbu E Pidar
Mutmain Ho Ke Teher Jaata Tha Tha Nanna Sa Jigar
Kehti Thi Bun Mein Balaaon Ka Basera Hai Bohot
Ungliyaan Thaam Lo Baba Ke Andhera Hai Bohot
Kabhi Kehti Thi Mujhay Paas Sula Lo Baba
Apni Agosh Mein Bekas Ko Chupa Lo Baba
Sogaya Hai Kahin Jangal Mein Uttha Lo Baba
Mere Nannay Ali Asghar Ko Bula Lo Baba
Woh Fughaan Thi Ke Fiza Dasht Ki Tharranay Lagi
Yak Ba Yak Halq E Buridaan Se Sada Anay Lagi
Aayi Awaazay Shah E Deen Jo Sahara Ban Kar
Dorhi Maqtal Ki Taraf Binte Shahay Tashna Jigar
Rakh Diya Seena E Shabbir Pe Mazloom Ne Sar
Lab Pe Tha Haye Pidar Haye Pidar Haye Pidar
Kehti Thi Rokay Yahin Hashr Uttha Oongi Mein
Ab Tumhay Chor Kay Wapas Nahi Jaoongi Mein
Jismay Sheh Se Kabhi Ghabra Kay Nikalay Soofaar
Dhoond Thi Thi Kabhi Ghesoo E Shahay Arsh Wiqaar
Haath Pehlaaya Ke Lag Jaaye Galay Se Aik Baar
Chaahti Thi Kabhi Rukhsaaron Pe Rakhday Rukhsaar
Uff Voh Bachi Jo Andheron Mein Sahar Dhoondti Thi
Baap Ki Laash Se Lipti Huwi Sar Dhoondti Thi
Aah Karti Thi Toh Hil Jaata Tha Maidan E Bala
Kehti Thi Rokay Bas Ab Khaak Se Uttho Baba
Ronay Waalon Na Suno Tazkira E Jor O Jafa
Jis Tarha Bachi Huwi Baap Ke Seenay Se Juda
Laash Shabbir Ki Maidan Mein Tharrati Rahi
Der Tak Shimr Ke Durron Ki Sada Aati Rahi

Пікірлер: 13
@mohdmehdi5229
@mohdmehdi5229 3 жыл бұрын
Mashallah jio mola salamat rakhkhe ali bhai aap sabko
@hilal5622
@hilal5622 3 жыл бұрын
Bohat hi zabadast Zindabad Ali
@shoaibUAE
@shoaibUAE 5 ай бұрын
کمال کا کلام ❤
@shameemfatima8824
@shameemfatima8824 Ай бұрын
MOla salamut rakhay Ameen huq hay hussan ALAHIS Salam Allah ka karum rahay hamasha
@seemaraza5314
@seemaraza5314 3 жыл бұрын
Mashallah bahut khoob 👌
@mushtaquehaider110
@mushtaquehaider110 3 жыл бұрын
Ya Ali A.s Madad Sayed
@alipahelwanhussaini4543
@alipahelwanhussaini4543 Жыл бұрын
Subhan Allah mashallah
@seemaraza5314
@seemaraza5314 3 жыл бұрын
Beshak jis ke dil me hararat hai wo royega zaroor 😭
@Armanfatma110
@Armanfatma110 Жыл бұрын
😭😭😭haaye bibi
@s.srizvi6388
@s.srizvi6388 2 жыл бұрын
Ali Raza Sachay Allaha Mola Ali ap koSallamat rakeen.
@insiyafatimanaqvi6619
@insiyafatimanaqvi6619 3 жыл бұрын
👌👌
@HasanRizvi
@HasanRizvi 3 жыл бұрын
Salamat Rahain!
@Armanfatma110
@Armanfatma110 Жыл бұрын
Slamat rhay bhai
gehware mai ek tifl ko deti thi Maa ye loriya - Ali Rizvi Sachay
16:52
Kabhi Kabhi Mai ye - Ali Rizvi Sachay
14:13
Hyder Rizvi
Рет қаралды 60 М.
Un coup venu de l’espace 😂😂😂
00:19
Nicocapone
Рет қаралды 11 МЛН
Бенчик, пора купаться! 🛁 #бенчик #арти #симбочка
00:34
Симбочка Пимпочка
Рет қаралды 3,2 МЛН
啊?就这么水灵灵的穿上了?
00:18
一航1
Рет қаралды 58 МЛН
Nehr Pe Hazrate Abbas Ke Laashe Ke Qareeb | 1445/2023 | Farzad Moosvi
6:21
Husaini mission Rudauli (Aun Abbas)
Рет қаралды 19 М.
Jab Imam Ayenge Ustad Sibte Jafar Zaidi Shaheed Manqabat sibte jaffer
13:46
Zainabya Group Islamic
Рет қаралды 2,5 МЛН
Dekhi sabho ne Farwa ke gul pairahan - Ali Rizvi Sachay
8:17
Hyder Rizvi
Рет қаралды 28 М.
Jab Museebat Main Bashar ka Nigran Koi Na Hoo - Ali Rizvi
16:34
Muhammad Haider
Рет қаралды 22 М.
Amma laut aayi hoo mai- Ali Rizvi Sachay
9:05
Hyder Rizvi
Рет қаралды 225 М.
Shareek e Dawat e Islam hain Abu talib (Ali Rizvi)
11:27
Azadari Sajjadia
Рет қаралды 12 М.