I am from Hyderabad, once i visited Aurangabad and tasted Naan Khaliya... Alhamdulillah had a great experience...👌
@muzaffarmahmood7004 жыл бұрын
Kalya ka zikr safar nama Ibn-e-batoota men bhi hai, un ke qayam e Daulatabad ke Waqt. Aam taur se hum log Kalya ko urdu men 'qaf' se likhtay hain aur ' Ha' par khatm kartay hain lekin Ibn-e-batoota men 'kay' se shuru hokar ha ki bajay 'Ain' par khatm hota hai. Aap ne kuldabad ka zikr kya hai, lekin ye Jalna men bhi banaya jata hai. Aaj Kal to tables par nosh farmaya ajata hai, lekin traditional dastarkhwan, suf, badiya, sarbarahi wagayera ka bhi deedar kar wa den to nai peedhi ke ilm men bhi ajayga, aur guzri tahzeeb se bhi waqfiyat hojayegi. Aurangabad men katoron(bowls) men Kalia khaya jata hai lekin traditionally khuldabad men choti thali men Kalia dalkar amnay samnay do admi usay share kartay hain/thay. Hyderabad, Bombay,wagayera ke bairooni afraad ko pahle pahl maza nahi ata hai, aur aksar tazheek bhi kartay hain. lekin phir ek bar unke munh ko bhi lag gaya to farmayeshen kar kar ke nosh farmatay hain. . Plchli peedhi ke jo log taqseem ke Waqt Karachi chale gaye thay, woh wahan par khuldabad ka mashhoor urs manatay thay, aur wahan nankaliye ka ehtmam kartay thay. Abhi bhi gulf men basay kai zinda dilan nan kaliye ki taqareeb kartay hain. Pichlay 4 ek saal se ramzanon men Poona men bhi Aurangabad ke kareegar nan kalye ka business kartay hain, lekin sirf take-away ya home- delivery. Aurangabad ke afraad jo husool ma'aash ke liye doosray shahron/mulkon men hain, woh A'bad visit ke baad wapis jatay waqt nan lejaten hain aur Kalia apne maqam par banlete hain. Nan ki to khair A'bad ki apni khsoosiyat hai, lekin Kalia zara se variation ke sath north karnataka, kokan, sahaydri, goa ke muslim ma'ashire men aam hai. Meethay men aap ne aaj kal ke rayej meethon raway ka meetha aur double ka meetha kaha hai, jabke traditionally meetha muzaafir (zarda) hua karta tha. New middle school men (1955)men hamare marhoom ustad Mannan Sahab ne sabaq padhaya tha ke agar kisi dawat men jao to pahle pata karo ke biryani hai ya nan kalia, agar biryani ho to akhri suf men baithna aur nan kalya ho toh pahli suf men. Kyon? Is paheli ko aap sujhaiye.
@altafrahman22543 жыл бұрын
Assalamualaikum Mehmood Sahaab, Maashallah, Jitni tariqi ma'lumaat video se mili, utni hi aap ke comment se mili. Jitna lutf video dekhne me hamne paaya, utna hi aap ka comment padhke paaya. Hyderabad me hum bhilave ki chironji ki talaash me hai. Inshallah jaise hi mili, koshish karenge ke ghar pe banay.
@muzaffarmahmood7003 жыл бұрын
@@altafrahman2254 shukria. Bhilwen ki chironji ko marathi men God ambi kahte hain. Aurangabad me aam taur se milti hai, magar doosre Sharon men unani /Ayurvedic dawasaaxon ki dika on men mil jaygeygi. Khwateen e khana agar banane men expert hojayen toh hamen bhi bulana. NAN to alag alag version men to har shahar men mil jaye hai, Aurangabad ki thodi moti aur narm hoti hai.
@anjumshaikh58454 жыл бұрын
Bahot acchi malumaat di aapne. Please humari request par kisi bawarchi se kha liye aur naan ki recipe bhi share kare aap. Hum naan khaliya bahot miss karte hai. Aap ki is help se hum apne ghar to bana ke kha sakte hai. Please
@Gk_of_islam1434 жыл бұрын
Aurangabad ki Shaan👍🏻👍🏻👍🏻 Naan Qaliyah hai Pehchaan💖💖🌷🌷
@moj19383 жыл бұрын
You said right. it is the water of local region which gives speacial taste to Preparation. either bread or Salan. Thanks
@legend71002 жыл бұрын
I love nan khaliya😍❤️😋
@rehanquraishi77094 жыл бұрын
Masha Allah Bahot Umda Aadil Bhai 👍👍
@muhammedabdulhaleem67874 ай бұрын
Good editing good research bhai. Aise hi videos banaye.
@sayyedfaizan98502 жыл бұрын
My favr8 #Naan_qaliya 😋😋😍😍✌️
@AbdulHadi-bh4yz4 жыл бұрын
Bahot hi badhiya Adil sahab.
@mohammedabdulrahim60694 жыл бұрын
Adil bhai aise video mat banawo bhai... Ab Hyderabad se bhi phone aa raha hai...khaliya kay liye....kiya baat hai..salute to Khaliya Maker Team Aurangabad 👏
@ateequeurrahmanshaikh60174 жыл бұрын
Very informative 👌
@TP-z8i5 ай бұрын
Adress
@ameemahad87494 жыл бұрын
Sahi me nan khaliya khaate to hai lekin uske piche ka b janna zaruri hona hum sabko👍👍👍👍good job
@noteitdown47774 жыл бұрын
Very interesting and unknown facts came to my acknowledgement today All thanks to Adil Madni
@muzaffarmahmood7004 жыл бұрын
Acknowledgment nahi, sirf knowledge. Sorry to correct the mistake, but we learn by making mistakes.
@noteitdown47774 жыл бұрын
@@muzaffarmahmood700 😂😂😂damn u r so unacknowledged person I tell you Go and check out the meaning of acknowledgement
@muzaffarmahmood7004 жыл бұрын
@@noteitdown4777 I am sorry Madam for your kind 'acknowledgment' to my comment. Thank you for enlightening me. If you are a teacher, I pity your students.
@noteitdown47774 жыл бұрын
@@muzaffarmahmood700 no need to pity my students go learn what does that word mean and how is that used .
@muzaffarmahmood7004 жыл бұрын
@@noteitdown4777 OK. Thnq M'm. In a day or two this poor guy will save/collect money to buy a dictionary. God bless you.
@mohammedkarimshaikh6143 Жыл бұрын
aadil bhai Ab muze lagta Solapur main bhi nan khliya shuru karon
@abdulgaffarkhan7179 Жыл бұрын
ماشاءاللہ بہت خوب عادل بھائی نے بہت اچھی معلومات فراہم کی
@jayhas30 Жыл бұрын
Very well edited
@mdmuzammil5140 Жыл бұрын
Kit bat hai
@sulmanajmal1511 Жыл бұрын
Im from pakistan but im trying this nan kaliya in qatar resturant wich i work its good im so wonder nan kaliya fans to much in qatar
@nasreensayed51643 жыл бұрын
Masha Allah Barakallah 👍🏼💯
@dreammerchant334 жыл бұрын
Daku k jaise awaz me awaz mat nikalo Bache darr jate mere
@syedaabedi67734 жыл бұрын
Mashallah moizbhai👌👌👍👍🌹🌹
@faizanmalikmalik2337 Жыл бұрын
Kaun si jagah machhali ki dawai khilai jaati hai purush mahila ka kya naam hai
@akrampathan72333 жыл бұрын
Agar KZbin wale bhai sahab iski Sahi tarike se Maloom Hath aur pahchan kar rahi hai Nahin kha liya ki tu yah number jo mein de raha hun is number per phone ma ke a jao 9225 22525 to per
@razeqhussain4 жыл бұрын
Very informative vdo @ Naan Qaliya
@abdullahchishty3 жыл бұрын
Chacha Khuldabad ke khaliye main Phalli ke dane nahi dale jate..Khuldabad ka khaliya ek number rahte hai
@anjumshaikh58454 жыл бұрын
Ek aur request hai aapse gosht maande ki original recipe bhi de please
@SYEDTAWFEEQUE2 жыл бұрын
Nan Qaliya ko missed karraha hoon ...
@BOSS-nl8tn4 жыл бұрын
Are bhai bhook. Lag jari dekh kar 😂
@sadiyashareef67352 жыл бұрын
Mashallah
@junadsheikh33523 жыл бұрын
Zabardast
@Fulltowss4 жыл бұрын
Nan khalya lover very nice BHAIYYA
@sadequeshaikh97264 жыл бұрын
good👍.magar aapki aawaz itna khich kar nikalney ki koi zaroorat nhi, ma'azirat k sath mashvara hai
@shaikhmujahed38084 жыл бұрын
i love naan khaliya 😘😘😘
@tausifullahkhan85074 жыл бұрын
Masha Allah
@AyeshaKhan-dx6it4 жыл бұрын
I love nan khaliya
@ghaziabbas4723 жыл бұрын
Salam Phaik raun hydrabad see hun kab khila te naan khalya
@unofficialimrankhan63544 жыл бұрын
❤️❤️
@humashaikh83352 жыл бұрын
Aurangabad k bahuwo ko bahot mushkil hota h jbrdasti nan khaliya khilaya jata h
@mubeelamohsin51454 жыл бұрын
👏🏻👏🏻👍🏻👍🏻
@mubarakshaikh42064 жыл бұрын
King of king aurangabad ka nan kaliyaa
@akrampathan72333 жыл бұрын
Yah jo bhatiyari abhi KZbin per Aaye is Se Poochho ki Ravi Ki Roti kahan se Nikali aur kaun yah Aurangabad Shahar ke Bhatiya Keval it Shamsher Khan aur Nawab City Chauk Ghas Mandi Aurangabad mobile number 9 22522 5252 Akshaya caterers
@noteitdown47774 жыл бұрын
Gonna eat Khaliya now 😅
@syyedabdulsadi729128 күн бұрын
Mashallah subhanallah Alhamdulillah
@skjaveriya37963 жыл бұрын
Aurangabad ki spelling wrong h
@ghaziabbas4723 жыл бұрын
Salam Phaik raun hydrabad see hun kab khila tey naan khaliya
@sadeqhussain18943 жыл бұрын
Nice
@husainvakil141111 күн бұрын
🎉🎉🎉🎉
@SahilKhan-mk5mv3 жыл бұрын
Apan Aurangabadi ♥️
@akrampathan72333 жыл бұрын
Yah Hamare mashhur hai inse puchiye aap ki Aurangabad Shahar ke andar Ravi Ki Roti Aur Dudh ka Haliya Kisne banae the Taj Hotel ke andar Auron se yah bhi Poochho Aurangabad Shahar ke City Chauk Ghas Mandi ke navab bhai kaun hai
@zohebali3771 Жыл бұрын
Love from aurangabad ❤️
@ओमराजेजगतापपाटील3 жыл бұрын
जय श्री राम 🧡🧡🧡
@khanrayeesahmed4 жыл бұрын
👍😆
@Third-eye6243 жыл бұрын
आराम से बोलो भाई ये क्या तरीके है बोलने का
@khaderashraf117 күн бұрын
Maafi chahata hoon aap ka lehja pee k tun Aadmi wala hai, durust kariye